Teri Nigaah Ke Sadqe....(Shihab)

by majid on February 13, 2010, 08:03:51 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2902 times)
Shaifali
Guest
«Reply #15 on: August 08, 2011, 07:58:05 PM »
Reply with quote
Wah Wah Applause Applause Applause
Logged
Yaash
Guest
«Reply #16 on: December 18, 2011, 11:57:53 AM »
Reply with quote
Bohat Badhiya Applause Applause
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #17 on: December 18, 2011, 12:49:02 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley wakai kamaal kar diya ji shihab sahab ,,,har lafz kabile taraif hai ,,,bayani ka bhi jawab nahi ,,,dhero daad kabul farmaien
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #18 on: December 27, 2011, 10:54:15 AM »
Reply with quote
Shihaab Sahaab Aadaab!



Janab kia hi khubsurat aur dilkash O purkashish kalaam
kahi hai aapne.. aur janab kah raheN hai ke rumaani aur
ishqiyaaN khayaal bayaaN nahi karna aata...  Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More


Janab humari to khususi guzarish raheNgi ke aap ishq par
har baar likheN aur aise hi umdaa kalaamoN ko anjaam deN

Is khub kalaam par hazaaroN daad hazir hai dad daad daad Usual Smile

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause







Kabhi Phool , Kabhi Khushbooh ,  Kabhi Bahar Likhun
Bata  Teri  Kis Kis  Ada  Ko  Aakhir , Aey  Yaar Likhun.

Bahut khoob janab behad umdaa daad Usual Smile

Teri Aankhon Ko Jheel Kahun Yaan Zulfon  Ko Baadal
Yaan Phir Tere Gulaabi Gulaabai Se , Rukhsar Likhun.

Janab bade khubi se andaaz e bayaaN raha daad Usual Smile

Abhi Tak To Baagh Mein, Koi Bhi  Phool Khila Na Tha
Dil  Ko Jo Mehka  Gaya , Kya  Woh Tera  Pyaar Likhun

Bahut umdaa daad Usual Smile

Apni Aukaat Se To Waqif Hoon Mein Aey Dilbar Mere
Magar Tu Jo Mil Jaaye To  Khud Ko , Iftikhaar Likhun.

Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Aaja Ki Aakar Rakhde Tu , Dil Pe Zara Sa Haath Mere
Ki Teri Nigah Ke  Sadqe Men, Ghazlen Hazaar Likhun.!

Waah janab bahut khob daad daad daad Usual Smile


                     ~Shihab~





Logged
mkv
Guest
«Reply #19 on: December 29, 2011, 04:05:58 PM »
Reply with quote
Umda Kalaam.
Vaah, kya likha hai apne
Baar 2 padhne ko man kar raha hai.
Bahut Khoob Shihab ji
Logged
sbechain
Guest
«Reply #20 on: January 04, 2012, 01:44:27 PM »
Reply with quote
Aadab Doston...
Well Mein Itna Romantic To Nahi Hoon
Na Hi Mujhey Ishq Mein Jyada Likhna Aata Hai
Shayad Issi Liye Kafi Dost Mujhey Patthar Dil
Khadoos Jaise Kahin Aur Bhi Naamon Se Nawazte Hain
Magar Phir Bhi Aaj Aap Saki Sohbat Mein Rehkar
Bas Maine Bhi Kuch Likhne Ki Koshish Ki Hai
Umeed Karta Hoon Aap Sabko Pasand Aayega...!
Aapki Nazar Kar Raha Hoon Galti Maaf Ho...!
icon_silent



Kabhi Phool , Kabhi Khushbooh ,  Kabhi Bahar Likhun
Bata  Teri  Kis Kis  Ada  Ko  Aakhir , Aey  Yaar Likhun.

Teri Aankhon Ko Jheel Kahun Yaan Zulfon  Ko Baadal
Yaan Phir Tere Gulaabi Gulaabai Se , Rukhsar Likhun.

Abhi Tak To Baagh Mein, Koi Bhi  Phool Khila Na Tha
Dil  Ko Jo Mehka  Gaya , Kya  Woh Tera  Pyaar Likhun

Apni Aukaat Se To Waqif Hoon Mein Aey Dilbar Mere
Magar Tu Jo Mil Jaaye To  Khud Ko , Iftikhaar Likhun.

Aaja Ki Aakar Rakhde Tu , Dil Pe Zara Sa Haath Mere
Ki Teri Nigah Ke  Sadqe Men, Ghazlen Hazaar Likhun.!


                     ~Shihab~







bahut khoob.


                       ye bataati hoon tujhe main shihab,
                       is ghazal ki tarif baar-baar likhun,
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 06:11:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer