Teri Tasveer

by Pooja on April 25, 2006, 03:19:22 PM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 33
ReplyPrint
Author  (Read 31217 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #135 on: June 17, 2006, 03:03:56 PM »
Reply with quote
shukriya aur bahut khoob BHONDU JI..... kya khoob likha aapne.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri Tasveer Dekhayi De by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
teri tasveer by majid in Shayri-E-Dard
teri tasveer by innocent.devil20 in Shayri for Dard -e- Judai
teri tasveer by sahood in Shayeri for Dard -e- Bewafai
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #136 on: June 18, 2006, 03:06:26 AM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"
TASVEER bhi tumhari bas kamaal karti hai,
khud soti nahi, neend meri bhi barbaad karti hai...

yeh kaise kashish hai teri aankhon me sanam,
tasveer me bhi yeh aankhen kai sawaal karti hain...

kho jata hoon yaad me teri, tasveer seene se laga ke,
band karta hoon jo aankhen, yeh toot ke mujhe pyar karti hai....

yeh meri mohabbat nahi hai to aur kya hai e-sanam,
tasveer bhi teri mujhe e-haseen, mehboob se lagti hai.....


nazre tasveer se aapki ek khwab kerti hai.
roj subah subah wo hume aadab kerti hai.
muskurati nazroon se duayen bharker
wo mere nayr din ka aagaz kerti hai.

chup chap baithta hu jab chup chap nazroon se
wo dekhker mujhe nazarandaaz kerti hai.
raat bhar jaagati hai sone bhi nahi deti.
wo yu meri neendo ko barbaad kerti hai

nazre tasveer se aapki ek khwab kerti hai.
le jaaker ek gul ko gulfaam kerti hai.
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #137 on: June 18, 2006, 04:14:16 AM »
Reply with quote
neend yaha bhi kisko atti hai
teri tasveer ke sung sari raat jaati hai

seene se lag kar, dil ki dhadkan behak jaati hai
tere hi khayalo mai, na jaane kab nind aa jaati hai

teri tasveer ka sath, her ab rahta hai
in ankhon mai, tere sath ka sapna hi rahta hai
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #138 on: June 18, 2006, 04:20:16 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Dost Kavi

manke haare haar hai
man ke jity Jeet
intzaar hai bada jaanlewa
per jayega yah bhi beet
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #139 on: June 20, 2006, 04:48:22 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"

neend yaha bhi kisko atti hai
teri tasveer ke sung sari raat jaati hai

seene se lag kar, dil ki dhadkan behak jaati hai
tere hi khayalo mai, na jaane kab nind aa jaati hai

teri tasveer ka sath, her ab rahta hai
in ankhon mai, tere sath ka sapna hi rahta hai



teri yadoon mein  gujarte hai din mere,
teri tasveer ke saath raat beet jaati hai
aksar ladti hai mere saath tanhayee mein teri yaadein,
aur... har baar teri yaad jeet jaati hai.
in ankhiyon se hardum ashq bahta hi rahta hai
per phir bhi in ankho mein tere saath ka sapna rahta hai
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #140 on: June 20, 2006, 06:13:52 AM »
Reply with quote
dost kavi apki kavita mai khuar-e- dard jayada aor khumar-e-ishaq kam najar ayya hai'

Hai yah khumar-e-ishaq
Tasveer sung tu bhi gunguna
apni kavita mai yaha per, mere dost
khumar-e-ishaq ke hi geet suna
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #141 on: June 22, 2006, 04:17:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"

Hai yah khumar-e-ishaq
Tasveer sung tu bhi gunguna
apni kavita mai yaha per, mere dost
khumar-e-ishaq ke hi geet suna


ishq hai unsey ye sooch ker likhta hu,
per dard mila unsey nikal jaata hai.
khumaar ka ho mausam,
to khumar-e-ishq mein likne ka mazza aata hai.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #142 on: June 23, 2006, 01:43:00 PM »
Reply with quote
kya baat hai ! .... kya baat hai BHONDU JI...
jabardast likha  hai aapne..... maza aa gaya
padh kar..... unhi likhte rahiye......

aur POOJA JI to always hi.................
Logged
Pooja
Guest
«Reply #143 on: June 23, 2006, 04:09:02 PM »
Reply with quote
bahoot hi such  kaha apne dost!!!

aor vicky ji app phir bina likhe chale gaye..... no cheating...

Tasveer uski ankhon mai jab aa jaaye
kaya kahe phir samye kaise beet jaaye
pagali si main, tiktik kahi dekhi jaati hu
khayalo mai uske, khoi jaati hu
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #144 on: June 24, 2006, 06:47:59 AM »
Reply with quote
nice one POOJA JI......

Tasveer teri aankhon me, lab par tera naam hai,
aaj door hoon tumse main, yeh kaisa imtehaan hai.....
khwabon aur khayalo me kar jati ho bechain mujhe,
tarsaane aur tadpaane ka aaj phir tujh par ilzaam hai........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #145 on: June 24, 2006, 12:51:57 PM »
Reply with quote
Gud Job Vicky and Pooja

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,

har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.......(NM)
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #146 on: June 24, 2006, 01:25:02 PM »
Reply with quote
bahut khoob pooja ,vickey .......
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #147 on: June 25, 2006, 06:47:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"
nice one POOJA JI......

Tasveer teri aankhon me, lab par tera naam hai,
aaj door hoon tumse main, yeh kaisa imtehaan hai.....
khwabon aur khayalo me kar jati ho bechain mujhe,
tarsaane aur tadpaane ka aaj phir tujh par ilzaam hai........


wah kaya baat hai.... jawab likhna app bahoot achi tarah jante hai.....
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #148 on: June 25, 2006, 01:39:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"

Tasveer teri aankhon me, lab par tera naam hai,
aaj door hoon tumse main, yeh kaisa imtehaan hai.....
khwabon aur khayalo me kar jati ho bechain mujhe,
tarsaane aur tadpaane ka aaj phir tujh par ilzaam hai........


mast likha hai aapne aur.. pooja ji per saacha aarop bhi lagaya hai.

tari tasveer hai dil mein per aapka naam zuban per laya nai jaata.
kuch to samjha karo tanhaayee ki baatein ki labo se sab kuch bataya nhi jaata.
khwab aur.. khayaal sab aap mein simat ker  rah gaye hai,
ki ab man ko kisi haalat mei baalaya nhi jaata.
barsaat ka mausam hai aur.. aaya hai khumaar aankho mein,
ki is jism se ye khumaar hataya nhi jaata.
aur... aapki andekhi tasveer jo bani hai is mein,
Pooja ki us tasveer ko mitaya nhi jaata.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #149 on: June 26, 2006, 11:40:13 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya POOJA JI, BHONDU JI aur GUM JI.........
aur aapne bhi bahut khoob likha hai BHONDU JI aur GUM JI.... nice
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 33
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:34:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer