Teri Tasveer

by Pooja on April 25, 2006, 03:19:22 PM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 33
ReplyPrint
Author  (Read 31239 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #210 on: July 04, 2006, 07:18:23 PM »
Reply with quote
Quote
ishq ki galiyan kamzoor hoti nahi hai
unka hausla kamzoor parh jata hai
jo bach jaye aur nikal jaye yahan se
woh aik badaam ashiq hai


Dekho aaj phir Badnaam mera Afsana hua hai......
Dunia kehti hai aaj phir iss AshiQue ka mood Shayarana hua hai.....

Dekh ke iss Anjaan Husn ko kuch likhne ko jee chahata hai.....
Naam tumhare Ghazal toh tum par marr mitne ko jee chahata hai....!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri Tasveer Dekhayi De by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
teri tasveer by majid in Shayri-E-Dard
teri tasveer by innocent.devil20 in Shayri for Dard -e- Judai
teri tasveer by sahood in Shayeri for Dard -e- Bewafai
anjani_si
Guest
«Reply #211 on: July 04, 2006, 07:25:22 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote
ishq ki galiyan kamzoor hoti nahi hai
unka hausla kamzoor parh jata hai
jo bach jaye aur nikal jaye yahan se
woh aik badaam ashiq hai


Dekho aaj phir Badnaam mera Afsana hua hai......
Dunia kehti hai aaj phir iss AshiQue ka mood Shayarana hua hai.....

Dekh ke iss Anjaan Husn ko kuch likhne ko jee chahata hai.....
Naam tumhare Ghazal toh tum par marr mitne ko jee chahata hai....!!!!!!


hausla kamzoor uska hua hai
issi liye maarna chahte hai

isse badnaam ka afsana aaj phir dohraya hai
pyar iska kaam parh gaya hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #212 on: July 04, 2006, 07:28:46 PM »
Reply with quote
Tasveer teri banayi toh.......
Ghata Asmaan par chaa gayi......

Boli Kudrat mujhse......
Yeh pari tere Zehem me kahan se aa gayi......

Dhoondne nikla Khuda uss Pari ko.....
Jo hai meri Kalpana woh HaQiQat ke rang me kaise Chaa gayi....!!!!!!!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #213 on: July 04, 2006, 07:30:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Tasveer teri banayi toh.......
Ghata Asmaan par chaa gayi......

Boli Kudrat mujhse......
Yeh pari tere Zehem me kahan se aa gayi......

Dhoondne nikla Khuda uss Pari ko.....
Jo hai meri Kalpana woh HaQiQat ke rang me kaise Chaa gayi....!!!!!!!!


tasveer teri inh badloon se cheen li hai
usko humne apne dil mein sama liya hai

khuda se aik shehzada maangh liya hai
uski rooh mein baas gayi hai :D:D
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #214 on: July 04, 2006, 08:44:34 PM »
Reply with quote
bahoot khoob BS JI AND Anjani
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #215 on: July 05, 2006, 05:42:34 AM »
Reply with quote
very nice bs ji aur anjaani

tasveer jo ik bas dil me bani
phir mud ke kisi ko na dekha
aae the hazaaron raahon me
par hamne kisi ko na dekha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #216 on: July 07, 2006, 02:57:35 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai Tabbu...

Bas kar nayano mai, dil mai ghar kar gaya
wo ek shakas, tasveer se kaise dil mai utar gaya

pal pal khayal uska, her pal bas wohi surat
mere man mandir mai bas ab uski hi hai murat
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #217 on: July 09, 2006, 08:03:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"

Bas kar nayano mai, dil mai ghar kar gaya
wo ek shakas, tasveer se kaise dil mai utar gaya

pal pal khayal uska, her pal bas wohi surat
mere man mandir mai bas ab uski hi hai murat


bahut aahche pooja ji,

soochta hu usko chahta hu usko,
koi us shaqs se na pata bata saka.
chayi hai rawangee uski hi nas nas mein.
ek us shaqs ko na dil se hata saka.
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #218 on: July 10, 2006, 03:13:09 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"
Quote from: "burniing_desiires"
dekh rahein hain tasveer unki
nigahein kar rahi hain be-rehmi se war

khawab bhi rang badalne  lage
dil-e-gulistan hone lagga taar taar

ashk gire,tasveer ko seene se lagate hi
mushkil mein hai ab meri jaan

dil ka haal hua be-haal yaaro
par woh humari halat se hain anjaan

kab tak sambhalein aapni saanson ko
milne aa jao sanam tum ek baar ...!!!


laker khayalo mai dekhon
kaise ilzaam lagate hai

dil chahe unka dekha kare
phir najro ko qatilana batate hai

ashoq laker ankhon mai ajj wo
humko bhi apne sung rulate hai

anjaan nahi kisi raaj se yah dil
bas aise hi appse chupate hai

bekraar yah dil bhi kam nahi
yahi her pal apki tasveer ko samjhate hai



Din bahr kartein hain intezar
chand lamhon ke milan ka

aakar aap jaane ki baat karein
aaisa bhi kya kasoor hai mere dil ka

ashk nikaltein yaadon mein teri
har lamha ibadat hoti hai teri

kyun karte ho zakhmi aaisi baaton se
kya deewangni ka asar kam hai,iss dil ka...!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #219 on: July 17, 2006, 03:28:05 PM »
Reply with quote
deewangi teri ab mujko hai darane lagi
tere kareeb, bahoot kareeb main ane lagi

intzaar tera mujko bahoot satataa hai
per dil tere samne anne se ghabraata hai

kaise sambhalu khud ko tere samne main
bas issi soch mai waqat gujar jaata hai

zakham dety hai hum, yah baat zakham de gai
ashq ayya jo teri ankh main, yah baat jaan le gai

Teri tasveer se hum her ek baat kah jaya karty hai
karty hai payaar app hi se, her pal yahi samjhaya karty hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #220 on: July 23, 2006, 09:15:48 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
deewangi teri ab mujko hai darane lagi
tere kareeb, bahoot kareeb main ane lagi

intzaar tera mujko bahoot satataa hai
per dil tere samne anne se ghabraata hai

kaise sambhalu khud ko tere samne main
bas issi soch mai waqat gujar jaata hai

zakham dety hai hum, yah baat zakham de gai
ashq ayya jo teri ankh main, yah baat jaan le gai

Teri tasveer se hum her ek baat kah jaya karty hai
karty hai payaar app hi se, her pal yahi samjhaya karty hai


mere kareeb bahut kareeb tum aa jaao.
mere dil ke saazjo ko appne lab se sunao.

intazzar pyaar ko herkadam badhata hai
mere intzaar mein na ansoo bahao.

samhalo mere pyaar ko sab ki najaroon se,
na pyaar mein mere tum tohmad lagao.

pyaar ke zakhm tere sar aankho per mere,
aapne sare zakm tum hume de jaao.

milne ka aitbaar ho,na mile to koi gum na ho,
mere pyaar ki aisi takdeer tum banao.
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #221 on: July 23, 2006, 09:30:44 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai....

haal dil ka shabdo mai bayaan kaya karu
had ka nahi pata, had se bad kar payaar, ab kaya kahu

Tu hi meet, tu hi preet, bhool gai main dunia ki reet
man bas ab armaan yahi, ban jaaye tu hi mera naseeb

intzaar tera is dil ko, chahat hai sirf tere liye
ankhon mai tasveer teri, tere wo ahsaas liye
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #222 on: July 23, 2006, 09:47:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"
wah kaya baat hai....

haal dil ka shabdo mai bayaan kaya karu
had ka nahi pata, had se bad kar payaar, ab kaya kahu

Tu hi meet, tu hi preet, bhool gai main dunia ki reet
man bas ab armaan yahi, ban jaaye tu hi mera naseeb

intzaar tera is dil ko, chahat hai sirf tere liye
ankhon mai tasveer teri, tere wo ahsaas liye


aapne hi bahut aacha likha hai...

haal dil ka kabhi shabdo mein sunai na dega,
pyaar aisa karunga ki kuch bhi dikhai na dega.

tu hi meet meet, tu hi preet tu hi khusiyoon ka aadhar hai,
tum humein kuch na samjho mere liye tu sansaar hai

intzaar is dil mein ek mehmaan lane ki hai,
aur.. herpal kosisein sirf tumko paae ki hai.

khud ko bech dunga teri her saans ke liye,
dubaara janam lunga tere is ehsaas ke liye.
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #223 on: July 23, 2006, 09:56:41 AM »
Reply with quote
wonderfull lines Dost Kavi ji.....

Tadap teri ankhon ki, dil ko bekraar karati hai
nas nas meri, bas tuji se payaar karati hai

bhool kar duniya teri, ab teri raah ho gai
chuta bachpan mera, kaha sakhia bhi sari kho gai

pakar tuje, sara sansaar main pa gai
kar ankhia band, main tere sath aa gai

her janam ho sath tera, dil mai bas ab yahi armaan hai
tasveer teri dil main, humko nahi khabar, ab hum kahan hai
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #224 on: July 23, 2006, 10:08:58 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"
wonderfull lines Dost Kavi ji.....

Tadap teri ankhon ki, dil ko bekraar karati hai
nas nas meri, bas tuji se payaar karati hai

bhool kar duniya teri, ab teri raah ho gai
chuta bachpan mera, kaha sakhia bhi sari kho gai

pakar tuje, sara sansaar main pa gai
kar ankhia band, main tere sath aa gai

her janam ho sath tera, dil mai bas ab yahi armaan hai
tasveer teri dil main, humko nahi khabar, ab hum kahan hai


tadap meri aankho ki yu bekarar ker jaati,
ek baar to aapni surat humein dikhati.

nas nas mein mera pyaar hai ye maan liya humne,
per ek pal to pyaar ka aap saath mere bitati.

mana ki mere pyaar se sansaar mila aapko,
per do pal ke pyaar mere sansaar mein to laati.

pyaar hai humse agar khul ke kahti aap,
aaker mein dil mein phir kabhi tum na jaati
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 33
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 05:18:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer