Teri Tasweer Ko Haton May Liye Baetha Hoon...

by Iqtedar on August 29, 2013, 02:58:35 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1770 times)
nashwani
Guest
«Reply #15 on: August 29, 2013, 10:34:04 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah waah waah iqtedar bhai bahut bahut umda, ekdum mast wali post hai..
dhamakedar..dhero dhero daad..happy9

P.S: Ab khade bhi ho jao..baithe kab tak rahoge.. Giggle Giggle Giggle
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri tasweer by bhavijay_jethva in Shayri-E-Dard
~*~*~ Teri Tasweer ~*~*~ by manu1979 in Shayri-E-Dard
~*~Teri Tasweer Pe Chupke Se Hounton Ko ~*~ by FAREE in Shayri for Khumar -e- Ishq
TERI TASWEER - EK NAZM ........ HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
Har Tasweer Me Tha Main Ek Muskaan Liye...........Touhid by Mohammad Touhid in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #16 on: August 29, 2013, 10:49:08 PM »
Reply with quote
Waah Bahut Khoob  Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #17 on: August 29, 2013, 11:00:46 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah waah kyaa kehne Iqtedar ji, mazaa aa gayaa padh ke, bahut bahut khoob likhaa hai aapne, ek dum zabardasssttt....!!!
Logged
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #18 on: August 30, 2013, 03:27:24 AM »
Reply with quote
Too good ji
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #19 on: August 30, 2013, 07:32:07 AM »
Reply with quote

Janaab “Syed Iqtedar Husain” SaaHib, taHiyyaati lakum !
Aap ki ghazal naZar nawaaz huie,  dil khush ho gaya. Khoob nibhaya hai aap ne. Aap ki ghazal ba har Haal daad o sitaaish ki Haqdaar hai. Meri Taraf se dili daad aur mubaarkbaad qabool farmayeN. Is ke a’laavah kuchh baateN aisi bhi haiN jin se kisi na kisi TarH mujhe ya aap ko faayeda HaaSil ho sakta hai to un ka z’ikr bhi karta chalooN…
Teri Tasweer Ko Haaton May Liye Baetha Hoon
Aur Tere Zikr Ko Baaton May Liye Baetha Hoon
MaTla’ bahut shaandaar aur waaZ’eH hai, KhuSooSan pehla miSra’ kamala ka hai.
Doosre miSra’ meN agar “aur” ki jagh “Or” kar leN to shaayad ravaani paida ho jaye. Mazeed ma’naviyyat aur ba hami rabT paida karne ke liye agar “z’ikr” ki jagah “yaad” kar liya jaaye to ziyada behtar hoga. Agarche aap ke khayaal se mujhe bhi koi ikhtilaaf nahiN hai.
------------------------------------------------------------------------------
Neend Aati Hai To Palkon Se Palat Jaati Hai
Tera Armaan Jo Raaton May Liye Baetha Hoon.
Waah waah bahut hi muaccir she’r hai. Dili daad HaaZ’ir hai.
------------------------------------------------------------------------------
Ab To Diwaana Samajhte Hain Mujhe Saare Log
Teri Jo Talab Namaazon May Liye Baetha Hoon
Bhai is she’r ka pehla miSra’ to waaZ’eH hai lekin doosra qaabil e ghaur hai.
LafZ e “Talab” se baHr muta.accir ho rahi hai. Mere khayaal meN agar aap miSra’ e caani ko youN kar leN “Teri chaahat jo namaaz’oN meN liye baetha hooN” ya “Teri jo chaah namaaz’oN meN liye baetha hooN”  to ravaani bhi aa jayegi aur ma’naviyyat bhi baaqi rahegi.
-------------------------------------------------------------------------------
Tujhse Umeeden Bahot Si Hain Mujhe Wabasta
Raat Din Tujhko Khayalon May Liye Baetha Hoon
Is she’r ka pehla miSra’ ghaur Talab hai !!!!!!
Is ko agar aap youN kaheN ke  “Tujh se ummeedeN bahut si haiN meri waabasta”
To baat ban jayegi. Ya aap ise aur bhi behtar Tareeqe se keh sakte haiN.
Doosra miSra’ waaZ’eH hai.
------------------------------------------------------------------------------
Ab Kisi Shae Se Mujhe Koi Sarokaar Nahi
Sirf Tujhko Hi Sawaalon May Liye Baetha Hoon
Ye she’r bahut achchha hai qaabil e daad hai haaN mazeed Hus paida karne ke liye pehle miSra’ ko youN kar leN to behtar hai “Ab kisi shae ki tamanna nahiN mere dil meN” KyoNki ye khayaal doosre miSra’ ke mafoom se ziyadah ham aahangi rakhta hai.
-------------------------------------------------------------------------------
Kab Milaega Khuda Hamko Ye Maloom Nahi
Bas Tujhe Apni Duaaon May Liye Baetha Hoon

Ghazal ka ye aakhiri she'r bhi la jawaab hai.
-------------------------------------------------------------------------------
Aap ki ye ghazal paRh kar ma’loom huwa ke aap ghazal e musalsal aur mauZ’ooe’i guftgu pasand karte haiN.
Allah kare zor e qalam aur ziyadah.
MukhliS : "Syed Ghulam Haider Naqvi"
Written by Syed Iqtedar Hussain.

Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #20 on: August 30, 2013, 09:53:56 AM »
Reply with quote
Waah-Waah Bahut Khoob Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 3 hours and 46 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #21 on: August 30, 2013, 01:48:26 PM »
Reply with quote
Teri Tasweer Ko Haaton May Liye Baetha Hoon
Aur Tere Zikr Ko Baaton May Liye Baetha Hoon

Neend Aati Hai To Palkon Se Palat Jaati Hai
Tera Armaan Jo Raaton May Liye Baetha Hoon

Kab Milaega Khuda Hamko Ye Maloom Nahi
Bas Tujhe Apni Duaaon May Liye Baetha Hoon

Written by Syed Iqtedar Hussain.


Aadab Bhai. Ye Sher Bahut Achchey Lage
Bahut Bahut Khub :claping:

ALLAH Pak Aapki Sab Jayaz Tamannaen Kabul Kare Aameen

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #22 on: August 30, 2013, 10:41:50 PM »
Reply with quote
Nishi Ji Shukriya Usual Smile
Nashwani Ji Shukriya Usual Smile
Ram Saraswat Ji Shukriya Usual Smile
Bhupinder Kaur Ji Shukriya Usual Smile
Nandbahu Ji Shukriya Usual Smile
Aap sabka tah'e'dil se shukriya Usual Smile
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #23 on: August 30, 2013, 10:43:37 PM »
Reply with quote
Usual Smilepooch loon iqtedar ji toh pakka hai ki aap mujhe bata doge ki kiski tasveer hai... Usual Smile Usual Smile
hahahahaaa pm kis liye hai? wahan bata donga  Feared. Shocked Even More Feared.
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #24 on: August 30, 2013, 10:46:10 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah waah waah iqtedar bhai bahut bahut umda, ekdum mast wali post hai..
dhamakedar..dhero dhero daad..happy9

P.S: Ab khade bhi ho jao..baithe kab tak rahoge.. Giggle Giggle Giggle
hahahahaaa tasweer aane se pahle tak khada hi tha bhai, tasweer aagai so khada na rah saka  Giggle Laughing hard Giggle
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #25 on: August 30, 2013, 10:47:19 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah waah kyaa kehne Iqtedar ji, mazaa aa gayaa padh ke, bahut bahut khoob likhaa hai aapne, ek dum zabardasssttt....!!!

shukriya Hriday ji - aap logon se tareefen milti hain to himmat badhti hai Usual Smile
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #26 on: August 30, 2013, 10:51:40 PM »
Reply with quote

JazakAllah... bahot acha laga aapke suggestions padhkar... agar yonhi rahnumaai milti rahi to bilashuba ek din main haqhiqhi shayer ban jaonga Usual Smile
Ghulam Haider bhai itna waqt dene ka bahot bahot shukriya... main aapki bataai baton par amal karonga - dheron duaen aapke liye - Allahafez.
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #27 on: August 30, 2013, 10:54:39 PM »
Reply with quote
Aadab Bhai. Ye Sher Bahut Achchey Lage
Bahut Bahut Khub :claping:

ALLAH Pak Aapki Sab Jayaz Tamannaen Kabul Kare Aameen

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab
Asalamalaekum - Shihab bhai is ghazal par aapki rahnumaai (pm) par khabil-e-khubool rahi - jazakAllah ke aapne mujhe behad achey se samjhaya - shukriya Usual Smile
Duaon ke liye shukriya - Allah aap par bhi apna raham-o-karam banaye rakhe aameen - Allahafez.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #28 on: August 30, 2013, 11:38:37 PM »
Reply with quote
hahahahaaa pm kis liye hai? wahan bata donga  Feared. Shocked Even More Feared.

PM ke through kyun online thread par hi ho jaaye. pyaar kiya toh darna kya.  Winking waise mujhe pata hai ki kis ki hai Giggle Giggle Giggle
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #29 on: August 31, 2013, 03:54:37 AM »
Reply with quote
chalen hint deta hoon, apne ashaar may...
Zulfon ke badal may chanda sa chehra
Bahot khoobsurat sunehra sunehra
Laten in pe mandlayen har lamha aese
Khazane pe ho jaese sanpon ka pahera
Ye kahte hain ab saare mae'khane waale
Nazar ka nasha aapki sab se gahera
Ye palken uthengi to din ho chalega
Nazar jo pade to khil uthenge sahera...
chalen ab judge karen ke aapka andaza sahi hai ya ghalat Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:09:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer