::Tu hi tu nazar aata hai::(for AMIT)

by nidhi_yadein on May 03, 2005, 04:31:18 AM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18
ReplyPrint
Author  (Read 25313 times)
bhambra
Guest
«Reply #195 on: July 22, 2005, 05:35:50 AM »
Reply with quote
thanx waheed........................................... ................................................. ... :wink:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*NAZAR NAHI AATA* by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
Jab Kabhi Samney Woh Mujhey Nazar Aata Hey by Zamir Ka Qaidi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~Nazar Aata hai~ by pankshivam in Shayri-E-Dard
Aapko Paakar Jahaan Badla Nazar Aata Hai by karndhar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Tera Chehra Nazar Aata Hai by Mohammad Touhid in Shayri for Khumar -e- Ishq
sandhaya
Guest
«Reply #196 on: July 22, 2005, 11:44:00 AM »
Reply with quote
very nice all of u .............

Tujhe dekh ke ye ehsaah hua hai mujhe
ki mere hi liye khuda ne bejha hai tujhe
verna yun mere jehan main tum samaye na hote
meri nigahon ne tujhe lekar sapne sajaye na hote
mere khuda ne mere sab sawalon ka javab banaya hai tujhe
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #197 on: July 22, 2005, 05:47:36 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
very nice all of you .............

Tujhe dekh ke ye ehsaah hua hai mujhe
ki mere hi liye khuda ne bejha hai tujhe
verna yun mere jehan main tum samaye na hote
meri nigahon ne tujhe lekar sapne sajaye na hote
mere khuda ne mere sab sawalon ka javab banaya hai tujhe


ur  welcome  bhambara..........  very  nice sandhaya................. tongue3

ya  rub mujhe  in  hasraton se  kahin  door le chal mujhe
ya  mere  mehboob  ki  gali  ka  khaak  bana  mujhe..........
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #198 on: July 23, 2005, 04:59:20 AM »
Reply with quote
sukhriya .........waheed ji ........and nice reply .......

Tujhe lekar main dur kaha jaun
tujhe na dekhun tuh chain kaise paun
meri tuh har dhadkan tera hi naam leti hai
teri gali ko chodke main aur kahan jaun
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #199 on: July 23, 2005, 12:34:46 PM »
Reply with quote
ya rub mujhe in hasraton se kahin door le chal mujhe
ya mere mehboob ki gali ka khaak bana mujhe..........

waheed yaar good kyaa baat hai yaar...

woh sunkar thak chuke hai meri baatein
oob chuke ginkar mere aansouo ki boonden
pooch tey hain iss choti si baat peh kya rona
sochun main yeh dil, dil hai ya khilona...

janta hun kam unka pyaar bhi nahi hai
phir bhi iss dil pe mera akhtiyaar nahi hai
jis waqt nikal gaya mere vishvaas ka janazaa
band kar liya maine iss dil ka darwaza...

phir bhi yeh dastak mujhe kar dete beqaabu
na chahte hue bhi darwaza main kholun
muskuraoun ussi ka chehra nihaarun
uske sang has lun phir baith ke ro lun...

zakhm hara hai bahi bhara to nahi hai
chain ka badal man ka ghiraa bhi nahi hai
aise mai yah dastak mujhe kar deta hai durbal
nafrat ki aandhi mai yeh dil hua bekal

har baar thaanun yeh aanso ka hai daldal
sukh sukh key iss jang mai nahi hona mujhe shamil
ab phir darwaza dil ka na kholun
iss bar milne peh pehle na bolun

iss baar to pakka irada hai mera
meri kaali raaton ka ek ujjawal sawera
na rehga baans nah bajegi baansoori
apne armaano peh khood chala lun main churri..

apna mana hai tabhi to yeh dikkat hai
wahi bhool jaoun to phir kisski himmat hai
woh kuch bhi kar lain uski hai niji baat
usmai main dakhal dun meri kya auqaat

itnay mai sunai de rahi hai khat khat
shak nahi kuch yeh uski hai dastak
padhne walon zara thehro main aaya..
usko mana kar bas ek pal main aaya....nm
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #200 on: July 24, 2005, 01:34:49 AM »
Reply with quote
Agar Jo Dil Ki Suno Gi Tu Haar Jao Gi,
Hum Jaisa Pyaar Phir Kahan Pao Gi..

Jaan Dene Ki Baat To Har Koi Karta Hai,
Zindagi Bananay Wala Kahan Say Laao Gi..

Jo Ek Nazar Dekho Gi Tum Humain,
Tu Har Taraf Sirf Hum Hi Ko Paao Gi..

Yaqeen Apni Mohabbat Par Itna Hai Mujhay,
Meri Chahat Ko Dekho Gi To Laut Aao Gi..

Meri Ankhon K Samandar Main Doob Gayen Agar,
Kahein Jana Bhi Chaho Gi To Na Ja Paoo Ge..
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #201 on: July 25, 2005, 02:09:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
very nice all of you .............

Tujhe dekh ke ye ehsaah hua hai mujhe
ki mere hi liye khuda ne bejha hai tujhe
verna yun mere jehan main tum samaye na hote
meri nigahon ne tujhe lekar sapne sajaye na hote
mere khuda ne mere sab sawalon ka javab banaya hai tujhe


Very nice lines Sandhya.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #202 on: August 01, 2005, 08:24:16 AM »
Reply with quote
sukhriya My heart ji .........

Ehsaas ki barish main main roj nahata hun
tere pass nahi hun phir bhi tujhe pass pata hun
kya hai ye kaisa hai ye mahobaat ka nasha
khuli aankhon se hazaron khawab main sajata hun
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #203 on: August 15, 2005, 09:58:44 AM »
Reply with quote
Thanx everyone.....very nice sandeep,sandhaya,touchy and bhambhra.

Another one for u amit:-

"Ajab dewangi chhai hai mujhpe,tera hi ek khayal hai,
 tu hi bata dilbar,tune banaya ye kya mera haal hai,
 bas tere siwa kuch na mujhe nazar aaye,
 bas tu hi tu,sirf tu mere dil ko bhaaye,
 makaam-manzil sab kuch tu hi to hai,
 rab se guzarish hai jaldi koi raah dikhaye,
 tu saamne na ho kar bhi har waqt saath hai,
 mazboot hain kadam,thhamein jo tera haath hain,
 har khushi ho teri,aur tu ho sirf mera,
 dil se nikle kuch aise aaj jazbaat hain,
 udhar tum khwab dekhte ho aur idhar main,
 in khwabon ko ekdin milke jaan deni hai hamein,
 toot na sakein,inko sahej kar rakhna,
 khwabon ko mere dil ke kareeb hi rakhna,
 na phir dooriyon ka koi nishan bhi rahega,
 jo sajaaya hai umeedon se,wo sapna sach hoga,
 bas itni justujoo hai meri tujhse ae hamsafar,
 khamoshiyon ko yun raah-e-manzil me na aane dena,
 saath hamein ek-dooje ka hai akhiri waqt tak nibhana".
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #204 on: August 15, 2005, 10:42:32 AM »
Reply with quote
ur welcome ............Nidhi ,,,,,,,,,,,,aur sukhriya ji ..........and again very meaningful thoughts....

Tere saath dekha har khwaab sach kar dikhana hai
na khona hai abh kisi bhi haal main tujhe bas pana hai
banake geet tujhe apne inn labhon pe sajana hai
na haarna hai iss mahobaat main hume tuh jeet ke dikhana hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #205 on: August 15, 2005, 06:21:01 PM »
Reply with quote
Thanx a lot sandhaya and again very well said as u always say Usual Smile .
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #206 on: August 17, 2005, 12:49:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
Thanx everyone.....very nice sandeep,sandhaya,touchy and bhambhra.

Another one for you amit:-

"Ajab dewangi chhai hai mujhpe,tera hi ek khayal hai,
 tu hi bata dilbar,tune banaya ye kya mera haal hai,
 bas tere siwa kuch na mujhe nazar aaye,
 bas tu hi tu,sirf tu mere dil ko bhaaye,
 makaam-manzil sab kuch tu hi to hai,
 rab se guzarish hai jaldi koi raah dikhaye,
 tu saamne na ho kar bhi har waqt saath hai,
 mazboot hain kadam,thhamein jo tera haath hain,
 har khushi ho teri,aur tu ho sirf mera,
 dil se nikle kuch aise aaj jazbaat hain,
 udhar tum khwab dekhte ho aur idhar main,
 in khwabon ko ekdin milke jaan deni hai hamein,
 toot na sakein,inko sahej kar rakhna,
 khwabon ko mere dil ke kareeb hi rakhna,
 na phir dooriyon ka koi nishan bhi rahega,
 jo sajaaya hai umeedon se,wo sapna sach hoga,
 bas itni justujoo hai meri tujhse ae hamsafar,
 khamoshiyon ko yun raah-e-manzil me na aane dena,
 saath hamein ek-dooje ka hai akhiri waqt tak nibhana".


thanks nidhi, its very beautiful, bahot achcha likhti ho hamesha hi

sandhya also, bahot achcha likha hai aapne.
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #207 on: August 18, 2005, 03:12:47 AM »
Reply with quote
Kyun mujhe aisa lagta hain ki tumne bhi kisi se pyaar kiya hain;
Bahut Khoobsurat hain yeh, tumne bhi iska maza liya hain.

Good work and it tells alot.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #208 on: August 18, 2005, 03:50:49 AM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
Thanx everyone.....very nice sandeep,sandhaya,touchy and bhambhra.

Another one for you amit:-

"Ajab dewangi chhai hai mujhpe,tera hi ek khayal hai,
 tu hi bata dilbar,tune banaya ye kya mera haal hai,
 bas tere siwa kuch na mujhe nazar aaye,
 bas tu hi tu,sirf tu mere dil ko bhaaye,
 makaam-manzil sab kuch tu hi to hai,
 rab se guzarish hai jaldi koi raah dikhaye,
 tu saamne na ho kar bhi har waqt saath hai,
 mazboot hain kadam,thhamein jo tera haath hain,
 har khushi ho teri,aur tu ho sirf mera,
 dil se nikle kuch aise aaj jazbaat hain,
 udhar tum khwab dekhte ho aur idhar main,
 in khwabon ko ekdin milke jaan deni hai hamein,
 toot na sakein,inko sahej kar rakhna,
 khwabon ko mere dil ke kareeb hi rakhna,
 na phir dooriyon ka koi nishan bhi rahega,
 jo sajaaya hai umeedon se,wo sapna sach hoga,
 bas itni justujoo hai meri tujhse ae hamsafar,
 khamoshiyon ko yun raah-e-manzil me na aane dena,
 saath hamein ek-dooje ka hai akhiri waqt tak nibhana".

It's Beautiful Nidhi....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #209 on: August 18, 2005, 03:51:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
ur welcome ............Nidhi ,,,,,,,,,,,,aur sukhriya ji ..........and again very meaningful thoughts....

Tere saath dekha har khwaab sach kar dikhana hai
na khona hai abh kisi bhi haal main tujhe bas pana hai
banake geet tujhe apne inn labhon pe sajana hai
na haarna hai iss mahobaat main hume tuh jeet ke dikhana hai

Good One Sandhaya.....

Zindagi chand lamhon ko ro hans ke bitaana hi nahi hai
Zindagi chand khwaabon ka dil se bhulana bhi nahi hai
Chand raahon pe magar khaamosh tanha chalte huwe
Zindagi sirf ek umr jiye jaana bhi nahi hai...
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17 18
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:00:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer