::Tu hi tu nazar aata hai::(for AMIT)

by nidhi_yadein on May 03, 2005, 04:31:18 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 18
ReplyPrint
Author  (Read 25278 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #30 on: May 05, 2005, 04:03:58 AM »
Reply with quote
buhat khoob..................amit...................... ...nidhi....................sandhya,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,sanya.................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*NAZAR NAHI AATA* by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
Jab Kabhi Samney Woh Mujhey Nazar Aata Hey by Zamir Ka Qaidi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~Nazar Aata hai~ by pankshivam in Shayri-E-Dard
Aapko Paakar Jahaan Badla Nazar Aata Hai by karndhar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Tera Chehra Nazar Aata Hai by Mohammad Touhid in Shayri for Khumar -e- Ishq
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #31 on: May 05, 2005, 07:07:36 AM »
Reply with quote
Thank u adesh ji,naveed. Usual Smile

"Kyon mera pyaar itna door hai mujhse,
 door hoke paas mehsoos karti hoon usse,
 wo hai meri zindagi,wo hai har khushi,
 usse jude mere har lafz,usse har shayri."
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #32 on: May 05, 2005, 07:37:56 AM »
Reply with quote
Quote from: "fakharenaveed"
buhat khoob..................amit...................... ...nidhi....................sandhya,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,sanya.................

sukhriya Faree...................

hum kojte rahe harsoo usko zamane bhar ki nigahon main
vo jo humari hi nigaho main chup ke baitha tha
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #33 on: May 05, 2005, 08:06:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "myheart_ursonly"
one more for you nidhi... Usual Smile

shaam ka sooraj dhalte hi, meri yaadon mein jo aati ho.
har pal karti ho dil ko bechain, jab apna keh kar mujhe bulati ho.

ek ajab si tanhai jo mujhe ghere, to aakar yahan muskuraati ho.
khushiyon se bhar deti ho fizayein, jab geet koi gungunaati ho.

tanha raaton mein kareeb aa kar, meri dhadkanon ko badhaati ho.
phir kar ke wo pyar bhari baatein, saari raat mujhe jagaati ho.

tum bin nahi is dil ko chain, apni yaadon se mujhe sataati ho.
tum mere ho, sirf mere, ye keh kar apne seene se lagaati ho.

khushiyon se bharti ho duniya meri, pal pal is ruh ko mehkaati ho.
nahi to sang, ye jaanta hun main, phir bhi har pal nazar aati ho.

very nice Myheart...really good lines

tere chehre se nazar kyun nahi hati
tere siva koi seh mujhe kyun nahi jachati

dil ko har pal kyun teri  hi yaad aati hai
kyun tanhai maeri tere hi aane se hai hasti

har gadi tere hi aane ki kyun aas rehti hai
tujhe dekh dekh ke kyun meri pyass nahi bhujti

ho jata hun main bechain kyun tujhse milne ko
meri aankhon main bhi kyun teri hi tasvir hai basti

kon ho tum ae ajnabi kyun ajnabi hoker bhi mujhe lagte ho apne
zindagi bhoj lagne laig hai tujhe khone se abh kyun main hun darti  

wah....sandhaya,very very nice.

"Mere chehre se teri nazar hategi kaise,
 tere bina meri yeh rooh jiyegi kaise...,

 tum ho aaj to hai duniya,har awaaz,
 tanhaai meri tera hi kare intezaar,
 
 dekh kar tujhe dil ki pyaas aur badh jaati hai,
 tumse milne ki khwahish tadap ban jaati hai,
 
 mere dil mein basi teri hi tasveer hai,
 jahan dekhti hoon nazar aate ho tum,

 kabhi chupke se kuch keh jaate ho,
 mujhe bohat sataate ho tum....,

 ek ajnabi se aaj tum sabkuch ban gaye ho mere liye,
 ab bata bhi do,kis jahan ki mehfil ho tum?Huh? ."
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #34 on: May 05, 2005, 08:17:24 AM »
Reply with quote
excellent words Tushar,especially the last line is very nice Usual Smile

Quote from: "sanya310"
pyar ke bina kuch nahi, ye humein samjha diya hai
pyar ki koi seema nahi, dunya ko dikha diya hai

meethe lafzon mein tumne bata diya hai
apna dil to tumne usi ko de diya hai

humne to tumhaara pura aitbaar kar liya hai
hadd se zyada pyar tumne usse kiya hai

is chhoti si nazm mein itna pyar bhar diya hai
wah nidhi aur amit, tumne sach mein kamaal kar diya hai

great work nidhi and amit bro...keep loving each other like this ...and all the best for everything in life...take care love you'll!! Usual Smile :hug:

so sweet sanya :hug:

Thank u sanya,very nice written Usual Smile

"Pyaar ka matlab khuda jaana hai,
 ehsaas ki har had ko apna maana hai,
 jabse chaha hai maine usse,
 use hi apni har saans maana hai,
 wo mera hai,main uski hoon,
 ye ek haqeeqat hai,na ki koi afsaana hai,
 sabke liye hain pyar ke alag alag maayne,
 par aisa kaun hai jisne pyaar ko na maana hai."
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #35 on: May 05, 2005, 08:20:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "myheart_ursonly"
one more for you nidhi... Usual Smile

shaam ka sooraj dhalte hi, meri yaadon mein jo aati ho.
har pal karti ho dil ko bechain, jab apna keh kar mujhe bulati ho.

ek ajab si tanhai jo mujhe ghere, to aakar yahan muskuraati ho.
khushiyon se bhar deti ho fizayein, jab geet koi gungunaati ho.

tanha raaton mein kareeb aa kar, meri dhadkanon ko badhaati ho.
phir kar ke wo pyar bhari baatein, saari raat mujhe jagaati ho.

tum bin nahi is dil ko chain, apni yaadon se mujhe sataati ho.
tum mere ho, sirf mere, ye keh kar apne seene se lagaati ho.

khushiyon se bharti ho duniya meri, pal pal is ruh ko mehkaati ho.
nahi to sang, ye jaanta hun main, phir bhi har pal nazar aati ho.

wow amit,such deep words,thank u so much :D

    Another one for you:-

"Tum ho mere,aaj ye ehsaas hai mere saath,
 sapne honge poore,dil me khwab hain aaj,
 kitna pyara lagta hai tumhara ye saath,
 mujhe nahi chahiye kuch bhi duniya se,
 bas,tum aa jao sadaa ke liye mere paas,
 tumhari kami bohat mehsoos hoti hai mujhe,
 ab to bujhaa jao iss dil ki pyaas....,
 ye dil tumhe pyar karta hai,tumhe yaad karta hai,
 chahte hain tumhein thaamna ye haath,
 khwabon me aakar roz mujhe jagaate ho,
 kabhi sach me aake dekho mera haal,
 tumhare pyar me is kadar khoyi rehti hoon,
 har pal lagta hai jaise ek nayaa saal,
 ye dooriyan,ye majbooriyan kab mitengi,
 mujhse nahi ab hota intezar......,
 is kadar pyaar karta hai tumse dil mera,
 tumne diya hai mere is dil ko basera,
 tumhari har ek adaa pe marta hai dil,
 tumhi toh ho meri zindagi,meri manzil."
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #36 on: May 05, 2005, 05:36:01 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "myheart_ursonly"
one more for you nidhi... Usual Smile

shaam ka sooraj dhalte hi, meri yaadon mein jo aati ho.
har pal karti ho dil ko bechain, jab apna keh kar mujhe bulati ho.

ek ajab si tanhai jo mujhe ghere, to aakar yahan muskuraati ho.
khushiyon se bhar deti ho fizayein, jab geet koi gungunaati ho.

tanha raaton mein kareeb aa kar, meri dhadkanon ko badhaati ho.
phir kar ke wo pyar bhari baatein, saari raat mujhe jagaati ho.

tum bin nahi is dil ko chain, apni yaadon se mujhe sataati ho.
tum mere ho, sirf mere, ye keh kar apne seene se lagaati ho.

khushiyon se bharti ho duniya meri, pal pal is ruh ko mehkaati ho.
nahi to sang, ye jaanta hun main, phir bhi har pal nazar aati ho.

wow amit,such deep words,thank you so much :D

bahot  khoob..........sanya......nidhi.........heart.... .......naveed,,,,,,,,,,,,,,nice work  all..........
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #37 on: May 05, 2005, 08:21:20 PM »
Reply with quote
You welcome Sandhya and  Waheed bhai thanx.........

meri zindagi mein tho bus raat hi raat hai abhi mazze kahan
Abhi sahar hone mein baki zara waqt hai abhi mazze kahan
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #38 on: May 06, 2005, 05:07:19 AM »
Reply with quote
Thank u waheed. Usual Smile !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #39 on: May 06, 2005, 09:06:06 AM »
Reply with quote
thanx naveed nidhi waheed!!!                                                                                                                                                                                                                                                ...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #40 on: May 06, 2005, 11:42:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
Thank you waheed. Usual Smile !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

hmmmmmmmmm   ur  welcome  nidhi......sanya.............. tongue3  tongue3  tongue3
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #41 on: May 06, 2005, 12:55:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "myheart_ursonly"
one more for you nidhi... Usual Smile

shaam ka sooraj dhalte hi, meri yaadon mein jo aati ho.
har pal karti ho dil ko bechain, jab apna keh kar mujhe bulati ho.

ek ajab si tanhai jo mujhe ghere, to aakar yahan muskuraati ho.
khushiyon se bhar deti ho fizayein, jab geet koi gungunaati ho.

tanha raaton mein kareeb aa kar, meri dhadkanon ko badhaati ho.
phir kar ke wo pyar bhari baatein, saari raat mujhe jagaati ho.

tum bin nahi is dil ko chain, apni yaadon se mujhe sataati ho.
tum mere ho, sirf mere, ye keh kar apne seene se lagaati ho.

khushiyon se bharti ho duniya meri, pal pal is ruh ko mehkaati ho.
nahi to sang, ye jaanta hun main, phir bhi har pal nazar aati ho.

wow amit,such deep words,thank you so much :D

    Another one for you:-

"Tum ho mere,aaj ye ehsaas hai mere saath,
 sapne honge poore,dil me khwab hain aaj,
 kitna pyara lagta hai tumhara ye saath,
 mujhe nahi chahiye kuch bhi duniya se,
 bas,tum aa jao sadaa ke liye mere paas,
 tumhari kami bohat mehsoos hoti hai mujhe,
 ab to bujhaa jao iss dil ki pyaas....,
 ye dil tumhe pyar karta hai,tumhe yaad karta hai,
 chahte hain tumhein thaamna ye haath,
 khwabon me aakar roz mujhe jagaate ho,
 kabhi sach me aake dekho mera haal,
 tumhare pyar me is kadar khoyi rehti hoon,
 har pal lagta hai jaise ek nayaa saal,
 ye dooriyan,ye majbooriyan kab mitengi,
 mujhse nahi ab hota intezar......,
 is kadar pyaar karta hai tumse dil mera,
 tumne diya hai mere is dil ko basera,
 tumhari har ek adaa pe marta hai dil,
 tumhi toh ho meri zindagi,meri manzil."

thanks a lot. achcha likha hai!
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #42 on: May 06, 2005, 12:57:14 PM »
Reply with quote
for you nidhi...

Is dil mein tumhaari ek tasveer hai basi,
wo jhuki palkein, hothon pe wo dabi si hansi...
wo haule se tumhaara, aa kar kuch keh jaana,
phir door jaa kar, pal pal mujhe sataana...
wo kaanon ki baali, wo maathe ka teeka,
wo khilkhila ke hansna, ke baki sab lage feeka...
chehra par bikhre, wo baal tumhaare,
dhoop se sunehre, lagte kitne pyaare...
wo gaalon ki laali, wo choodiyon ki khanak,
subah se bhi ujli, wo chehre ki chamak...
Wo sapnon mein aakar, mere dil ko lubhaana,
"Tum mere ho" ye keh kar, mujhpe hak jataana...
har ada tumhaari, mere is dil ko lubhaati,
apni khushboo se tum sab dishaon ko mehkaati...
tumhari ek tasveer maine is dil mein hai basaayi,
lagta hai jaise ek pari... us jahaan se hai aayi...
Logged
bond
Guest
«Reply #43 on: May 06, 2005, 03:32:09 PM »

class hai hearty.......... bahut khoob..........great..yaar..........
Logged
Meena
Guest
«Reply #44 on: May 06, 2005, 04:28:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
Dedicated to Amit(myheart_ursonly)

"Jahan dekhti hoon,tu hi tu nazar aata hai,
 teri tasveer se saza sansaar nazar aata hai,
 
 yeh kis duniya mein le aaye ho tum mujhe,
 khushiyon se bhara har geet nazar aata hai,

 tere pyar ne mujhe jo kuch bhi diya hai,
 saat janam saath rahega,itna kuch diya hai,
 
 aaj mere liye tum ho is zindagi se bhi badhkar,
 pehli baar oopar wale ne kuch saugaat me diya hai,

 tumhare saath bitaya har lamha kuch aisa hai,
 lagta hai tumne mujhe baharon sa sansar diya hai,

 tod kar saare bandhan tere bandhan me bandhungi,
 aaj mere dil ne ye paegaam tujhe diya hai,

 mujhe bharosa nahi hai zara bhi is domuhi duniya pe,
 par us vaade pe bharosa hai jo tumne mujhse kiya hai,

 tere liye main tayyar hoon is duniya se bhi ladne ko,
 kuch aisa paagalpan tere pyar ne mujhe diya hai,

 tum aaye ho jab se meri is zindagi me,
 pyar se chalakta har jaam maine piya hai,

 yunhi bana rahe saath tera mera sadaa,
 aise hi pyar karta rahega tujhe dil hamesha,

 maine lafzon se kuch bhi nahi kaha,
 par meri khamoshi ne sab kuch kaha hai,

 tumhari nazron ki kitabein padhi hain maine,
 har ek panna tera mujhse hi toh judha hai,

 har pal tumhe paas mehsoos karti hoon main,
 meri zindagi ka har pal sirf aur sirf tera hai,

 yakeen hai dil ko milenge ham ek din zaroor,
 ye yakeen bhi to akhir tera hi diya hua hai."

bohot hi pyara likha nidhi!!!!!!! so sweet amit is really very very very lucky to have u , such a wonderful person.

 :D
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 18
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:01:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer