::Tu hi tu nazar aata hai::(for AMIT)

by nidhi_yadein on May 03, 2005, 04:31:18 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 18
ReplyPrint
Author  (Read 25325 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #90 on: May 18, 2005, 06:47:37 AM »
Reply with quote
ur  welcome  heart..........bahot  accha  likha  dono ne  ....nidhi  aur  heart.........excellent  work..........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*NAZAR NAHI AATA* by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
Jab Kabhi Samney Woh Mujhey Nazar Aata Hey by Zamir Ka Qaidi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~Nazar Aata hai~ by pankshivam in Shayri-E-Dard
Aapko Paakar Jahaan Badla Nazar Aata Hai by karndhar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Tera Chehra Nazar Aata Hai by Mohammad Touhid in Shayri for Khumar -e- Ishq
myheart_ursonly
Guest
«Reply #91 on: May 18, 2005, 11:12:13 AM »
Reply with quote
thank you very much waheed Usual Smile thanks a lot for your sincere comments!
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #92 on: May 18, 2005, 01:40:16 PM »
Reply with quote
very well done nidhi good sentiments ....... izzat ke kabil hain ya izzat in ke kabil hai samajh nahi aata


'
Jab bhi apse milne ki takdeer nazar ayi
Mujhe pavon main bandhi zanzeer nazar ayi
Teri yaad main nikal pade mere aansu
Har aansu main teri tasweer nazar ayi.

'
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #93 on: May 18, 2005, 05:20:28 PM »
Reply with quote
Quote from: "myheart_ursonly"
for you nidhi... Usual Smile

tumhari yaad mein tumhein dhoondti har pal nazar,
wo masoom saa chehraa apna, dikhaa jao na ek din...
sadiyon se tumhein dil se pukara hai maine,
apne dil ki baat mujhe bhi, sunaa jao na ek din...

tumhaare sang jeevan bitana... meri hai khwahish,
mere sang reh kar meri is ruh ko mehka jao na ek din...
tumhaare bin ye jindagi hai bas kuch hi pal ki,
main tumhaare liye hun banaa, ye dikha jao na ek din...

bechain ye dil tarse pal pal pyaar ko tumhaare,
apne hothon se wo pyar ki bahar, barsa jao na ek din...
is mehki fiza mein meri khwahishein hain bikhri,
saare jahaan ki khushiyan dene, aa jao na ek din...

jindagi bhar saath nibhaane ka wada kiya jo tumne,
sang jeene marne ka wo wada, nibha jao na ek din...
dil ka dil se rishta, dil mein basa naam tumhara,
tum bhi apne dil ki har baat, bata jao na ek din...

tum bin jindagi ki sab khushiyan hain adhoori,
har khushi ko meri jindagi mein, basa jao na ek din...
tumhari aakhon se dekhe, jo khwab ab tak maine,
meri palkon pe wo sunehre khwab, saja jao na ek din...

har phool mein basi jaise tumhaari hi khushboo,
meri bagiya mein bhi ek phool khila jao ek din...
har sitaare mein hai tumhari choodiyon ki chamak,
apne haathon ki wo choodiyan, khanka jao ek din...




Thanx waheed and chiraag for appreciating my words. Usual Smile Well said chiraag.

Very very nice Amit,full of lovely dreams Usual Smile


Here's another one for u:-

"Mujhe dhoondti hai tumhari nazar,
 is baat ka ehsaas hota hai mujhe,
 tumhari tadap,tumhari bechaini..,
 tumhara intezar sab pata hai mujhe,
 sunna chahte ho tum mere dil ki baat,
 dil mera mehsoos karta hai ise,
 waqt ki dooriyan hai,lagti hai sadiyan,
 in sadiyon ko jeena hi hoga hamein,
 tumhari har pukar goonjti hai kaanon me,
 ise awaaz doongi main ek din,
 saath me tere jeena,saath me marna,
 meri bhi khwahish yahi hai...,
 in khwahishon ko zindagi banane,
 aaungi zaroor main ek din,
 janmo mehsoos karoge tum mujhe,
 aise rooh mehka jaungi ek din,
 duniya chahe kuch bhi keh le,
 tum bane ho sirf mere liye,
 ye duniya ko dikhla jaungi ek din,
 tumhari bikhri har khwahish ko sametne,
 behekti adaaon ko pyar me badalne,
 dher saara pyar laaungi ek din,
 dil me basa hai sirf tumhara naam,
 ye tumhe dikhla jaungi ek din,
 tumse kiye har us vaade ko nibhane,
 pyar ke rango se duniya basane,
 tumhe tumhi se churaungi ek din,
 meri ankho me amanat hain tumhare khwab,
 un khwabo ko zindagi de jaungi ek din,
 zingadi ki saari khushiyan......,
 sirf tumpe lutaungi ek din,
 khushbuon se mehekti fizaon se,
 tumhari bagiya ko bahaar de jaungi ek din,
 tumhare naam ki choodi pehnungi ek din,
 chand bhi jiski chamak se chup jayega,
 aise pyar doongi main tumhe,
 har murjhaya phool bhi khil jayega,
 tumhari sooni ankho ko kuch aisa de jaungi ek din,
 phir kabhi viraan na hogi zindagi tumhari,
 is kadar tumhari ho jaungi ek din,
 itna aur kehna chahoongi main tumse,
 ek din zaroor ayega woh din........."
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #94 on: May 18, 2005, 07:09:10 PM »
Reply with quote
no comments............................bcoz it`s not urs.........................sorry i 4get who is owner.........
Logged
Tosha
Guest
«Reply #95 on: May 19, 2005, 05:04:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
Thanx a lot vitasta,tosha,waheed,sandhaya and amol.

Excellent work Tosha and Sandhaya. Usual Smile


thanx a lot nidhi...bahut khoob chal rahi hai shayari is therad main
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #96 on: May 19, 2005, 05:07:58 AM »
Reply with quote
Quote from: "Tosha"
Quote from: "nidhi_yadein"
Thanx a lot vitasta,tosha,waheed,sandhaya and amol.

Excellent work Tosha and Sandhaya. Usual Smile


thanx a lot nidhi...bahut khoob chal rahi hai shayari is therad main
most welcome Tosha and Thanx a lot. Usual Smile

btw u must b mistaken naveed,coz its totally my work over here,i m not the kind of person who do copy-paste and dont even give credits to the writer.
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #97 on: May 19, 2005, 07:54:57 AM »
Reply with quote
bahut hi jya da khoobsoorat apke alfaaz hain NIdhi ji gustakhi maaf ho par ye lines hum apni diary mein likne ke liye le ja rahe hain . . . . . .

" yeh kis duniya mein le aaye ho tum mujhe,
khushiyon se bhara har geet nazar aata hai

tumhari nazron ki kitabein padhi hain maine,
har ek panna tera mujhse hi toh judha hai,

yakeen hai dil ko milenge ham ek din zaroor,
ye yakeen bhi to akhir tera hi diya hua hai. "

aur aapke liye hai ----------

'  tere is junoon ka natiza zaroor niklega
   jab seinchogi ise lahoo se to noor niklega  '

                                                 'chirag'
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #98 on: May 19, 2005, 08:27:22 AM »
Reply with quote
Nice work all of u ....keetp it up

dil ka dard kaise main bataun tumhe
apni zabaaton ko kaise main bataun tumhe
tum bin tuh abh mera dil kahin nahi lagta
jante ho ki mar jaungi main ye sunke
kahin keh na dena mujhse ki bhul jaun main tumhe
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #99 on: May 19, 2005, 01:25:22 PM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
bahut hi jya da khoobsoorat apke alfaaz hain NIdhi ji gustakhi maaf ho par ye lines hum apni diary mein likne ke liye le ja rahe hain . . . . . .

" yeh kis duniya mein le aaye ho tum mujhe,
khushiyon se bhara har geet nazar aata hai

tumhari nazron ki kitabein padhi hain maine,
har ek panna tera mujhse hi toh judha hai,

yakeen hai dil ko milenge ham ek din zaroor,
ye yakeen bhi to akhir tera hi diya hua hai. "

aur aapke liye hai ----------

'  tere is junoon ka natiza zaroor niklega
   jab seinchogi ise lahoo se to noor niklega  '

                                                 'chirag'


my pleasure chiraag ji,ki aapne mere likhe alfaaz ko is kaabil samjha,bohat bohat shukriya....bohat khoob likha aapne bhi,just in two lines,u said everything. Usual Smile

Thank u sandhaya,and as always,excellent work.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #100 on: May 20, 2005, 12:16:26 AM »
Reply with quote
Excellent Amit, Nidhi, Chiraaaagh & Sandhaya........Bohat khoob dosto....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #101 on: May 20, 2005, 12:22:23 AM »
Reply with quote
Jhaankta hai teri aankhon se zamaane ka khala
Tere honton pe musallat hai bari deir ki pyaas
Tere seene mein raha shor-e-bahaaran ka kharosh
Ab tau saanson mein na garmi hai na awaaz na baas
Tu ne ik umr se baazoo bhi nahi phailaaye
Phir bhi baaahon mein hai sadiyon ki thakan ka ehsaas
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #102 on: May 20, 2005, 05:05:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Jhaankta hai teri aankhon se zamaane ka khala
Tere honton pe musallat hai bari deir ki pyaas
Tere seene mein raha shor-e-bahaaran ka kharosh
Ab tau saanson mein na garmi hai na awaaz na baas
Tu ne ik umr se baazoo bhi nahi phailaaye
Phir bhi baaahon mein hai sadiyon ki thakan ka ehsaas
Thanx a lot Aryaan and very very nice written Usual Smile
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #103 on: May 20, 2005, 05:43:55 AM »
Reply with quote
sukhriya NIdhi ji ,.......and Aryaan j i........aur Aryaan ji kya tarif karun main abh aapki ........too good

baahein faila ke usne mujhko pukara kuch iss tarah
maine khudko sambala bahut smabhala iss tarah
uthte gaye naage paun uski taraf madhoshi main iss tarah
kisi tufan main kashti ko mil gaya kinara ho jis tarah
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #104 on: May 20, 2005, 05:51:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
sukhriya NIdhi ji ,.......and Aryaan j i........aur Aryaan ji kya tarif karun main abh aapki ........too good

baahein faila ke usne mujhko pukara kuch iss tarah
maine khudko sambala bahut smabhala iss tarah
uthte gaye naage paun uski taraf madhoshi main iss tarah
kisi tufan main kashti ko mil gaya kinara ho jis tarah
wow sandhaya,bohat hi pyaara sher likha hai aapne.

"Nigaahon se jo teer wo chala gaye,
 madhosh hame is kadar kar gaye ,
 kya hai unme aisa jo dil mera mere kaabu me nahi,
 dil ki kashti is tarah paar wo laga gaye hain."
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 18
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:47:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer