Tu rakeeboN ki janib sarakti rahi

by harashmahajan on March 09, 2008, 04:06:45 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 3908 times)
harashmahajan
Guest
Reply with quote
Tu rakeeboN ki janib sarakti rahi

Tu rakeeboN ki janib sarakti rahi,
MaiN sulagta raha tu bahekti rahi.

MaiN tere anjuman main yuiN hi raat –din,
Bas tahelta raha tu bikharti rahi.

Tu toh GairoN ki mehfil main hansti rahi,
MaiN toh Ghut.ta raha tu machalti rahi.

MaiN toh jazbatoN se khwaab bunta raha,
Par wafa kerke bhi tu palat.ti rahi.

MaiN teri rahoN se shool chunta raha,
Per ye dard aahoN main tu badalti rahi.

Mere khwaboN ki mehfil maiN lout aao tum,
Meri manzil yahi tu kuchalti rahi.


Harash
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERI JANIB AGAR CHALE HOTE by ammna in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Tu RakeeboN kiJaanib by harashmahajan in Shayri for Khumar -e- Ishq
ye kiss Janib Zamane ne ungli utha-e- hai !! by abdulqadeer in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
**Seh rahi hai** by dead heart in Miscellaneous Shayri
punam
Guest
«Reply #1 on: March 09, 2008, 04:09:24 PM »
Reply with quote
wow bahot khoob harsh ji...bahot hi acha hai..
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: March 09, 2008, 04:17:40 PM »
Reply with quote
Marvellous Harash....bohot hi khoobsurat peshkash hai Applause
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #3 on: March 09, 2008, 04:27:43 PM »
Reply with quote
punam ji achha laga ke is mehfil-e-yarana maiN padne waloN ko tehreereiN pasand aa rahi hai.....

Talat ji...... bahoot bahoot shukriya....aapki daad ke liye....itne senior member hone ke naate..mujhze umeed hai ki ..Genereal rules ke liye muzhe aap agaah kerti rahengi...


Harash
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #4 on: March 09, 2008, 04:53:25 PM »
Reply with quote
Wah harashmahajan ji!!!
padh kar dil se besakhta nikla Subhanallah!!!
bohot achhchha likha he or tanziya bhi.
(Aap ne to mere sare zakhm taza kardye)

++++++++++
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #5 on: March 09, 2008, 05:10:48 PM »
Reply with quote
Shukriyaah Sayyid Randeri ji....dil ko sakooN miltahai jab kisi ko ......  peshkash achhi lage....our aapka azaad ashar apni ahmiat liye hue....poore taab per hai....Ek khoobsoorat andaaz ......bohat acha likha aap ne.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #6 on: March 09, 2008, 05:17:16 PM »
Reply with quote
shukriya harash ji aapne pasand farmaya
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: March 10, 2008, 01:03:45 AM »
Reply with quote
Bohot khoob Sayyid...chand alfaz magar bohot khoobsurat..!!

Harsh, izzat-afzai ka shukriya....mere khyal main ye ghazal dard-e-bewafi ya Dard main zyada theek rahegi..agar aapko theek lage to Monitors ise move kar sakte hain.

Apke aur Sayyid ke kalam ke saamne kuch likhna mushkil hai, phir bhi ek adna si koshish..



Laut aayenge wo ek roz mere paas
Isi ummeed pe din guzarte rahe

Shab-e-tanhaayi main hum, aasman main wo chaand
Dono hi safar tanhaa karte rahe

Dard-e-dil se iss dunya ko kya waasta
So, chupa ke hum askhon ko, hanste rahe

Hum unse shikayat karen bhi to kya
Jafa karke wo rasm-e-ishq poori karte rahe

Dawaa koi zakhm mere bhar naa saki,
wo chot karte rahe, chot karte rahe
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #8 on: March 10, 2008, 03:46:04 AM »
Reply with quote
Quote
Harsh, izzat-afzai ka shukriya....mere khyal main ye ghazal dard-e-bewafi ya Dard main zyada theek rahegi..agar aapko theek lage to Monitors ise move kar sakte hain.

Apke aur Sayyid ke kalam ke saamne kuch likhna mushkil hai, phir bhi ek adna si koshish..




Laut aayenge wo ek roz mere paas
Isi ummeed pe din guzarte rahe

Shab-e-tanhaayi main hum, aasman main wo chaand
Dono hi safar tanhaa karte rahe

Dard-e-dil se iss dunya ko kya waasta
So, chupa ke hum askhon ko, hanste rahe

Hum unse shikayat karen bhi to kya
Jafa karke wo rasm-e-ishq poori karte rahe

Dawaa koi zakhm mere bhar naa saki,
wo chot karte rahe, chot karte rahe

Talat ji adaab...HaaN talat ji aap ise moov ker deiN...ise sahi mukaam per pahooNcha deiN....Aapko Ghazal ka mazmoon our taseer pasand ayi ...yahi tehreer ko uska tohfa hai.....

Our talat ji ye kya keh diyaa aapne....aapki tehreer ne toh hila ke rakh diya...itna dard liye hue ek ek misra aapki shasiat ko ukerta chala ja raha hai...waah bahoot khoob.....aapke jazbat kis tarah dard se khel rahe haiN...jaise aap dard likhne ke mahir haiN..... iss hasiin-tariin nazm ko yahaaN pesh karne ke liye maiN aapka mamnoon hooN  Talat ji....ummiid hai ye karam_farmaaii aage bhii haasil hoti rahegi...shukriyaa ...aaki tehreer ko izzat bakshte hue maiN ek ashar kehna chahooNga talat ji.....

Pyaar maiN unsey is kader kerta chala jaooN
Woh Zakhm diye chale jayeiN maiN bharta chala jaooN
Unki ye zid ki woh mujhe maar hi daaleiN
Meri ye zid ki unpey marta chala jaooN



Harash

 
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: March 10, 2008, 04:56:17 AM »
Reply with quote
Bohat acha likha hai harash ji Usual Smile
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #10 on: March 10, 2008, 05:07:52 AM »
Reply with quote
BAHOOT  BAHOOT SHUKRIYAA HONEY JI....
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: March 10, 2008, 11:47:48 AM »
Reply with quote

Talat ji adaab...HaaN talat ji aap ise moov ker deiN...ise sahi mukaam per pahooNcha deiN....Aapko Ghazal ka mazmoon our taseer pasand ayi ...yahi tehreer ko uska tohfa hai.....

Our talat ji ye kya keh diyaa aapne....aapki tehreer ne toh hila ke rakh diya...itna dard liye hue ek ek misra aapki shasiat ko ukerta chala ja raha hai...waah bahoot khoob.....aapke jazbat kis tarah dard se khel rahe haiN...jaise aap dard likhne ke mahir haiN..... iss hasiin-tariin nazm ko yahaaN pesh karne ke liye maiN aapka mamnoon hooN  Talat ji....ummiid hai ye karam_farmaaii aage bhii haasil hoti rahegi...shukriyaa ...aaki tehreer ko izzat bakshte hue maiN ek ashar kehna chahooNga talat ji.....

Pyaar maiN unsey is kader kerta chala jaooN
Woh Zakhm diye chale jayeiN maiN bharta chala jaooN
Unki ye zid ki woh mujhe maar hi daaleiN
Meri ye zid ki unpey marta chala jaooN



Harash

 


Bhot bohot shukriya Harash, is taareef ke aage hum to sharmsaar ho gaye hain... color Dard likhne main maahir to nahin, par hume dard likhna achcha lagta hai..Khumar-e-ishq likhen to usmain bhi kahin na kahin dard chalak hi jata hai !

Aapne bohot hi achcha likha hai !!


Chaar lafz keh gaye wo mohabbat bhare
Aur hum raat bhar khwaab bunte rahe

Jaane kitne samundar the in aankhon main
Ashk behte rahe, aur wo chunte rahe !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: March 10, 2008, 03:00:46 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Harsh and Talat!!!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #13 on: March 10, 2008, 06:27:36 PM »
Reply with quote
Bohot hi umda likha talat aapne

Dawaa koi zakhm mere bhar naa saki,
wo chot karte rahe, chot karte rahe

or padh ke ham ? Aah barte rahe, Aah bharte rahe
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: March 10, 2008, 07:03:27 PM »
Reply with quote
Thanks Pooja....bohot bohot shukriya Sayyid Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 09:34:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer