Tu rakeeboN ki janib sarakti rahi

by harashmahajan on March 09, 2008, 04:06:45 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 3909 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #15 on: March 10, 2008, 07:21:25 PM »
Reply with quote
Talat wrote:-

Quote
Bhot bohot shukriya Harash, is taareef ke aage hum to sharmsaar ho gaye hain...  Dard likhne main maahir to nahin, par hume dard likhna achcha lagta hai..Khumar-e-ishq likhen to usmain bhi kahin na kahin dard chalak hi jata hai !

Aapne bohot hi achcha likha hai !!



Chhaar lafz keh gaye wo mohabbat bhare
Aur hum raat bhar khwaab bunte rahe

Jaane kitne samundar the in aankhon main
Ashk behte rahe, aur wo chunte rahe !!

NahiN talat ji...sharamsaar kyuiN?....aapko fakra hona chaiye ke aapne dard ko apni kalam  se apne anjaam  tak pahoonchaya hai..Dard likhti ho.....tabhi jawaab de lete ho......Verna Dard ko likhna  bahoot mushqil hai ......Mujhe dard likhte arsa beet gaya.......our shayad Dard ke soudagar hi haiN....HameiN  toh baaki sab murda parasti hi lagti hai Talat ji........Ek baar phir shukriyaa

Hamne mana ki JazboN se hi shayar ki hasti hai
Dard liye Goomte haiN  phir  bhi yahaaN masti hai
Wafa mohabbat, pyaar our qurbani ka hum kya kareiN
Ye khayaloN ki nahiN,lagta hai murda parastoN ki basti hai.
[/b][/font]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERI JANIB AGAR CHALE HOTE by ammna in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Tu RakeeboN kiJaanib by harashmahajan in Shayri for Khumar -e- Ishq
ye kiss Janib Zamane ne ungli utha-e- hai !! by abdulqadeer in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
**Seh rahi hai** by dead heart in Miscellaneous Shayri
harashmahajan
Guest
«Reply #16 on: March 10, 2008, 07:28:12 PM »
Reply with quote
Shukriya pooja ji......

bahoot khoob Harsh and Talat!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: March 11, 2008, 12:41:04 PM »
Reply with quote

NahiN talat ji...sharamsaar kyuiN?....aapko fakra hona chaiye ke aapne dard ko apni kalam  se apne anjaam  tak pahoonchaya hai..Dard likhti ho.....tabhi jawaab de lete ho......Verna Dard ko likhna  bahoot mushqil hai ......Mujhe dard likhte arsa beet gaya.......our shayad Dard ke soudagar hi haiN....HameiN  toh baaki sab murda parasti hi lagti hai Talat ji........Ek baar phir shukriyaa

Hamne mana ki JazboN se hi shayar ki hasti hai
Dard liye Goomte haiN  phir  bhi yahaaN masti hai
Wafa mohabbat, pyaar our qurbani ka hum kya kareiN
Ye khayaloN ki nahiN,lagta hai murda parastoN ki basti hai.
[/b][/font]

Bohot bohot shukriya Harash...!! Usual Smile

Ek baar phir se bohot khoob...!  Applause

Khyaalon main hain veerane, nazar yunhi bhatakti hai
Ghum ke saaye odhe hain yoon, khushi door chalti hai
Koi shikwa nahin humko, na gila hai apni taqdeer se
Pooche koi to kehte hain, ye aankh yunhi barasti hai !!! tearyeyed
 
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #18 on: March 11, 2008, 12:52:51 PM »
Reply with quote
Very Nice Work Harsh, Sayyid and Talat...
Logged
punam
Guest
«Reply #19 on: March 11, 2008, 01:06:10 PM »
Reply with quote
sab bahot hi acha likhe..
Harsh ji, Sayyid ji and Talat di...
Logged
farawaynuts123
Guest
«Reply #20 on: March 11, 2008, 04:07:53 PM »
Reply with quote
harsh.,........this poem is amazing..........
Logged
Roja
Guest
«Reply #21 on: March 11, 2008, 04:11:17 PM »
Reply with quote
wah sab k sab bahut khoob likhe hai
Harash ji,Talat sis, siyyad ji
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #22 on: March 11, 2008, 06:45:52 PM »
Reply with quote
Adaab talat ji ,shikha ji,arawaynuts ji, punam ji our Roja ji.....maiN aap sabhi ka  mamnoon hoon ki aapne ....is tehreer peer tawazzo  di....Shukriyaa^h...


Talat wrote....

Quote
Bohot bohot shukriya Harash...!!

Ek baar phir se bohot khoob...! 


Khyaalon main hain veerane, nazar yunhi bhatakti hai
Ghum ke saaye odhe hain yoon, khushi door chalti hai
Koi shikwa nahin humko, na gila hai apni taqdeer se
Pooche koi to kehte hain, ye aankh yunhi barasti hai !!! 


Ek behtareen soch hai tumhari Talat  ji....Ashq bahate bhi ho our chhupaate bhi ho...waah....Lagta hai Dard ka kaaro-baar khoob chal nikla  hai....meri taraf se daad kabool kareiN......

Apke sher ko samarpit ek sher talat  ji.........

KyuiN  saaye se  bhi ashqoN ko chhupate ho tum
Rote ho toh kyuiN charagoN ko bhujaate ho  tum
Kutchh kehne ko bhi aaj kutchh nahiN bacha yahaN
Dil se chahte ho toh kyuiN ashqoN ko sajate ho tum


Harash
[/font][/color]

Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: March 11, 2008, 06:51:42 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Talat aor Harsh ji!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #24 on: March 11, 2008, 07:00:34 PM »
Reply with quote
Bahoot bahoot shukriya Pooja  ji.....
[/font][/color]
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: March 11, 2008, 10:40:07 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Shikha, Punam, Roja and Pooja Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: March 11, 2008, 10:56:30 PM »
Reply with quote

Ek behtareen soch hai tumhari Talat  ji....Ashq bahate bhi ho our chhupaate bhi ho...waah....Lagta hai Dard ka kaaro-baar khoob chal nikla  hai....meri taraf se daad kabool kareiN......

Apke sher ko samarpit ek sher talat  ji.........

KyuiN  saaye se  bhi ashqoN ko chhupate ho tum
Rote ho toh kyuiN charagoN ko bhujaate ho  tum
Kutchh kehne ko bhi aaj kutchh nahiN bacha yahaN
Dil se chahte ho toh kyuiN ashqoN ko sajate ho tum


Harash
[/font][/color]



Zarranawazi ka bohot bohot shukriya Harash Usual Smile

Saaye ko jism se door hua dekha hai
Phoolon se aksar khushbu ko juda dekha hai
Dard ki tanhaiyon main ek hum hi to nahin yahan
Taaron ke beech aasman main, chaand tanha dekha hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #27 on: March 12, 2008, 01:42:31 AM »
Reply with quote

NahiN talat ji...sharamsaar kyuiN?....aapko fakra hona chaiye ke aapne dard ko apni kalam  se apne anjaam  tak pahoonchaya hai..Dard likhti ho.....tabhi jawaab de lete ho......Verna Dard ko likhna  bahoot mushqil hai ......Mujhe dard likhte arsa beet gaya.......our shayad Dard ke soudagar hi haiN....HameiN  toh baaki sab murda parasti hi lagti hai Talat ji........Ek baar phir shukriyaa

Hamne mana ki JazboN se hi shayar ki hasti hai
Dard liye Goomte haiN  phir  bhi yahaaN masti hai
Wafa mohabbat, pyaar our qurbani ka hum kya kareiN
Ye khayaloN ki nahiN,lagta hai murda parastoN ki basti hai.
[/b][/font]

Bohot bohot shukriya Harash...!! Usual Smile

Ek baar phir se bohot khoob...!  Applause

Khyaalon main hain veerane, nazar yunhi bhatakti hai
Ghum ke saaye odhe hain yoon, khushi door chalti hai
Koi shikwa nahin humko, na gila hai apni taqdeer se
Pooche koi to kehte hain, ye aankh yunhi barasti hai !!! tearyeyed
 
ahaa talat sis... bahut khoob
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #28 on: March 12, 2008, 03:10:09 AM »
Reply with quote
Talat wrote:-

Quote
Zarranawazi ka bohot bohot shukriya Harash


Saaye ko jism se door hua dekha hai
Phoolon se aksar khushbu ko juda dekha hai
Dard ki tanhaiyon main ek hum hi to nahin yahan
Taaron ke beech aasman main, chaand tanha dekha hai

bahut-bahut shukriyaah Talat ji  jo aapko ye ashar pasaNd aaya....ummiid hai ye karam-farmaaii yooN hi inaayat hotii rahegii......khudaa aap ko salaamat rakhe...

sadaa khush rahiye..
 

lliijiye ek ashar our janaab mulaahiza farmaaiye...


 
jaane kyuiN Jalne lagi haiN tanhaiyaN teri hi yadoN se
Toote hue tere saaye  bhi sapnoN maiN raNg bharne lage.

Harash


Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: March 12, 2008, 10:32:36 PM »
Reply with quote
Thanks Roja Usual Smile Bohot bohot shukriya Harash...ek baar phir se bohot khoob likha aapne.



Khwaabon ka silsila chalne laga hai
Ek rang aankhon main sajne laga hai
Chalo ab sajayen hum ye sooni kalai
Aaeene main mera aks nikharne laga hai !!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 09:49:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer