Tum aa gaye

by klaskar on April 11, 2010, 06:49:23 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 850 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote
Hamesha dard pe hi likhta hoon. Koshish ki hai is baar dard se kuch hat ke likhne ki. Jaane aap sabko kaisa lagega...

Bhatak raha tha anjaan dagar me,
Hamsafar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye....

Khush hota tha ye soch k ki main khush hoon,
Shayad maalom na tha ki khsuhi kya hoti hai,
Muskurata tha ye soch k ki main khush hoon,
Shayad maloom na tha ki muskurahat kya hoti hai,
Raah me kai log mile mujhe ,
Kuch khaas banke tum aa gaye
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Hosh na tha ye khud ko ki jaana kahaan hai mujhe,
Aankhen band karke zindagi k safar pe chala tha main,
Ek pal k liye bhi ye na socha ki q chal raha hoon main,
Badhawas hoke zindagi k safar pe chala tha main,
Na koi khwaaish thi zindagi se meri,
Ehsaas dilane tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Kabhi kabhi ye khayal aata hai mujhe,
Saanse chalti hain to wo chalti q hain,
Saathi kai hain mere apne, par fir bhi
Tumse milne ko umange machalti q hain,
Jaana chahta tha main zindagi se dur,
Par zindagi banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Kal ki hi baat hai tum mere liye paheli thi,
Poocha karta tumse main yahi baat har baar,
Kaun ho tum, meri zindagi me q aaye ho tum,
Muskurake tum ye kehti, dost hoon main,
Ghayal tha main zindagi ki chot se,
Aitbaar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Aasoon mere sathi the, ghum the mere humdam,
Dard se ishq hua tha mujhko, gumsum rehta tha mai hardam,
Tumne aake haath jo thama bhool gaya tha main har gham,
Dil ko mere jo tumne chhua to bajne lage the sargam,
Zindagi meri thi sukhi niras,
Sangeet banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Aasmaan me chaand sitaare, lagte kitne pyaare pyaare,
Baagon me jab phool khile to sundar ho jate hain ye nazaarein,
Ek tere aa jaane se sawar gaya hai jeewan apna,
Sukhi banjar bhoomi me bhi ab to aane lagi baharein,
Berang tha ye jeewan mera,
Sringaar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Bhatak raha tha anjaan dagar me,
Hamsafar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kha gaye by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
Tum kya Gaye by Jazztunez in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tum hume bhool gaye,bhool gaye by karan q in Shayri for Dard -e- Judai
Kadi Kol Aa Gaye Kadi Door Ho Gaye by Naya_Daur in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aa gaye hain sanam: dard key din gaye! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2010, 07:32:29 AM »
Reply with quote
Badi khoobsurti se likha hai aap ne apne tanha jeevan  ke baare mein Kapil Ji, Bas aise hi likhte rahiye
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: April 11, 2010, 09:15:37 AM »
Reply with quote
Wah wah Kapil ji bahut pasand aayi aapke kavita.too good ,mindblowing creation Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #3 on: April 11, 2010, 11:30:04 AM »
Reply with quote
bahut umda peshkash. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: April 11, 2010, 06:09:14 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Rajesh ji hamari kavita ko pasand karne k liye aur hamara hausla afzai karne k liye. bahut bahut shukriya Rajesh ji...!!!

Badi khoobsurti se likha hai aap ne apne tanha jeevan  ke baare mein Kapil Ji, Bas aise hi likhte rahiye
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: April 11, 2010, 06:12:33 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Madhu ji... bahut achcha laga ye jaanke ki aapko hamari kavita pasand aayi... ye maine kuch din pehle apne ek khaas dost k liye likha tha aur ab aap bhi mere dost ban gaye hain... so kuch hadd tak ye kavita aapke liye bhi sahi kahi jaa sakti hai...!!!

Wah wah Kapil ji bahut pasand aayi aapke kavita.too good ,mindblowing creation Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: April 11, 2010, 06:23:57 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Suresh ji...!!!

bahut umda peshkash. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:41:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer