----- /// Tum aaye ho /// -----

by klaskar on September 23, 2010, 08:52:46 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3707 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
Reply with quote

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

raahe zindagi mein kai humsafar mile, kai bichhde,
tum zindagi bhar ke liye mera humsafar banke aaye ho,

pehle miley ajnabi ke jaise, mujhse tum anjaan banke,
ab meri is zindagi me tum koi khumaar banke aaye ho,

zindagi thi sooni meri, na dost na koi humdum hi tha,
tum to meri zindagi me meri zindagi hi banke aaye ho,

zindagi mein ghum hi tha, na muskuraane ki koi wajah thi,
tum to meri zindagi mein jaise koi muskaan banke aaye ho,

tum to meri zindagi me mera aetbaar banke aaye ho,
tum to meri zindagi me pyaar beshumaar banke aaye ho,

aur ab...

lagta hai aisa har pal mujhe ki tum nahi to kuch nahi,
bheed me bhi lagta hoon tanha, tum nahi to kuch bhi nahi,

phool bhi gulaab ka ye kehta hai mujhse kabhi,
haath me uske na pahuchu to wajood mera bhi nahi,

kaanton se ghira hua hoon, chubhte hain mujhe subha shaam,
saath uska na mila to zindagi to meri zindagi nahi,

kuch is tarha ki kahaani kamal bhi kehta hai mujhse,
kichad me dooba hua hoon, mera koi astitwa nahi,

chhoo le wo agar ek baar, aa jaaye mujhpe bahaar,
kichad ka hoon, kichad me hoon, wo nahi to main kuch nahi,

phoolon ka main kya kahun, kuch kahaani yun meri bhi hai,
tanha hoon main bin tumhaare, tum nahi to main bhi nahi,

khoya rehta hoon main har pal, yaadon mein bas tumhaare,
saath ek pal ka na mile, kho jaata hoon main jaane kahi,

sach....

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho...

*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aap aaye the to ... by Bulla Ki Jaana in Ghazals
tum aaye ho.........? by kismis in Shayri for Khumar -e- Ishq
WOH AAYE NA AYE by srikant in Shayri for Khumar -e- Ishq
wo aaye by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Aaye hi nhi... by brokenbyluv in Shayri-E-Dard
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #1 on: September 23, 2010, 09:02:38 AM »
Reply with quote
kapil jii dil se daad..hazir hee..bahut sundar peshkash he!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #2 on: September 23, 2010, 09:11:14 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Abhi ji....!!!

kapil jii dil se daad..hazir hee..bahut sundar peshkash he!
Logged
Fivester
Guest
«Reply #3 on: September 23, 2010, 09:26:52 AM »
Reply with quote
Nice hai
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #4 on: September 23, 2010, 10:05:46 AM »
Reply with quote
Kapil mast mast massssssssssssssstam reeeeeeeeeeeeeeeeeee..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Yehh safar-naama apney jeevan ka tumne bayaan kar diya
Mere aane k pehle meri kami k ehsaas ka elaan kar diya

Mein kya hu tere liye ek ehsaas se jayaada kuchh bhi nahi
Tu maanta aaftaab,mein ek kiran se jayaada kuchh bhi nahi

Hu gulaab kabhi kamal ya bas ek mehakti khshboo hoon mein
Behti hawaka jhonkha banke aayi teri jeevan bagiya me mein

Murjha raha tha tere pyaar ka paudha,jab mausame patjhar me
Ban ke tera bhoola huaa pyaar, liye khumaar aayee hoon mein

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

raahe zindagi mein kai humsafar mile, kai bichhde,
tum zindagi bhar ke liye mera humsafar banke aaye ho,

pehle miley ajnabi ke jaise, mujhse tum anjaan banke,
ab meri is zindagi me tum koi khumaar banke aaye ho,

zindagi thi sooni meri, na dost na koi humdum hi tha,
tum to meri zindagi me meri zindagi hi banke aaye ho,

zindagi mein ghum hi tha, na muskuraane ki koi wajah thi,
tum to meri zindagi mein jaise koi muskaan banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

tum to meri zindagi me mera aetbaar banke aaye ho,
tum to meri zindagi me pyaar beshumaar banke aaye ho,

aur ab...

lagta hai aisa har pal mujhe ki tum nahi to kuch nahi,
bheed me bhi lagta hoon tanha, tum nahi to kuch bhi nahi,

phool bhi gulaab ka ye kehta hai mujhse kabhi,
haath me uske na pahuchu to wajood mera bhi nahi,

kaanton se ghira hua hoon, chubhte hain mujhe subha shaam,
saath uska na mila to zindagi to meri zindagi nahi,

kuch is tarha ki kahaani kamal bhi kehta hai mujhse,
kichad me dooba hua hoon, mera koi astitwa nahi,

chhoo le wo agar ek baar, aa jaaye mujhpe bahaar,
kichad ka hoon, kichad me hoon, wo nahi to main kuch nahi,

phoolon ka main kya kahun, kuch kahaani yun meri bhi hai,
tanha hoon main bin tumhaare, tum nahi to main bhi nahi,

khoya rehta hoon main har pal, yaadon mein bas tumhaare,
saath ek pal ka na mile, kho jaata hoon main jaane kahi,

sach....

raahe zindagi mein kai humsafar mile, kai bichhde,
tum zindagi bhar ke liye mera humsafar banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho...

*****HRIDAY*****
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #5 on: September 23, 2010, 02:02:03 PM »
Reply with quote
Thanks a lot hai ji...!!!

Nice hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #6 on: September 23, 2010, 04:21:36 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Koyal... aapne bhi bahut khoob likha hai... thanks for the sweet sweet reply... abhi kuch bana nahi mujhse... bante hi aapka reply karunga main...!!!

Kapil mast mast massssssssssssssstam reeeeeeeeeeeeeeeeeee..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Yehh safar-naama apney jeevan ka tumne bayaan kar diya
Mere aane k pehle meri kami k ehsaas ka elaan kar diya

Mein kya hu tere liye ek ehsaas se jayaada kuchh bhi nahi
Tu maanta aaftaab,mein ek kiran se jayaada kuchh bhi nahi

Hu gulaab kabhi kamal ya bas ek mehakti khshboo hoon mein
Behti hawaka jhonkha banke aayi teri jeevan bagiya me mein

Murjha raha tha tere pyaar ka paudha,jab mausame patjhar me
Ban ke tera bhoola huaa pyaar, liye khumaar aayee hoon mein

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #7 on: September 23, 2010, 06:57:31 PM »
Reply with quote
main aapka tahe dil se shukriya adaa karta hoon Shihab ji... bahut bahut shukriya ...!!!

Dil Ke Ehsaasaat Ko Lafzon Mein Pirone Ki
Aapne Bahut Achchi Koshish Hai Klaskar Ji.
Bahut Khoobsurat Ehsasa Hain.Good Job.
Aur Koyal Sis Aapne Bhi Achcha Saath Diya Hai
Bahut Khub...

Khush Rahiye...

~Shihab~

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: September 23, 2010, 07:02:52 PM »
Reply with quote
Wah wah Kapil ji ,bahut khoobsurti se apne ehsaaso ko likha aapne aur  Koyal sis ne bhi khoob saath diya.great creation.excellent icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #9 on: September 23, 2010, 07:12:43 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Madhu ji...!!!

Wah wah Kapil ji ,bahut khoobsurti se apne ehsaaso ko likha aapne aur  Koyal sis ne bhi khoob saath diya.great creation.excellent icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
neelgold
Guest
«Reply #10 on: September 23, 2010, 08:26:20 PM »
Reply with quote
Vah vah vah!!!!!!!!!!

Bhut hi khoobsoorat ehsas.......beautiful feelings...

Ab ki baar is bhahar ko youn basa lena
Rok lena kuch aise ki ab isse jane na dena....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #11 on: September 23, 2010, 08:36:40 PM »
Reply with quote
yahi to problem hai Neel ji... isko baandh ke nahi rakh sakta .... aur thank you so much for your sweet compliments....!!!

Vah vah vah!!!!!!!!!!

Bhut hi khoobsoorat ehsas.......beautiful feelings...

Ab ki baar is bhahar ko youn basa lena
Rok lena kuch aise ki ab isse jane na dena....
Logged
neelgold
Guest
«Reply #12 on: September 23, 2010, 08:38:19 PM »
Reply with quote
Kisse band karna hai ?

didnt get u ..

yahi to problem hai Neel ji... isko baandh ke nahi rakh sakta .... aur thank you so much for your sweet compliments....!!!

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #13 on: September 23, 2010, 08:41:16 PM »
Reply with quote
apne dil ko... kab, kahaan , kispe aa jaaye kuch nahi pata ...!!!

Kisse band karna hai ?

didnt get u ..

Logged
neelgold
Guest
«Reply #14 on: September 23, 2010, 08:44:40 PM »
Reply with quote

aree aise maat udne do apne dil ko ..

samze....

apne dil ko... kab, kahaan , kispe aa jaaye kuch nahi pata ...!!!

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:43:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer