Tum Jaisa Hamsafar na Hoga ..!!

by deepika_divya on April 11, 2011, 01:07:55 PM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 16811 times)
deepika_divya
Guest
«Reply #30 on: April 12, 2011, 03:20:24 PM »
Reply with quote
Waah Waah Bahoot Umda .. Bahoot lajawaab Likha hai Vicky... bahoot Jazbaat Chupe hai Inn Ashaaro mein.. bahoot Khoobsoorati se Tumne Likha hai ..  Applause Applause Applause Applause

Koshish Karenge Hum Zindgai Mein , Tera Har Wada Nibane Ki
Par Ab Chah Ke Bhi Koshish Nahi kar Sakti Main Tere Pass AAne Ki

Jal Jaungi Shayad.. Andero Mein ak Chingaari Ki Tarah Main
Dil Se Toot Gai Hun.. Insaan Hun Main Bhi, Khuda Nahi Hun Main 

Churana Tho Hum Bhi Chahate The, Tujhe Iss Jhooti Duniyaan Se
Par Haar Gaye Hum, Iss Liye Peeche Hatt Gaye iss Jhute Sapne Se

Dar Lagta hai Kahin Hum Khud Ko Tabaah na Kar de Teri chahat mein
Par Rok Leti hai Teri Kasam, Meri In  Khamosh Dhadkano ko Rukne Se  !!!

Divya

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
hamsafar by ishika gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Vo Hamsafar.... by kruti in Shayri for Dard -e- Judai
-~Mere Hamsafar~- by Tosha in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
-~Mere Hamsafar~- by Tosha in Critics and Review only Forum
Janta Ko Jagna Hoga Khud Apna Neta Bannna Hoga by @kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Puneet_91
Guest
«Reply #31 on: April 12, 2011, 03:29:28 PM »
Reply with quote
its amazing poem
Logged
nirala
Guest
«Reply #32 on: April 12, 2011, 03:44:59 PM »
Reply with quote
lajawaab
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #33 on: April 12, 2011, 03:45:44 PM »
Reply with quote
Divya Ji.. Khumaar me itni Mohabbat ke Sath sath Dard..? Likha aapne Behad Khubsoorat Hai.. Par Yeh Ashaar Udaas kar gaye.. such me..!!!!
Bahut Khooooooooooooob.. Applause

Meri Zindgi Me Mujhe Tujh Sa Humsafar Na Milega,
Yeh Baat Aaj Dil Ki Labon Tak Le Aate Hain Sanam.....
Main Jee To Nahi Paaunga Bin Tere Ek Lamha Bhi,
Par Tujhe Hansta Dekh Hi Har Ek Saans Lenge Hum....

Mujhe Yeh Khabar Jis Din Hui Ki Tu Khafa Ho Gaya,
Wo Lamha Zindgi Ka Basss Aakhiri Hi Lamha Hoga......
Main Khud Ko Mita Loonga Us Pal Me E-Mere Sanam,
Teri Qasam Yeh Dard Meri Zindgi Ka Aakhiri Sadma Hoga.......!!!

**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #34 on: April 12, 2011, 04:13:14 PM »

Tum jante Ho Kitni Mohabbat hai Tumse
Na Aaj ,Na Kal Tujhe Khona Chahungi Main

Basa Tujhe Apni Ankhon Mein JaaneMann
Teri Dhadkano Ko hamesha Churaungi Main

Bulaoge Jab Bhi Tum Mujhe Pyaar Se Yaara
Saari Duniyan Chod Tere Paas Chali Aungi Main

Ab Sapne na Dekhungi , Na tujhe Dikhaungi
Par Apni Khushi Se Tera Ashiyaan sajaungi Main !!

Divya
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #35 on: April 12, 2011, 04:13:49 PM »
Reply with quote
its amazing poem

Thank you so Much Puneet Ji !
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #36 on: April 12, 2011, 04:14:15 PM »
Reply with quote
lajawaab

Thank You so Soo Much Nirala Ji !!
Logged
nirala
Guest
«Reply #37 on: April 12, 2011, 05:26:51 PM »
Reply with quote
hum to yahi chahenge sophi ji
aap iss khumaari ko badhate chalen…
aapke saath kuch aur bhi kadam se kadam milaate chalen…

hum jaise khumaar ke saukeeno ko
aap aise hi zazbato ki ganga pilaate chalen…

dil ke athaah mohabt ko aap
aise hi shabdon ki kaliyon me pirote chalen…

““
be-shak hoga,mere pass taazmahal
! tujh sa humsafar fir kahan hoga !!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #38 on: April 13, 2011, 03:36:26 PM »
Reply with quote
hum to yahi chahenge sophi ji
aap iss khumaari ko badhate chalen…
aapke saath kuch aur bhi kadam se kadam milaate chalen…

hum jaise khumaar ke saukeeno ko
aap aise hi zazbato ki ganga pilaate chalen…

dil ke athaah mohabt ko aap
aise hi shabdon ki kaliyon me pirote chalen…

““
be-shak hoga,mere pass taazmahal
! tujh sa humsafar fir kahan hoga !!

Thanks A lot Nirala Ji !!!
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #39 on: April 13, 2011, 05:21:01 PM »
Reply with quote
Divyaaji ati sunder kavitaa hai aapki....Pyaar..khumaar...aur ek meethe dard ka samishran bahu achha ban pada hai.....daad kabool kiji ye.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

pratiuttar me mein kya likhu......abhi tou Barsaat-ki-raat ka ye song yaad aa raha  hai............
Na To Caarvaan Ki Talaash Hai, Na To Humsafar Ki Talaash Hai
Mere Shauq-E-Khaana Kharaab Ko, Teri Rehguzar Ki Talaash Hai

Mere Naamuraad Junoon Ka Hai Ilaaj Koi To Maut Hai
Jo Dava Ke Naam Pe Zehar De Usi Chaaraagar Ki Talaash Hai

Tera Ishq Hai Meri Aarzoo, Tera Ishq Hai Meri Aabroo
Dil Ishq Jism Ishq Hai Aur Jaan Ishq Hai
Imaan Ki Jo Poochho To Imaan Ishq Hai
Tera Ishq Hai Meri Aarzoo, Tera Ishq Hai Meri Aabroo,
Tera Ishq Maein Kaise Chhod Doon, Meri Umra Bhar Ki Talaash Hai

Teri nazar mein,teri chahat mein,
ak ankahi pyaari Baat Nazar aati hai
Ke  shayad Kuch tho hai Jo tujhme Apni,
Zindgai ki ak shuruaat nazar aati hai

Tu jo hota hai kareeb Mere Yaara
Jo saari duniya ko bula deti hun Main
Tujhme sama kar , bahoon Mein bharke
Apni Umeedo ko Hawa de jaati hun Main

Rokne Ki Koshish karti hun Kudko main
Fir Teri Ankhon mea Doob si Jaati Hun
kehne ko hota hai bahoot Kuch Dil mein
Teri Dadkhan sunne ko Kamosh Ho jati hun

lagta hai Bas Tu Hi Sab Kuch Hai Mera
TU nahi Zindgai Viraan Si hoti Meri'
Kaash ke Kuch Aisa Hota mere "Jaana"
Teri Hasi  se Saji Hoti yea Duniya Meri

Par Khawab Tho Khawab hote hai na "JAANA"
Jo Neend Toot Jaane par Kho jaate hai
De kar ak Unsulji si Umeed Mann mein
Aankhon Ko Fir se Nam Kar Jaate hai

Iss Nam Ankhon Mein tu hi Khushi Hoga
jab Tera Ashiyaana Mera Ashiyaana Hoga
WaQt Jab Rukkar Kahega..Hum Dono Se
Tum Jaisa Hamsafar Duniyan mein Koi Na Hoga !!

!! Divya !!
Logged
shiba
Guest
«Reply #40 on: April 14, 2011, 01:57:59 AM »
Reply with quote
Bohat Pyara Likha Hai Aapne Sophi Ji Applause
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #41 on: April 14, 2011, 05:43:28 AM »
Reply with quote

Teri nazar mein,teri chahat mein,
ak ankahi pyaari Baat Nazar aati hai
Ke  shayad Kuch tho hai Jo tujhme Apni,
Zindgai ki ak shuruaat nazar aati hai

Tu jo hota hai kareeb Mere Yaara
Jo saari duniya ko bula deti hun Main
Tujhme sama kar , bahoon Mein bharke
Apni Umeedo ko Hawa de jaati hun Main

Rokne Ki Koshish karti hun Kudko main
Fir Teri Ankhon mea Doob si Jaati Hun
kehne ko hota hai bahoot Kuch Dil mein
Teri Dadkhan sunne ko Kamosh Ho jati hun

lagta hai Bas Tu Hi Sab Kuch Hai Mera
TU nahi Zindgai Viraan Si hoti Meri'
Kaash ke Kuch Aisa Hota mere "Jaana"
Teri Hasi  se Saji Hoti yea Duniya Meri

Par Khawab Tho Khawab hote hai na "JAANA"
Jo Neend Toot Jaane par Kho jaate hai
De kar ak Unsulji si Umeed Mann mein
Aankhon Ko Fir se Nam Kar Jaate hai

Iss Nam Ankhon Mein tu hi Khushi Hoga
jab Tera Ashiyaana Mera Ashiyaana Hoga
WaQt Jab Rukkar Kahega..Hum Dono Se
Tum Jaisa Hamsafar Duniyan mein Koi Na Hoga !!

!! Divya !!

bahut bahut bahut khoob izhaar -e- jazbaat alfaazo ke zariye . sophi ji bahut dino baad aapka kalaam padha.kisi daad ka mohtaaj nahin..!!!1
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #42 on: April 14, 2011, 02:10:26 PM »
Reply with quote
Divyaaji ati sunder kavitaa hai aapki....Pyaar..khumaar...aur ek meethe dard ka samishran bahu achha ban pada hai.....daad kabool kiji ye.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

pratiuttar me mein kya likhu......abhi tou Barsaat-ki-raat ka ye song yaad aa raha  hai............
Na To Caarvaan Ki Talaash Hai, Na To Humsafar Ki Talaash Hai
Mere Shauq-E-Khaana Kharaab Ko, Teri Rehguzar Ki Talaash Hai

Mere Naamuraad Junoon Ka Hai Ilaaj Koi To Maut Hai
Jo Dava Ke Naam Pe Zehar De Usi Chaaraagar Ki Talaash Hai

Tera Ishq Hai Meri Aarzoo, Tera Ishq Hai Meri Aabroo
Dil Ishq Jism Ishq Hai Aur Jaan Ishq Hai
Imaan Ki Jo Poochho To Imaan Ishq Hai
Tera Ishq Hai Meri Aarzoo, Tera Ishq Hai Meri Aabroo,
Tera Ishq Maein Kaise Chhod Doon, Meri Umra Bhar Ki Talaash Hai

Thank you sooo Much Anaam ji.. aapne pada aur saraaha yea bahoot badi baat hai.... Thank you ssooooooooooooo Much,,,

Haan yea gana kuch jyada hi suit kar raha hai meri poetry ke saath... Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #43 on: April 14, 2011, 02:11:40 PM »
Reply with quote
Bohat Pyara Likha Hai Aapne Sophi Ji Applause

Thank you soooooooooooo Much Shiba  !!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #44 on: April 14, 2011, 02:13:37 PM »
Reply with quote

bahut bahut bahut khoob izhaar -e- jazbaat alfaazo ke zariye . sophi ji bahut dino baad aapka kalaam padha.kisi daad ka mohtaaj nahin..!!!1

Haan kaafi dino baad likha hai ,, kuch likhne ki koshish karti par haath baar baar rukh jaate the..

But acha laga aapko yahan dekh kar .. aapka reply dekh kar.. Thank you sooooooooooooo much aapne saraha aur apna itna keemti vakt diya.. thank you once again !!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:26:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer