...tum me sama rahi thi

by Meena on December 22, 2004, 07:10:08 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 9
ReplyPrint
Author  (Read 9840 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: December 26, 2004, 11:15:39 AM »
Reply with quote
Very Nice all!!!!

Kya zamana tha jab roz mila karte the
Shab bhar chaand par phira karte the
Dekh kar jo chupke se guzar jata hai ab
Kabhi hum bhi is shakhs se pyaar kiya karte the!!!


(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ankhon main sama jao(NM) by roshan20 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ankhon Mein Sama Jao by shivani(9899207979) in SMS , mobile & JOKES
Main tum sama jaon,tum mujhe mein sama jao... by maya01 in Songs & Lyrics
Bahar keh rahi hai, pyar ka hai sama by prashad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meena
Guest
«Reply #46 on: December 26, 2004, 11:54:42 AM »
Reply with quote
wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh!
Logged
Meena
Guest
«Reply #47 on: December 26, 2004, 11:55:03 AM »
Reply with quote
wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #48 on: December 26, 2004, 12:02:05 PM »
Reply with quote
Bohat khoob...............!
Logged
Talat
Guest
«Reply #49 on: December 26, 2004, 01:57:42 PM »
Reply with quote
Thanks!! Meena n Lovebites!!!  :D
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #50 on: December 26, 2004, 06:32:13 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Very Nice all!!!!

Kya zamana tha jab roz mila karte the
Shab bhar chaand par phira karte the
Dekh kar jo chupke se guzar jata hai ab
Kabhi hum bhi is shakhs se pyaar kiya karte the!!!


(NM)


Wow!! Very Sweet N Lovely Lines!!! Talat ji kamal ka likha hai ji!! Waaah!

Humein to yeh waqt ki Kaarsaazi lage!
Unhen Hum Ajnabi nazar aane Lage!

Jis mein Basaai thi Mohabbat ki Duniya,
Woh Chhat usi Ghar ki Dhahaane lage!

Pal bhar mein Bikhar gaya Ghonsla Pyaar ka,
Jiske Tinke jamaane mein Zamaane Lage!

Bada Naaz tha apni Mohabbat pe Humko,
Waqt ki ek Chaal par Thikaane Lage!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #51 on: December 27, 2004, 07:17:16 AM »
Reply with quote
Kul humesha ki tarhaan os ne kaha yeh phone per
Main buhat masroof hoon mujh ko buhat se kaam hein

Is Liey tum aao miLney' Main tao aasakti nahi
hur riwaayut toor ker is baar main ne keh diya

tum ju ho masroof tao main bhi buhat masroof hoon
Tum ju ho mush'hoor tao main bhi buhat maarof hoon

Tum thukun se choor tao main bhi thukun se choor hoon
Jaan-e-mun hai waqt mera bhi buhat hi qeemti

kuch puraney doston ne milney aana hai abhi
main bhi ub farigh nahi mujh ko laakhoon kaam hien

wurna kehne ko tao sub Lumhey tumahre naam hien
meri ankhien bhi buhat bhojuL hien soona hai mujeh

rutjaghaoon k baad ub neendon mein khoona hai mujeh
Main Laho0o apni anaao0on ka baha sakta nahi

Tum na Aaein tao miLney main bhi aasakta nahi
os ko yeh keh ker Wasi' Main ne rasivur rukh diya

aur phir apni Anna k paoon pe sir rukh diya ...


by........Wasi shah
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #52 on: December 27, 2004, 03:01:14 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Very Nice all!!!!

Kya zamana tha jab roz mila karte the
Shab bhar chaand par phira karte the
Dekh kar jo chupke se guzar jata hai ab
Kabhi hum bhi is shakhs se pyaar kiya karte the!!!


(NM)


excellent work all.............................

Be-Aetbaar waqt pe jhunjila k ro pade
Kho kar kabhi ussey,tou kabhi paa k ro pade
Khushiya hamre paas kahan mustaqil rahin
Bahar kabhi hassey tou, ghar aakey ro pade..............   (nm)
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #53 on: December 27, 2004, 06:48:12 PM »
Reply with quote
Very Nice Wheed Bhai!!! N Love bites ji!!!
Shukriya!!!!
Logged
khirbar
Guest
«Reply #54 on: December 28, 2004, 11:06:01 AM »
Reply with quote
hi  Usual Smile


"Phir ikhtalaf-e-rayeh ki suraat nikal pari
Appni  yahaan kissi say bhi addat nahi milli"


bye take care
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #55 on: December 28, 2004, 01:23:34 PM »
Reply with quote
salam kia haal hain wowwwwwwwwwwwww what a fantastic job
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #56 on: December 28, 2004, 02:58:50 PM »
Reply with quote
Waah Very Nice!!!!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #57 on: December 29, 2004, 02:05:56 PM »
Reply with quote
mushkil hai ke ab shehr mein nikle koi ghar say
dastar pe baat aa gayee hoti huee sar say

barsa bhi to kis dasht ke befaiz badan par
ik umar mere khait thay jis abr ko tarsay

iss bar jo eindhan ke liye kat ke gira hai
chiryon ko bara pyar tha uss boorhey shajar say

mehnat meri aandhi say to mansoob nahi thi
rehna tha koi rabt shajar ka bhi samar say

khud apney say milney ka to yarana tha mujh mein
mein bheer main gum ho gayee tanhayee ke dar say

benaam musafat hi muqaddar hai to kya gham
manzil ka taeyyun kabhi hota hai safar say

patharaya hai dil yun ke koi ism parha jaye
ye shehr nikalta nahin jadu ke asar say

By Perveen Shakir
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #58 on: December 29, 2004, 02:58:08 PM »
Reply with quote
Bahut Badhiya ji!!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #59 on: December 29, 2004, 04:54:54 PM »
Reply with quote
Shukriya Arun Bhai.......................!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:16:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer