----- /// Tum mujhe bahut yaad aate ho /// ----

by klaskar on August 31, 2010, 09:38:17 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 11983 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #15 on: September 01, 2010, 08:29:38 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Geet ji....!!!

Bahut khoob peshkash kapil ji...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #16 on: September 01, 2010, 08:32:04 AM »
Reply with quote
tab main apne shabd waapas leta hoon... aap sarkaar nahi hain...!!!

Chitthee se bhi dair se pahunche usse Taar kehte hain
Dhaakaa dekar bhi mushkil se chale usse car kehte hain....
Aur jo Dhaakaa dekar bhi na chale usse Sarkaar kehte hain....

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #17 on: September 01, 2010, 08:33:46 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Rajesh ji....!!!

Bahut Khoob likha hai aap ne Kapil
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #18 on: September 01, 2010, 08:34:14 AM »
Reply with quote
Kasak ji.... taaliyaan aapne bajaa di to main "thanks " hi keh deta hoon... taali to nahi bajaunga par kuch to taarif karna hi padega aapke is khoobsurat se pyaar bhare jawaab ke liye... ab kya taarif karun mera dimaag hi kaam nahi kar raha  DOH  uffffffff hadd hai.... chaliye taarif fir kabhi sahi... abhi kuch jawaab hi likh dete hain... aur aapka jawaab hum jab jaagenge tab dekh lenge... likhna jarur aap... aur apne is reply k liye taaliya main khud nahi bajaa raha hoon.. ye kaam aapke liye chhod diya.... kuch taaliya aur ek pyaare se jawaab k intezaar me....

waiting....waiting....waiting....

har shaam aake tum mere ghar ko roshan kar jaate ho,
raaton ko jab tanha sota hoon to tum aa jaate ho,
aankhen is dar se nahi kholta ki sapna tut na jaaye,
chaandni raato me aake mere aankhon me bas jaate ho,

suraj ki har kiran ke saath tum mere ghar aa jaate ho,
behti hawaon me ghulke tum mere aangan ko mehkaate ho,
aankhen bichhaye baitha hoon raahon pe ki tum aaoge,
aate nahi haqeeqat me par khwaab banke aa jaate ho,

tum aake khwaabon me mere hothon ko chhoo jaate ho,
lagake aag mere tan mann me tum bas muskuraate ho,
koshish karta hoon agar baahon me tumhe bharne ki,
tum khwaabon ko chhod jaane kahaan chhup jaate ho,

ae sanam apni in adaaon se tum mujhe bahut tadpaate ho,
wo tum hi ho jo mujhe har saans ke saath yaad aate ho,

kabhi tanhaayi me to kabhi bheed me yaad aate ho,
mere mehboob tum mujhe aaj bhi bahut yaad aate ho...

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #19 on: September 04, 2010, 05:11:06 AM »
Reply with quote
ye lijiye kapil ji.......bht sari taaliyan aapke bht pyare se reply k liye...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

aur ye hamara jawab ....kahiye kaisa laga ji

Lamha lamha tum mujhme sama jate ho
Dhadkan me bas sangeet naye sajate ho
Main dhundh leti hun tumhe dil me hi
Iss tarah tum dil me mere chhup jate ho

Kabhi haule se mujhe gudgudate ho
Kahin uljhi hun kaam me main jab
Chupke se aa bahon me bhar lete ho
Sach mujhe bada hi tum satate ho

Meethe meethe se madhur geet sunate ho
Ruuth jaun kabhi to tum mujhe manate ho
Na reh paun main ek pal bhi udaas
Iss tarah tum mera har pal dil behlate ho

Kisi kore kaagaz pe likhi gazal ki tarah
Kisi bag me khilte gulab k phool ki tarah
Kanha ki madhur murli ki taan ki tarah
Tum mere jeewan ko apne pyaar se sajate ho

Haan tum mujhe bht bht bht yaad aate ho……

Pooja
Guest
«Reply #20 on: September 05, 2010, 06:36:18 PM »
Reply with quote

kabhi tanhaayi me to kabhi bheed me yaad aate ho,
mere mehboob tum mujhe aaj bhi bahut yaad aate ho,

har din tumse shuru hoke tumpe hi khatam hota tha,
aaj bhi tum mujhe puraane dino ki yaad dilaate ho,

jin raahon pe hum tumhaara haath thaame chalte the,
aaj un sooni raahon pe tum apna chehra dikhaate ho,

aaj bhi mehsoos karta hoon tumhaare badan ki khushbu,
tum aaj hawaon me ghulke meri saanson ko mehkaate ho,

tumse juda hoke bhi ab tak tumse juda na ho saka,
mere dil me ummeed aur aankhon me khwaab sajaate ho,

aake khamoshi se mere kaano me kuch keh jaate ho,
mere mehboob tum mujhe aaj bhi bahut yaad aate ho...

*****HRIDAY*****

Simply Beautiful.... ek meethi se sisaki deta hua... magar Khumar - e-Ishaq ke sath udasi bhi de raghi hai yah kavita... kyun ki kisi ke jaane ke baad yeh ek yaad hai...
shabdo ko bahoot ache bandhaein hue... bahoot he pyar se bhari kavita hai.. good work!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: September 05, 2010, 06:38:43 PM »
Reply with quote

Haan tum mujhe bht yaad aate ho

Andheri raat me chupke se tum chale aate ho
Haule se mere takiye pe sir rakh let jate ho
Main jab chhune  ko hath badhati hun tumhe
Tum jhat se gaayab ho jate ho han tum bht yaad ate ho

Lambi si khali gar pe jab chal rahi hun kale
Tum hath tham mere sath hi chal padte ho
Lekin jab ghar ki chaukhat pe dekhti hun main
Tum gayab ho jayte ho han tum bht yad ate ho

Saj sanwar kar jab khadi hoti hun aaine k samne
Tum mujhe dekh muskurake dheere se paas aate ho
Baahein daal gale me mere chum lete ho palkon ko
Jab kholti hun palkein tum gayab ho jate ho
Haan tum mujhe bht yaad aate ho

Khaali jeewan suna angna koi na saathi na sangi
Ek tere na hone se mujhe lagta koi bhi apna nahin
Sochun jab main ye tum mujhme main ban sama jate ho
Jaanu tab tum mujhe bht yaad ate ho…….

bahoot5 he acha jawab diya hai app ne kasak ji... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot khoob!!! Good work!! ek jo udasi najar aai thi klaskar ji ki kavita mai apke jawab ne usko khumar-e-ishaq ka roop de diya... bahoot khoob!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #22 on: September 06, 2010, 07:00:01 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Pooja ji... main tahe dil se aapka shukriya adaaa karta hoon ki aapne apne kimti waqt me se thoda sa waqt nikaal ke mere is kavita ko diya, ise padha aur pasand kiya... bahut bahut shukriya Pooja ji.... ummeed karta hoon aage bhi aapka saath yunhi bana rahega.. ek baar fir se ..."SHUKRIYA"...!!!

Simply Beautiful.... ek meethi se sisaki deta hua... magar Khumar - e-Ishaq ke sath udasi bhi de raghi hai yah kavita... kyun ki kisi ke jaane ke baad yeh ek yaad hai...
shabdo ko bahoot ache bandhaein hue... bahoot he pyar se bhari kavita hai.. good work!!

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #23 on: September 06, 2010, 10:04:39 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne... bahut hi pyaar bhara jawaab hai aapka Kasak ji,... yunhi saath dete rahiye tabhi meri kalam chalti rahegi... shukriya .. bahut bahut shukriya....!!!

phoolon ki bagiyaa ko main kya sajaunga,
chaandni kya hai chaand ko kya bataunga,
asar tera aisa hai mere dilo dimaag pe,
ki aaj fir tujhpe koi gazal likh jaunga,

khwaabon me aake tujhe kangan pehnaunga,
haathon ko tere apne hothon se lagaunga,
rajanigandha jaisi mehek tere saanso ki,
us mehek se main khud bhi mehek jaunga,

main tere pyar ke saagar me doob jaunga,
jab main tujhe apne seene se lagaunga,
tadap uthegi tu bhi meri mohabbat me,
kuch is tarha tujhe paagal kar jaunga,

pyaar apna ji bharke tujh pe lutaunga,
mai kaanha ban tujhe baansuri banaunga,
hothon se tujhe apne lagaake main,
apne dhun se main tera dil behlaunga,

main is jahaaan se tujhe dur le jaunga,
ek khoobsurat sa apna jahaan basaunga,
chhoot jaaye agar saath bich safar me,
main agle janam me tera ban ke aaunga...

ye lijiye kapil ji.......bht sari taaliyan aapke bht pyare se reply k liye...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

aur ye hamara jawab ....kahiye kaisa laga ji

Lamha lamha tum mujhme sama jate ho
Dhadkan me bas sangeet naye sajate ho
Main dhundh leti hun tumhe dil me hi
Iss tarah tum dil me mere chhup jate ho

Kabhi haule se mujhe gudgudate ho
Kahin uljhi hun kaam me main jab
Chupke se aa bahon me bhar lete ho
Sach mujhe bada hi tum satate ho

Meethe meethe se madhur geet sunate ho
Ruuth jaun kabhi to tum mujhe manate ho
Na reh paun main ek pal bhi udaas
Iss tarah tum mera har pal dil behlate ho

Kisi kore kaagaz pe likhi gazal ki tarah
Kisi bag me khilte gulab k phool ki tarah
Kanha ki madhur murli ki taan ki tarah
Tum mere jeewan ko apne pyaar se sajate ho

Haan tum mujhe bht bht bht yaad aate ho……

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #24 on: August 11, 2011, 02:28:09 AM »
Reply with quote
bahoot5 he acha jawab diya hai app ne kasak ji... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot khoob!!! Good work!! ek jo udasi najar aai thi klaskar ji ki kavita mai apke jawab ne usko khumar-e-ishaq ka roop de diya... bahoot khoob!!!

thnx pooja ji for this appreciation..and thnx alot k aapne itna pasand kiya hamare likhe ko
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #25 on: August 11, 2011, 02:38:44 AM »
Reply with quote
kabse pending pada hai ye likhne k liye aaj fir jab ise padha to anayaas hi pehle ki tarah ungliyan keyboard pe chal nikli....aur fir ek bar likh diya humne aapke sath...
klaskar ji...bht khubsurat hai aapka reply khumaar me dooba asardaar reply....
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

ab lijiye hamara jawab....

Aaj bhi tum mujhe bht yaad aate ho

Jab kabhi padhti hun koi purani nazm teri
Mujhme bas tum hi tum tab gungunate ho
Reh reh k beete khushnuma lamhon me
Tum mujhe sang apne kheench le jate ho

Wo baatein wo raatein wo masti bhari shaam
Na jane un palon me kitni yaadein basa jate ho
Sunti hun jab teri mithi baatein aaj bhi jab kabhi
Tum mujhe fir usi tarah pyaar se gudgudate ho

Nahin lautenge wo pal janti hun main fir bhi
Aaj  bhi unhi me kai raatein main doob jati hun
Kya kahun ae mere sanam main ab tumse
Tum mere har sher har khyaal me sama jate ho

Haan aaj bhi tum mujhe bht bht bht yaad aate ho
Logged
~~HRIDAY~~
Guest
«Reply #26 on: August 12, 2011, 03:36:52 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bahut bahut khoob likha hai aapne Kasak ji.....  meri to kalam band hai ajkal... jab chalegi tab jawaab dunga.... bahut ki khoob likha hai aapne.... keep writing....!!!
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:40:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer