..~~Tumhare aks ko apne wajood mein~~..

by HumTum on July 14, 2005, 08:54:16 AM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 4341 times)
HumTum
Guest
Reply with quote

aarzoo dil mein hai kya, kya kahoon
gar waqt tham jaaye to bas tumhein dekhtaa rahoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon

nigaahon ke darmyaan yeh khaamosh silsilay rahein
hothon pe tabassum ke phool aise hi khiley rahein
aur in phoolon ki khushboo se mai youn hi mehka karoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon

ungliyaan aanchal sambhaale youn hi ulajhti rahein
hawaaon ko choomkar zulfein aise hi sulajhti rahein
aise hi mai bhi ulajh kar suljhaa karoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon

dhadkano ki beqraari aise hi rukh par bikharti rahe
rukhsaar par chandni pal pal nikharti rahe
aarzoo hai ki is roshni se mai bhi raushan rahoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon

Logged
Tosha
Guest
«Reply #1 on: July 14, 2005, 09:13:37 AM »
Reply with quote
:thumb: good ji...!!
..........................
........................
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #2 on: July 14, 2005, 09:46:53 AM »
Reply with quote
kya baat hai Humtum ji .........good......

Unke agoosh main yun machalti rahun
kabhi nazarein milun kabhi simatti rahun
koi na dundh paye mujhe main yun tujhme khudko shamil karloon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon
Logged
bhambra
Guest
«Reply #3 on: July 14, 2005, 09:51:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"

aarzoo dil mein hai kya, kya kahoon
gar waqt tham jaaye to bas tumhein dekhtaa rahoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon

nigaahon ke darmyaan yeh khaamosh silsilay rahein
hothon pe tabassum ke phool aise hi khiley rahein
aur in phoolon ki khushboo se mai youn hi mehka karoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon

ungliyaan aanchal sambhaale youn hi ulajhti rahein
hawaaon ko choomkar zulfein aise hi sulajhti rahein
aise hi mai bhi ulajh kar suljhaa karoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon

dhadkano ki beqraari aise hi rukh par bikharti rahe
rukhsaar par chandni pal pal nikharti rahe
aarzoo hai ki is roshni se mai bhi raushan rahoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon




Good yaar, kya baat hai?

Dil ki baat hoton pe kaise laya jata hai,
Humtum se poocho,use karna ata hai.
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: July 14, 2005, 09:55:03 AM »
Reply with quote
Kya bat hai dost................:thumb:

Kiska hai ye khumar tere dil pe jo cha gaya,
Ek dil fenk aashiq ko dil bhi dil dena aa gaya....;-)
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #5 on: July 14, 2005, 10:03:27 AM »
Reply with quote
Dil fek hai Humtum sachi ...........

Kaise kare aitbaar ki vo dil lagi kar gaya
humne samja jise saccha pyar tha
vahi hume sare bajaar ruswa kar gaya

kasie kare aitbaar ki ashiqh dilfek ho tum
hume tuh laga tha ki bade nek ho tum
jab gai tokar tuh pehchana hai tumhe
jo karte hai bas dillagi sabse unhi main se ek ho tum
Logged
thycreator
Guest
«Reply #6 on: July 14, 2005, 10:24:34 AM »
Reply with quote
Wah Sandhaya ji..............bahut khoob....

Dillagi unki mere dil ki lagi hai ban gayi,
Wo muskura ke chal diye,jan hi meri gayi,
Kaise kahe uski adayen katl karti hai,
Koi kahe unse wo iss tarah hanse nahi....
Logged
bhambra
Guest
«Reply #7 on: July 14, 2005, 10:35:24 AM »
Reply with quote
Nice Thy & Sandhya..

Is Jalte Diye Ko Bujhakar, Tune Apna Jahan Roshan Kiya Hai,
Zindagi Andhera Ho Gayi, Jabse Tune Saath Chhod Diya Hai

Is Bahaar Ko Patjhad Banakar, Tune Apni Sej Sajayi Hai,
Mujhe Murjhaye Phool Banakar, Tune Kya Keemat Chukai Hai

Mere Armano Ka Gala Dabakar, Tune Apne Gale Ka Haar Banaya,
Woh Haar Nahin Fanda Hai, Jise Tune Hanskar Apnaya

Is Nirdosh Ka Khoon Bahakar, Tune Apne Galon Ki Laali Banai,
Mere Jism Ke Tukde Kar, Kya Khoob Wafa Nibhai

Mere Dil Ki Aag Se, Tune Apne Ghar ko roshan kiya,
Tere pyaar me kya socha tha aur tune kya diya.
Logged
thycreator
Guest
«Reply #8 on: July 14, 2005, 10:39:32 AM »
Reply with quote
Wah Bhambra ji...............bahut khoob.........

Jane armaan kitne aaj iss dil mein hi dafan ho gaye,
Aankhen sukhi thi barson se jinhe hum bhingo gaye,
Uss dilruba ke pyar ka nasha hai dil mein kuch aisa,
Ki aaj dekho hum khud se hi bewafa ho gaye....
Logged
bhambra
Guest
«Reply #9 on: July 14, 2005, 10:44:59 AM »
Reply with quote
Thanks Thy, & Nice poem...


Arz karne ki tamana to bahut hai, per Alfaaz nahi hai.
Ye kudrat ke azib karish mein hai,
 ke dil mein dard hai, per Juban nahi hai. [NM]..
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: July 14, 2005, 11:08:05 AM »
Reply with quote
Wah bhambra ji..............good one.......

Kai bar sochte hai ki hum kya ho gaye,
Tumse mili nazar,sabse juda ho gaye,
Din ka na hosh ab mujhse na khabar rat ki,
Pyar kar liya humne aur tabah ho gaye...
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #11 on: July 14, 2005, 11:24:16 AM »
Reply with quote
Sukhriya Creator ji aur Bhambra........good........and nice works guys.....

Mere ishq ki shaama ko jalake dil main
unhone Yun mujhe katal-e-aam kiya
hum tuh chahate the jina unke pyaar main
unhone karke badmaan mujhe jite ji maar diya
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #12 on: July 14, 2005, 11:26:42 AM »
Reply with quote
Hum tuh raat din bas tumhe sochte hai
siva tumhare hum kuch bhi na sochte hai
par tumhe yakin nahi hota kisi baat ka
tum sochte ho ki na jane hum kiske baare main kya sochte hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #13 on: July 14, 2005, 11:27:18 AM »
Reply with quote
Wah Sandhaya ji...........

Ruswai pyar mein mili hai apko jaise,
Waise hi ek din saccha pyar bhi mile,
Murjhaye bhale hai phhol dil mein apke,
Dua hai meri ki apko bahar bhi mile...
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #14 on: July 14, 2005, 11:32:04 AM »
Reply with quote
Hume dua jo mili baddua ho gai
mere khuda ki nazar bhi mujhse kafa ho gai
kaise kare abh aitbaar hum bahar aane ka
hun tuh bade badnaseeb hai ki achai bhi ki humne tuh jafa ho gai
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:03:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer