..~~Tumhare aks ko apne wajood mein~~..

by HumTum on July 14, 2005, 08:54:16 AM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 4358 times)
sandhaya
Guest
«Reply #30 on: July 15, 2005, 10:20:45 AM »
Reply with quote
Bahut khoob........

HUm tere hi khande pe sar rakhke soyenge
tere hi khande pe hoga sar jab bhi hum royenge
har jajbaat tujhse hi hum dil ka bejisak kahenge
aake teri hi baahon main hum sapno main khoyenge
Logged
thycreator
Guest
«Reply #31 on: July 15, 2005, 11:53:04 AM »
Reply with quote
Wah Sandhaya ji.............bahut khoob.........
Ek sath tera ho toh gum mujhe kis bat ka,
Ek tu jo sahara mera,kya fikr din o rat ka,
Jiyenge bade hi shaan se hum ye jindagi,
Dikha denge jamane ko bat tere sath ka...
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #32 on: July 15, 2005, 12:37:10 PM »
Reply with quote
Ek saaht tera hi meri zindagi ka sahara hai
tere siva zamane main koi na humara hai
kaise karu main sukhriya uss khuda ka
jisne mujhe tera pyaar bakhsha hai
jisne mujhe apni nazar se dil main dil se zigar main utara hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #33 on: July 15, 2005, 01:26:05 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Tosha , Sandhaya, Bhambra , Creator , Meena ji n Singroha !!!  Aap sab ne bahoot khoob likha hai !!!

tras rhi hai ankhin meri deedar e yaar ko
jane aaj kha hai woh mehbooba chupi hui
iss kadar becheni chaii hai dil pe "HumTum"
dadkhan hai madham, zindgi hai rukhi hui !!

Logged
thycreator
Guest
«Reply #34 on: July 15, 2005, 02:10:43 PM »
Reply with quote
Wah Sandhaya ji n Hum Tum ji......bahut khoob...

Iqrar tumne kiya, Iqrar humne kiya,
Ijhar tumne kiya, Ijhar humne kiya,
Ab toh nahi parwah humko iss jamane ki,
Pyar tumne kiya, Pyar humne kiya.....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #35 on: July 15, 2005, 02:19:41 PM »
Reply with quote
acha kiya !!

kaun karta hai rah e ishq mein zamane ki parwah
jo dar gaye zamane se woh pyaar kya krengey
jo rok lete hai kadmooN ko zamane ke daar se
woh hummsey muhhobat la izhaar kya krengey !!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #36 on: July 15, 2005, 02:22:36 PM »
Reply with quote
Wah Hum Tum dost...........sahi kaha....

Nahi chahiye koi daulat,takht o taaj jahan ke,
Ek teri hi muhabbat ki bas darakr hai hame....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #37 on: July 15, 2005, 02:25:31 PM »
Reply with quote
kya baat hai  ( lekin yeh sirf shayri hi hai na ke sach mein  lolzzz  Winking  )

yun asar hua hai tere ishq ka mujh par
ainey mein tera hi aks nazar aata hai mujhey !!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #38 on: July 15, 2005, 02:30:37 PM »
Reply with quote
Aisa kyu Hum Tum......sacchi muhabbat se bada kuch nahi.........lolllzzz

Kya kaam ki hai daulat jo na mere sath jayegi,
Ek sacchi muhabbat umar bhar sath nibhayegi...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #39 on: July 15, 2005, 02:37:37 PM »
Reply with quote
shi hai lekin ..

umr bhar to e dost, sath dhulaat bhi nibati hai
baad marne ke sachi muhhobat bhi yhi reh jati hai
mana ke hai sachi muhoobat mein bhi bda dum
lekin bina dhuulaat ke muhhobat bhi haar jati hai !!

( yeh aaj kal ke zamane ki baat ho rhi hai )
Logged
Yoindian Ghunda
Guest
«Reply #40 on: July 16, 2005, 02:14:23 AM »
Reply with quote
sab ney buht bdhiya likha hai




jab us ko kha k hum s hona na juda werna mit jayein gay
woh tu pal main krwat bdli aur boli yeh tu majbori hai meri
Logged
thycreator
Guest
«Reply #41 on: July 16, 2005, 02:55:43 PM »
Reply with quote
Wah Hum Tum ji.....

Sach hai bat aapki ki ye jamane ka chalan hai,
Phir bhi toh iss rah se humko aitaraaz hai,
Paakar jamane ki daulat sukh kisko mila,
Apno ki muhabbat nahi jiske paas hai....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #42 on: July 18, 2005, 08:16:05 AM »
Reply with quote
:thumb:  lekin !!

iss muhoobat se bhi to ghum hi mile hai mujhko
ghum e ashiqi se pehley mujhey koi ghum na tha
udass pehley bhi hota tha kissi baat pe jaruur lekin
iss kadar mere dil mein uthta matham na tha !!

( yaar ishq wale pe ghum ki shayri  Puzzled !  )
Logged
Tosha
Guest
«Reply #43 on: July 20, 2005, 07:03:08 AM »
Reply with quote
Bahut khoob ... Thy ... n ... Pheeke Gunde !!
...
najane hum mohabbat kyo karte hai
najane phir yuh aahe kyo bharte hai
muskarate lab aur naam aakho se
haal-e-dil katra katra bayan karte hai
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #44 on: July 20, 2005, 07:47:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"

aarzoo dil mein hai kya, kya kahoon
gar waqt tham jaaye to bas tumhein dekhtaa rahoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon

nigaahon ke darmyaan yeh khaamosh silsilay rahein
hothon pe tabassum ke phool aise hi khiley rahein
aur in phoolon ki khushboo se mai youn hi mehka karoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon

ungliyaan aanchal sambhaale youn hi ulajhti rahein
hawaaon ko choomkar zulfein aise hi sulajhti rahein
aise hi mai bhi ulajh kar suljhaa karoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon

dhadkano ki beqraari aise hi rukh par bikharti rahe
rukhsaar par chandni pal pal nikharti rahe
aarzoo hai ki is roshni se mai bhi raushan rahoon
tumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loon
jab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon



KHOOL HUM TUM !....wowo ! ...ROcking Winking
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:55:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer