Tumhari Aankhein..

by Aryaan on April 29, 2006, 03:38:42 AM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4599 times)
Aryaan
Guest
«Reply #15 on: May 01, 2006, 01:50:04 AM »
Reply with quote

Dil ka dard lafzon se bayaan nahi hota
Rah-e-ulfat mein kuch bhi aasaan nahi hota

IshQ mein aashiQon ke lag jaate hain pankh
Udne ko magar khula aasmaan nahi hota

Khwaabon mein rehne ke phir ho jaate hain Qayal
HaQeeQat se phir dua-salaam nahi hota

Andaaz-e-mohabbat nahi kisi Qaid ki mohtaaj
Par jo maza chup kar hai, woh khule aam nahi hota

Hota na yeh zamaana agar mohabbat ka dushman
Harr deewaana meri tarha badnaam nahi hota

Yeh bhi sach hai keh ishQ sabhi ko hota hai
Sabhi ka magar majnu sa imtehaan nahi hota

Chalni hota hai aadmi ander tak iss khel mein
Jism pe phir bhi koyi naam-o-nishaan nahi hota
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumhari aankhein..... by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tumhari Aankhein...!! by pinky in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 11 12 »
Rajbir
Guest
«Reply #16 on: May 01, 2006, 07:52:35 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
---------
Andaaz-e-mohabbat nahi kisi Qaid ki mohtaaj
Par jo maza chup kar hai, woh khule aam nahi hota
------------
Chalni hota hai aadmi ander tak iss khel mein
Jism pe phir bhi koyi naam-o-nishaan nahi hota


Aryaan

Bahut khoob !

Mujhe yeh 2 shair bahut pasand aaye :D

Rajbir
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #17 on: May 01, 2006, 08:38:14 AM »
Reply with quote
shukriya RAJBIR JI aur ARYAAN BHAI...
aur ARYAAN JI aapne bahut khoob likhe hai..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #18 on: May 02, 2006, 03:10:55 AM »
Reply with quote
Bohat shukriya Rajbir & Vicky...Usual Smile
Logged
mehek
Guest
«Reply #19 on: May 03, 2006, 08:19:52 AM »
Reply with quote



loot jate hai shab-o-seher betaab khayalon mein..
yeh rog-e-mohabbat kuch asaan nahi hota..

khel hota hai aankhon ka.. sukoon khojana toh dastoor hai..
dhadkane dhadakti hai unke liye dil par bhi koi iQtiyar nahi hota..

khwaabon ka jahan hota hai aasmaan se aage..
zameen par aashiQon ka koi nishan nahi hota..

hota hai haal kya ishQ mein deewanon se na poocho..
ke jazb-e-ulfat lafzon mein toh bayan nahi hota..

[/color]
Winking
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #20 on: May 03, 2006, 11:14:01 AM »
Reply with quote
wow mehek
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #21 on: May 03, 2006, 01:08:54 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Mehek.... Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #22 on: May 04, 2006, 10:29:25 AM »
Reply with quote
Ankhon Mein Apne Teri Chahat Ki Diye Jalaye Hain,..
Tum Kush Raho Tumhare Liye Hum Khushiaan Laaye Hain,..

Tumhari Ek Adaa Bhi Mera Chain Le Jaati Hai,..
Jab Se Dekha Hai Tumhe Hume Neend Nahi Aati Hai,..

Jaane Na Koi Kya Asar Hai Mohabbat Ke Khazaane Mein,..
Jinhone Mohabbat Ki Unke Naam Hote Hain Zamaane Mein,..

Mohabbat Ek Aisa Nashaa Deti Hai Jeene ke Liye,..
Jisne Mohabbat ki Ho Wo Sharab Na Mange Peene ke Liye,..

Mohabbat Na Mitegi Duniya Mein Kabhi Na Koi Mitaa Paayega,..
Kyun Ki Iska Asar Aisa Hai Jo Patjhad Mein Bhi Phool Khilaayega,..

___________________-Azeem-___________________
Logged
mehek
Guest
«Reply #23 on: May 04, 2006, 10:32:30 AM »
Reply with quote
thanx kaiynath & Aryaan..
bohat khoob jaanasheen
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: May 04, 2006, 10:37:30 AM »
Reply with quote
Shukriya Mehek Ji,..

Mohabbat Ko Teri Hum Aisa Naam De Jaayeinge,..
Jab Duniya Mohabbat ka Zikar Kare, To Mehfil Mein Hamare Naam Aaayeinge,..

______________________________________________-Jaanasheen-
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #25 on: May 05, 2006, 08:36:41 AM »
Reply with quote
JAANSHEEN BHAI bahut bahut khoob............

mohabbat karke humne is jahan me naam kar diya,
aankhon-hi-aankhon me humne yeh ikraar kar diya....
safar kaat kar jo hum mohabbat ki raahon se guzare,
jo teer tha tumne use humare dil ke paar kar diya.....
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #26 on: May 05, 2006, 11:42:17 AM »
Reply with quote
aankhon ne tumhari kehdi baat saari
lab tune na khole par kehdi dil ki baat saari
Logged
mehek
Guest
«Reply #27 on: May 05, 2006, 11:48:21 AM »
Reply with quote

dil lagaya hai gar toh mehfil mein charch bhi hoga..
woh mohabbat hi kya jismein AashiQ badnaam na ho..

Winking
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #28 on: May 05, 2006, 11:48:41 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"

Suno Pagal Larki
Mujhe Paane Ke Khwaab Na Dekho
Agar Meri Yaadon Ke Kaanch
Tumhari Ankhoon Mein Reh Gaye Tau
Tamaam Umr Tum Roti Raho Gi

Main Awaara Baadal
Harjayi Hawaa Hoon
Mujhe Mutthiyon Mein
Qaid Karne Ki Koshish Na Karo
Kaheen Aisa Na Ho Keh
Khaali Hatheliyon Ka Dukh
Tumhein Maar Daale

Main Saahil Ki Rait Hoon
Mujh Par Apna Naam Likhne Ki
Koshish Na Karna
Kaheen Aisa Na Ho Keh
WaQt Ki Koyi Lehar Aa Kar
Isey Mita De
Aur Tum Khud Ko Dhoondti Reh Jao

Mujhe Gulaab Ki Maanind
Dil Ki Kitaab Mein Na Rakho
Kaheen Aisa Na Ho Keh
Jab Kabhi
Iss Kushk Phool Ko Uthao
Tau Patti Patti Bikhar Jaye
Aur uss Ke Bikharne Ka Dukh
Tumhein Raiza Raiza Kar De

Meri Yadoon Ke Sooraj
Apni Aankhoon Mein Na Basaao
Kaheen Aisa Na Ho Keh
Inn Ki Tapish Se
Tumhari Aankhein Pighall Jayein
Aur
Tum Jaanti Ho Keh Tumhari Aankhein
Mujhe Apni Jaan Se Barh Kar Azeez Hain


superb .............
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #29 on: May 05, 2006, 12:02:23 PM »
Reply with quote
wah wah mehek , vicky ji ,aur baaki sabne bahut khoob llikha....
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:50:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer