Tumhari Aankhein..

by Aryaan on April 29, 2006, 03:38:42 AM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 4597 times)
Aryaan
Guest
«Reply #30 on: May 05, 2006, 12:36:04 PM »
Reply with quote
Bohat shukriya Gesu...Usual Smile

Bohat khoob Jaanasheen, Vicky, Kaiynath & Mehek..Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumhari aankhein..... by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tumhari Aankhein...!! by pinky in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 11 12 »
mehek
Guest
«Reply #31 on: May 05, 2006, 12:49:48 PM »
Reply with quote
thanx soo much Aryaan :D
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #32 on: May 05, 2006, 12:54:21 PM »
Reply with quote
Shukriya Vicky Bhai Aur Aryaan Bhai,..
Logged
abeera
Guest
«Reply #33 on: May 05, 2006, 01:42:28 PM »
Reply with quote
asalam alikum aryaan ;hope u will be fine
bahut din ke baad yo india per login hui nice poetry ARYAAN
AS ALWAYS

Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.

Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.

Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #34 on: May 05, 2006, 01:52:11 PM »
Reply with quote
Nice One Abeera,..

Yaad Aayeinge Har Pal Hum Tujhe Sanam,..
Ke Tujhe Bhoola Nahi Sakege Hum Is Janam,..

Tu Basi Hai Mere Dil Mein Is Kadar,..
Jahan Bhi Dekhoon Sirf Tu Hi Aati hai Nazar,..

Teri Wafaon Ne Mujhe Pal Pal Chain Diya Hai,..
Aur Tune Ye Badle Mein Iske Mera Dil Liya Hai,..

Ab Bhoolne Ki Baat Na Karo Ke Humne Tumhe Dil Mein Basaya Hai,..
Apna Sab Kuch Lootakar Jaanasheen Bas Ek Tujhi Ko Paya Hai,..

Meri Har Yaad Mein Shameel Hai Tu Tujhe Na Main Bhoolaoonga,..
Jab Tu Mera Sath Chodegi Is Duniya Se Main Chala Jaaoonga,..

______________________-Azeem-_________________
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #35 on: May 05, 2006, 05:05:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"

Suno Pagal Larki
Mujhe Paane Ke Khwaab Na Dekho
Agar Meri Yaadon Ke Kaanch
Tumhari Ankhoon Mein Reh Gaye Tau
Tamaam Umr Tum Roti Raho Gi

Main Awaara Baadal
Harjayi Hawaa Hoon
Mujhe Mutthiyon Mein
Qaid Karne Ki Koshish Na Karo
Kaheen Aisa Na Ho Keh
Khaali Hatheliyon Ka Dukh
Tumhein Maar Daale

Main Saahil Ki Rait Hoon
Mujh Par Apna Naam Likhne Ki
Koshish Na Karna
Kaheen Aisa Na Ho Keh
WaQt Ki Koyi Lehar Aa Kar
Isey Mita De
Aur Tum Khud Ko Dhoondti Reh Jao

Mujhe Gulaab Ki Maanind
Dil Ki Kitaab Mein Na Rakho
Kaheen Aisa Na Ho Keh
Jab Kabhi
Iss Kushk Phool Ko Uthao
Tau Patti Patti Bikhar Jaye
Aur uss Ke Bikharne Ka Dukh
Tumhein Raiza Raiza Kar De

Meri Yadoon Ke Sooraj
Apni Aankhoon Mein Na Basaao
Kaheen Aisa Na Ho Keh
Inn Ki Tapish Se
Tumhari Aankhein Pighall Jayein
Aur
Tum Jaanti Ho Keh Tumhari Aankhein
Mujhe Apni Jaan Se Barh Kar Azeez Hain


WOW, just GR8 Aryaan as usual........har baar kamal likhta ho.......keep it up yaar.....u wite just AMAZING.....hum toh aap ki shayari ka hamesha sa FAN hai......ab toh aur bhi hota jaa rahaa hai.....Usual Smile!!!!!!

Mehek,vikas,Jannasheen,Abeera GREAT going guyz......tum sab bhi kam nahi....keep it up guyz!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #36 on: May 05, 2006, 05:35:56 PM »
Reply with quote
Quote from: "abeera"
asalam alikum aryaan ;hope you will be fine
bahut din ke baad yo india per login hui nice poetry ARYAAN
AS ALWAYS

Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.

Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.

Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.

Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya

WSalaam Abeera, pasand karne ka bohat shukriya, bohat kam nazar aati hain aap.. aati jati raha kijiye na.. Usual Smile
Btw, Nice One..

Jaanasheen Aap ne bhi  khoob likha hai..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #37 on: May 05, 2006, 05:42:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "isha_verma7"
Quote from: "Aryaan"

Suno Pagal Larki
Mujhe Paane Ke Khwaab Na Dekho
Agar Meri Yaadon Ke Kaanch
Tumhari Ankhoon Mein Reh Gaye Tau
Tamaam Umr Tum Roti Raho Gi

Main Awaara Baadal
Harjayi Hawaa Hoon
Mujhe Mutthiyon Mein
Qaid Karne Ki Koshish Na Karo
Kaheen Aisa Na Ho Keh
Khaali Hatheliyon Ka Dukh
Tumhein Maar Daale

Main Saahil Ki Rait Hoon
Mujh Par Apna Naam Likhne Ki
Koshish Na Karna
Kaheen Aisa Na Ho Keh
WaQt Ki Koyi Lehar Aa Kar
Isey Mita De
Aur Tum Khud Ko Dhoondti Reh Jao

Mujhe Gulaab Ki Maanind
Dil Ki Kitaab Mein Na Rakho
Kaheen Aisa Na Ho Keh
Jab Kabhi
Iss Kushk Phool Ko Uthao
Tau Patti Patti Bikhar Jaye
Aur uss Ke Bikharne Ka Dukh
Tumhein Raiza Raiza Kar De

Meri Yadoon Ke Sooraj
Apni Aankhoon Mein Na Basaao
Kaheen Aisa Na Ho Keh
Inn Ki Tapish Se
Tumhari Aankhein Pighall Jayein
Aur
Tum Jaanti Ho Keh Tumhari Aankhein
Mujhe Apni Jaan Se Barh Kar Azeez Hain


WOW, just GR8 Aryaan as usual........har baar kamal likhta ho.......keep it up yaar.....you wite just AMAZING.....hum toh aap ki shayari ka hamesha sa FAN hai......ab toh aur bhi hota jaa rahaa hai.....Usual Smile!!!!!!

Mehek,vikas,Jannasheen,Abeera GREAT going guyz......tum sab bhi kam nahi....keep it up guyz!!!!

Thank you so much Isha..
 main jo bhi likhoon aapko tau hamesha hi acha lagta hai.. thanx for the being my true FAN
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: May 06, 2006, 04:39:11 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai, sabhi ne ek se bad kar ek likha hai!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #39 on: May 08, 2006, 12:08:24 AM »
Reply with quote
Bohat shukriya Pooja...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #40 on: May 21, 2006, 02:49:23 AM »
Reply with quote
Shumaar Uski Sakhawat Ka Kya Karein Keh Woh Shakhs
Charaagh Baant-ta Phirta Hai Cheen Kar Aankhein
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #41 on: May 21, 2006, 04:57:30 AM »
Reply with quote
wah kay abaat hai Aryaan ji bahoot khoob!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #42 on: May 22, 2006, 12:36:22 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Pankhuri....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #43 on: May 22, 2006, 06:29:10 AM »
Reply with quote
wowwwwwwwwwwwwww aryaan

Jhilki gehrai kahe ya sagarki parchai kahe,
Shamki shehnahi kahe ya raatki tanhai kahe,
Samajhkar aayna jinhe hum sharma gaye,
Aapki un nazroko aye humnawaz hum kya kahe...
Khudaki tasveer kahe,
Ya in aankhonki takdeer kahein,
Husnki jagir kahe
Ya dilme gadta teer kahe,
Dekh kar hum jise dekhte hi rahe,
Aapke us chehre ko aye sanam hum kya kahe...
********************************************
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #44 on: May 22, 2006, 01:09:25 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB ARYAAN JI aur ANGEL JI.....

Sanam aapke husn ke hazaron deewane hain,
dil to ek hai magar, hazaron afsaane hain............
jab mohabbat mil jaye is dil ko agar,
phir har taraf pyar ke tarane hi tarane hain.....
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:22:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer