tumhe baar baar dekhti hun

by sandhaya on January 10, 2005, 10:42:24 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 44
ReplyPrint
Author  (Read 41018 times)
nikki
Guest
«Reply #150 on: March 17, 2005, 04:37:38 PM »
Reply with quote
always welcome...ji
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #151 on: March 18, 2005, 05:04:31 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Very Nice All......

Ansoon Kyun Nahi Rukte Mere
Dard Kyun Nahi Kam Hota Mera

Aansuon Ki Barish Main Kyun Dooba Rehta Hoon
Tanhaai Mein Kyun Rota Rehta Hoon

Na Jeeta Hoon Na Marta Hoon
Uss Ki Yaadon Mein Khoya Rehta Hoon

Pata Hai Woh Kabhi Nahi Miley Ga Mujhe
Phir Bhi Uss Ka Intezaar Rehta Hai Mujhe


aansu ruke kaise dard kaise gatega
vo aayega jab teri duniya main vapas
tuh hi ye dard abh tuh vo batayega
tuh rota kyun hai apni tanhai main
vo aayega tuh sab teek ho jayega
tuh bhul ke khudko lamehe barbad na kar
vo tere liye bana hoga tuh khuda use milayega
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #152 on: March 19, 2005, 07:05:13 PM »
Reply with quote
Wah Sandhaya.. bohat hi khubsoorat reply.... Beautiful..
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #153 on: March 29, 2005, 06:01:48 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Wah Sandhaya.. bohat hi khubsoorat reply.... Beautiful..



thank u Aryaan ji aapki tariff reply ko aur khoobsurat bana deti hai
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #154 on: April 02, 2005, 05:38:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "Aryaan"
Very Nice All......

Ansoon Kyun Nahi Rukte Mere
Dard Kyun Nahi Kam Hota Mera

Aansuon Ki Barish Main Kyun Dooba Rehta Hoon
Tanhaai Mein Kyun Rota Rehta Hoon

Na Jeeta Hoon Na Marta Hoon
Uss Ki Yaadon Mein Khoya Rehta Hoon

Pata Hai Woh Kabhi Nahi Miley Ga Mujhe
Phir Bhi Uss Ka Intezaar Rehta Hai Mujhe


aansu ruke kaise dard kaise gatega
vo aayega jab teri duniya main vapas
tuh hi ye dard abh tuh vo batayega
tuh rota kyun hai apni tanhai main
vo aayega tuh sab teek ho jayega
tuh bhul ke khudko lamehe barbad na kar
vo tere liye bana hoga tuh khuda use milayega



Wah jee wah khoob

aansu bhi rukenge dard bhi gatega..
aaye hai hum ab duniya main teri ....
denge khushiyo ke lamhe tujhe..
hasayenge hamehsa tujhe..ek baar ikraat to kar..
hum bane hai tere liye..ek baar humse pyaar to kar..
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #155 on: April 04, 2005, 10:18:30 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "sandeepparker"
kya hua dosto kiss baat ke liye pareshaan ho ..
milta wahi hai jiska dil mai armaan ho...
haarne walo ko milte hai aansoo..
aur jeetne wale ko khushi..
yahi hai zindgi..

waise aap sab jo soch rahe hai aisa kuch nahi hai...
aur sandhaya dont worry.. sab milta hai..
bas himmat na haro. kabhi, aur waise bhi "MAIN HUN NA"
kyon Zindgi jee .. hain jee



thank you sandeep teek kaha tumne ki sab milta hai lekin tab jab uski jarurat hi sayad gatam ho chuki hoti hai
aur acha laga sunke ki mujhe paresaan hone ki jarurat nahi hai kyunki tum ho na

thanku everybody apki duaon ke liye



thanks friends

aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar  naheeN hai
dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai
nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay !  ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai
 (NM)

[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]
[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
KHummaar = intoxication ]
[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #156 on: April 05, 2005, 08:53:57 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandeepparker"
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "Aryaan"
Very Nice All......

Ansoon Kyun Nahi Rukte Mere
Dard Kyun Nahi Kam Hota Mera

Aansuon Ki Barish Main Kyun Dooba Rehta Hoon
Tanhaai Mein Kyun Rota Rehta Hoon

Na Jeeta Hoon Na Marta Hoon
Uss Ki Yaadon Mein Khoya Rehta Hoon

Pata Hai Woh Kabhi Nahi Miley Ga Mujhe
Phir Bhi Uss Ka Intezaar Rehta Hai Mujhe


aansu ruke kaise dard kaise gatega
vo aayega jab teri duniya main vapas
tuh hi ye dard abh tuh vo batayega
tuh rota kyun hai apni tanhai main
vo aayega tuh sab teek ho jayega
tuh bhul ke khudko lamehe barbad na kar
vo tere liye bana hoga tuh khuda use milayega



Wah jee wah khoob

aansu bhi rukenge dard bhi gatega..
aaye hai hum ab duniya main teri ....
denge khushiyo ke lamhe tujhe..
hasayenge hamehsa tujhe..ek baar ikraat to kar..
hum bane hai tere liye..ek baar humse pyaar to kar..



good reply..........sandeep

tujhse pyar karte hai tera intazar karte hai
tune jagaye hai armaan dil main mere
abh tuh bas tujhpe hi hum marte hai
nazaron se nazar milai hai humne teri
hum tujhse pyar ka aaj apne ikraar karte hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #157 on: April 05, 2005, 09:01:44 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandeepparker"
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "sandeepparker"
kya hua dosto kiss baat ke liye pareshaan ho ..
milta wahi hai jiska dil mai armaan ho...
haarne walo ko milte hai aansoo..
aur jeetne wale ko khushi..
yahi hai zindgi..

waise aap sab jo soch rahe hai aisa kuch nahi hai...
aur sandhaya dont worry.. sab milta hai..
bas himmat na haro. kabhi, aur waise bhi "MAIN HUN NA"
kyon Zindgi jee .. hain jee



thank you sandeep teek kaha tumne ki sab milta hai lekin tab jab uski jarurat hi sayad gatam ho chuki hoti hai
aur acha laga sunke ki mujhe paresaan hone ki jarurat nahi hai kyunki tum ho na

thanku everybody apki duaon ke liye



thanks friends

aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar  naheeN hai
dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai
nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay !  ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai
 (NM)

[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]
[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
KHummaar = intoxication ]
[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]



sandeep mujhe itni jyada urdu nah aati lekin phir bhi iske meaning se its feeling good

hum teri baat samje na samje
tere ehsaas ko samjhte hai
tere khwab ko samje na samje
tere har khayal ko samjte hai
tuh hume samje na samje
hum tere har jajbaat ko samjte hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #158 on: April 08, 2005, 05:26:31 AM »
Reply with quote
Saath hote tum tuh zindagi hasin hoti
Haar din meri  khushi ki jeet hoti
Main bhi har pal khusian manati
Agar saath hote tum ………..

Saath jo tumhara chuta hai
 zindagi ka har ehsaah mujhse rutha hai
hum bhi har din muskhurate
agar saath hote tum………..

saath hote hai humsafar tuh har din diwali hoti hai
gum ki aandhi kisi kone main aram se soti hai
hum bhi diwali manate
agar saath hote tum…………
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #159 on: April 08, 2005, 05:32:46 AM »
Reply with quote
Zindagi meri ek kori kitab
Isne diye mujhe unkahe ehsaash
Zindagi meri ek kori kitab
Isne diya dard mujhe besumarr
Zindagi meri ek kori kitab
Khwaish koi kabhi puri na kare
Har pal hum iske intazaar mein mare
Zindagi meri ek kori kitab
Hum kya kahe iss zindagi ki asaliat
Deti hai kabhi khusi tuh kabhi dard
Hum  de abh isse kon sa khitab
Zindagi meri ek kori kitab
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #160 on: April 08, 2005, 10:45:23 AM »
Reply with quote
hi friends kaise hai aap sab haaan

aur aap sab kya kar rahe hai inn dino sandeep bhi nahi aa paa r aha hai aaj kal
yaar aaj kal meri id par post ki reply nahi aati kya koi problem chal rahi hai kisi aur ko bhi ye problem hai ya nahi plz batayenge mujhe
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #161 on: April 08, 2005, 10:59:36 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Bahoot Khoob Sandeep and Sandhaya!!!!!

Muskurah kar dekhaty hai, aor wo jawab nahi dete
ankhy ghumaty hai, magar wo sawal nahi karaty
soch mai par jati hu mai baar baar
kayun payar kar ke, wo payar ka Izhaar nahi karaty!!!!!


unki juban nahi nigahein bolti hai
ye kamsin aadayein bolti hai
jo bhi raaj hai unke dil main
vo jhukti nigahein bolti hai
koi aur na sunle jubane se unka ijhare
issiliye ye ijhaar aadaien bolti hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #162 on: April 08, 2005, 10:59:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Bahoot Khoob Sandeep and Sandhaya!!!!!

Muskurah kar dekhaty hai, aor wo jawab nahi dete
ankhy ghumaty hai, magar wo sawal nahi karaty
soch mai par jati hu mai baar baar
kayun payar kar ke, wo payar ka Izhaar nahi karaty!!!!!


unki juban nahi nigahein bolti hai
ye kamsin aadayein bolti hai
jo bhi raaj hai unke dil main
vo jhukti nigahein bolti hai
koi aur na sunle jubane se unka ijhare
issiliye ye ijhaar aadaien bolti hai

and thank u pooja
Logged
prem
Guest
«Reply #163 on: April 08, 2005, 11:13:43 AM »
Reply with quote
Kya Khub Likha Hai Aapne...

Arj Hai

        Inkar-e-Ishq par mar jayenge,
        Ikrar-e-Ishq par mar Jayenge,
        gar Na kah sake kuchh to,
        Tadap Tadap ke mar Jayenge.. [ NM ]
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #164 on: April 08, 2005, 11:24:31 AM »
Reply with quote
sukriya prem ji..............

usne inkaar kiya tuh hum jee na payenge
uske ikraar se bhi hum khusi se mar jayenge
kya kahe ki kya hoga vo aalam mere dosto
jab hum banke dulhan unke ghar jayenge

Quote from: "prem"
Kya Khub Likha Hai Aapne...

Arj Hai

        Inkar-e-Ishq par mar jayenge,
        Ikrar-e-Ishq par mar Jayenge,
        gar Na kah sake kuchh to,
        Tadap Tadap ke mar Jayenge.. [ NM ]
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 44
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:05:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer