tumhe baar baar dekhti hun

by sandhaya on January 10, 2005, 10:42:24 AM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 44
ReplyPrint
Author  (Read 41016 times)
nikki
Guest
«Reply #165 on: April 08, 2005, 11:37:35 AM »
Reply with quote
wao...toooooooooooooo good Sandhiya........................

agar har tarah se maut hi likhi hai ...
to yaaro hum to ishq mein....uski ek jhalak pe mar jayenge......

dua hai meri........Sandhya

aye khuda woh din jaroor aye..
tu dulhan ban ke uske ghar jaye,
khushion se saja rahe jahaan tera..
bhule se bhi na aye teri zindagi mein...
gum ka andhera.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #166 on: April 08, 2005, 11:46:45 AM »
Reply with quote
thanks u nikki........

tumhne dua di hai tuh
hum apni manjil ko payenge
banege dulhan  ek din
aur apne mehbub ke ghar jayenge
abhi tuh mehbub nahi mila hai NIKKI
par jab milega tuh tumhe jarur milvayenge


Quote from: "nikki"
wao...toooooooooooooo good Sandhiya........................

agar har tarah se maut hi likhi hai ...
to yaaro hum to ishq mein....uski ek jhalak pe mar jayenge......

dua hai meri........Sandhya

aye khuda woh din jaroor aye..
tu dulhan ban ke uske ghar jaye,
khushion se saja rahe jahaan tera..
bhule se bhi na aye teri zindagi mein...
gum ka andhera.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #167 on: April 08, 2005, 01:09:07 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Sandhaya, Prem & Nikki...............
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #168 on: April 09, 2005, 04:44:55 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "sandeepparker"
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "sandeepparker"
kya hua dosto kiss baat ke liye pareshaan ho ..
milta wahi hai jiska dil mai armaan ho...
haarne walo ko milte hai aansoo..
aur jeetne wale ko khushi..
yahi hai zindgi..

waise aap sab jo soch rahe hai aisa kuch nahi hai...
aur sandhaya dont worry.. sab milta hai..
bas himmat na haro. kabhi, aur waise bhi "MAIN HUN NA"
kyon Zindgi jee .. hain jee



thank you sandeep teek kaha tumne ki sab milta hai lekin tab jab uski jarurat hi sayad gatam ho chuki hoti hai
aur acha laga sunke ki mujhe paresaan hone ki jarurat nahi hai kyunki tum ho na

thanku everybody apki duaon ke liye



thanks friends

aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar  naheeN hai
dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai
nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay !  ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai
 (NM)

[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]
[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
KHummaar = intoxication ]
[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]



sandeep mujhe itni jyada urdu nah aati lekin phir bhi iske meaning se its feeling good

hum teri baat samje na samje
tere ehsaas ko samjhte hai
tere khwab ko samje na samje
tere har khayal ko samjte hai
tuh hume samje na samje
hum tere har jajbaat ko samjte hai


Kya baat hai sandhya jee.. maan gaye aapko

koi hai jo paas hai
lekin phir bhi dur hai
koi hai jo saamne hai
lekin dikhaii nahi deti
koi hai jo sab samjhati hai
lekin phir bhi anjan banti hai
koi hai jiske saamne meri aawaj nahi nikalti
jab woh saamne aati hai
to maano saama apna sa ho jaata hai
maano sabkuch apna sa lagne lagta hai
woh hai ek jaani anjaani si
mere dil ki kahani jaise
main har samay use sochta rahta hun
use apne pass mahsus karta rahta hun
woh jo bhi hai woh mere dil ke karib hai
mere khawabo main basi woh meri kahani hai
jaane woh kambakhat din kab aayega
jab main use bata sakunga
ki woh koi aur nahi
woh tum ho tum
sirf tum!!!
(NM)
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #169 on: April 09, 2005, 04:48:25 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "sandeepparker"
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "Aryaan"
Very Nice All......

Ansoon Kyun Nahi Rukte Mere
Dard Kyun Nahi Kam Hota Mera

Aansuon Ki Barish Main Kyun Dooba Rehta Hoon
Tanhaai Mein Kyun Rota Rehta Hoon

Na Jeeta Hoon Na Marta Hoon
Uss Ki Yaadon Mein Khoya Rehta Hoon

Pata Hai Woh Kabhi Nahi Miley Ga Mujhe
Phir Bhi Uss Ka Intezaar Rehta Hai Mujhe


aansu ruke kaise dard kaise gatega
vo aayega jab teri duniya main vapas
tuh hi ye dard abh tuh vo batayega
tuh rota kyun hai apni tanhai main
vo aayega tuh sab teek ho jayega
tuh bhul ke khudko lamehe barbad na kar
vo tere liye bana hoga tuh khuda use milayega



Wah jee wah khoob

aansu bhi rukenge dard bhi gatega..
aaye hai hum ab duniya main teri ....
denge khushiyo ke lamhe tujhe..
hasayenge hamehsa tujhe..ek baar ikraat to kar..
hum bane hai tere liye..ek baar humse pyaar to kar..



good reply..........sandeep

tujhse pyar karte hai tera intazar karte hai
tune jagaye hai armaan dil main mere
abh tuh bas tujhpe hi hum marte hai
nazaron se nazar milai hai humne teri
hum tujhse pyar ka aaj apne ikraar karte hai



kamaal ho tum yaar...
sandhya jee kahan .. maine poocha kahan.. kyon jee.

Jab say tu aaye meri zindagi main
Her lamha teri chaah hai
Her pal ko teri aarzoo hai
Her dharkan main teri yaad hai
Aur her zarray ko teri hi pyaas hai
Guzri thi kuch is tarah say zindagi yeh tere qabal
Jaisay isko teri hi, tere pyar ki, tere justajoo ki talaash hai
Aur ab to yeh aalam hai mere hum-nasheen
Kay tu nahi to duniya main kuch bhi nahi
sonch kar bhi tujhe na hasil karnay ka gumaan
is dil ko dharaknay ki aarzoo bhi nahi
(NM)
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #170 on: April 09, 2005, 04:53:56 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Saath hote tum tuh zindagi hasin hoti
Haar din meri  khushi ki jeet hoti
Main bhi har pal khusian manati
Agar saath hote tum ………..

Saath jo tumhara chuta hai
 zindagi ka har ehsaah mujhse rutha hai
hum bhi har din muskhurate
agar saath hote tum………..

saath hote hai humsafar tuh har din diwali hoti hai
gum ki aandhi kisi kone main aram se soti hai
hum bhi diwali manate
agar saath hote tum…………



bahut khoob sandhaya jee

Her kashti-e-manzil sahil hai to kya
Hamahari manzil-e-ishq to sirf tum ho
Yeh dil dharakta hai her pal to kya
Is dil ki dharkan to sirf tum ho
Yeh jaan jayegi kisi din to kya
Is dil ki malika to sirf tum ho
Zindagi dii rab nay to kya
Jeenay ka maqsad to sirf tum ho mari jaan
(NM)
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #171 on: April 09, 2005, 04:56:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Zindagi meri ek kori kitab
Isne diye mujhe unkahe ehsaash
Zindagi meri ek kori kitab
Isne diya dard mujhe besumarr
Zindagi meri ek kori kitab
Khwaish koi kabhi puri na kare
Har pal hum iske intazaar mein mare
Zindagi meri ek kori kitab
Hum kya kahe iss zindagi ki asaliat
Deti hai kabhi khusi tuh kabhi dard
Hum  de abh isse kon sa khitab
Zindagi meri ek kori kitab


yeh baat theek nahi hai...

jeevan main aashaa ki kiran ho tum
kyonki mere saamnay mera chaand ho tum
dharti per bhi swarg sa yauvun ho tum
kyonki mere saamnay mera chaand ho tum
patjhar main bhi saawan ki pawan ho
kyonki mere saamnay mera chaand ho tum
her khushi ho, aashaa ho
kyonki mere saamnay mera chaand ho tum
aisa ho to phir kya ho
jo mere saamanay meri JAAN ho
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #172 on: April 09, 2005, 04:57:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
hi friends kaise hai aap sab haaan

aur aap sab kya kar rahe hai inn dino sandeep bhi nahi aa paa r aha hai aaj kal
yaar aaj kal meri id par post ki reply nahi aati kya koi problem chal rahi hai kisi aur ko bhi ye problem hai ya nahi plz batayenge mujhe


tumne bulaya aur hum chale aaye ..
jaan hatheli par le aaye re....aa gaye jee.. hain jee..

tum ho to hai, duniya haseen
tere bina, kuch bhi nahi
tu hi hai sab kuch, hai mujh ko yakeen
tu jo nahi, to kuch bhi nahi
dekhoon jo tujh ko to dil muskuraye
dil machal jaye, jo tu nazar aaye
tere aanchal main meri duniya basii
teri khushi main hai meri khushi
tum ho to hai, duniya haseen
tere bina, kuch bhi nahi
tu hi hai sab kuch, hai mujh ko yakeen
tu jo nahi, to kuch bhi nahi
betaabi milnay ki her pal sataye
yaadain teri mujhe raaton jagayain
khwabain mera tujh say hain sajeen
teri chaahat hai ab, sub kuch meri
tum ho to hai, duniya haseen
tere bina, kuch bhi nahi
tu hi hai sab kuch, hai mujh ko yakeen
tu jo nahi, to kuch bhi nahi
(NM)
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #173 on: April 09, 2005, 04:59:01 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "Pooja"
Bahoot Khoob Sandeep and Sandhaya!!!!!

Muskurah kar dekhaty hai, aor wo jawab nahi dete
ankhy ghumaty hai, magar wo sawal nahi karaty
soch mai par jati hu mai baar baar
kayun payar kar ke, wo payar ka Izhaar nahi karaty!!!!!


unki juban nahi nigahein bolti hai
ye kamsin aadayein bolti hai
jo bhi raaj hai unke dil main
vo jhukti nigahein bolti hai
koi aur na sunle jubane se unka ijhare
issiliye ye ijhaar aadaien bolti hai


aap bhi naa ..

Phoolon say achi uski khushboo
Kaliyon say pyari muskaan
sitaaron sa chamakta hua chehra
koyal say meethi zabaan
chaand bhi chup jaye yeh keh kay
Aasmaan pay ab kya mera kaam
chaandni to aa nikli zameen say
Kaisi hai yeh qudrat ki shaan
Fursat say banaya hoga rub nay
Farishton ka nahi yeh kaam
Mitti say banay hain hum sab
Us main sona ko milaya hoga
Hooron nay bhi hasrat say dekha hoga
Pariyon say sunder yeh insaan
Alfaaz bhi kum partay hain kahne ko
Aisi hai meri jaaaaaaaaaaaaaaaaaaan
(NM)
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #174 on: April 09, 2005, 05:01:23 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
sukriya prem ji..............

usne inkaar kiya tuh hum jee na payenge
uske ikraar se bhi hum khusi se mar jayenge
kya kahe ki kya hoga vo aalam mere dosto
jab hum banke dulhan unke ghar jayenge

aaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhh.....

kya baat hai sandhaya .. kab aaogi bhai... :oops:
Just Kidding jawan... :twisted:

CHAND KO,,CHANDNI SAY NAHI,,,,
SITARO SAY PYAR HAI,,
HUMAY AAP SAY NAHI,,,,
AAPKI ADHA O SAY PYAR HAI,,,  (NM)
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #175 on: April 09, 2005, 05:02:56 AM »
Reply with quote
aakhe aapki hai per aansoon hamare lagte hai,
baat aapki hai per alfaz hamare lagte hai,
mohabbat aapki hai per judai ke ghum haamre lagte hai,
galatfemiya bahot hai zindagi me per us ke hal hamare lagte hai,
is khamosh dil me chhupe hai jane kitne jazbat,
kuchh hamdardi bhi chhed do to gile se lagte hai,
bhari duniya me hai ham bahot hi tanha,
sirf saath aapka mile to hum adhure pure se lagte hai,
duniya ne to chhine hai hum se hamare hi saaye,
sirf aapke hi parchhaye hai jo apne se lagte hai....
(NM)
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #176 on: April 09, 2005, 05:04:25 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
thanks you nikki........

tumhne dua di hai tuh
hum apni manjil ko payenge
banege dulhan  ek din
aur apne mehbub ke ghar jayenge
abhi tuh mehbub nahi mila hai NIKKI
par jab milega tuh tumhe jarur milvayenge


 :wink: Jhooti kahin ki... tongue3

bataya bhi nahi..

Meri sason main tere pyaar ki khushbu aati hai,
dur se kahi tere kadamon ki aahat sunai deti hai,
dil se dil gar mil jaye,
to dekhen, ab ke kis rang main bahar aati hai.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #177 on: April 09, 2005, 06:25:46 AM »
Reply with quote
Wah! Bohat khoob Sandeep................!!!!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #178 on: April 09, 2005, 06:35:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandeepparker"
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "sandeepparker"
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "sandeepparker"
kya hua dosto kiss baat ke liye pareshaan ho ..
milta wahi hai jiska dil mai armaan ho...
haarne walo ko milte hai aansoo..
aur jeetne wale ko khushi..
yahi hai zindgi..

waise aap sab jo soch rahe hai aisa kuch nahi hai...
aur sandhaya dont worry.. sab milta hai..
bas himmat na haro. kabhi, aur waise bhi "MAIN HUN NA"
kyon Zindgi jee .. hain jee



thank you sandeep teek kaha tumne ki sab milta hai lekin tab jab uski jarurat hi sayad gatam ho chuki hoti hai
aur acha laga sunke ki mujhe paresaan hone ki jarurat nahi hai kyunki tum ho na

thanku everybody apki duaon ke liye



thanks friends

aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar  naheeN hai
dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai
nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay !  ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai
 (NM)

[ qaraar = rest/repose, bedaad = injustice ]
[ hayaat = life, dahar = world, ba_andaaza = according to,
KHummaar = intoxication ]
[ giriya = weeping, iKHtiyaar = control ]



sandeep mujhe itni jyada urdu nah aati lekin phir bhi iske meaning se its feeling good

hum teri baat samje na samje
tere ehsaas ko samjhte hai
tere khwab ko samje na samje
tere har khayal ko samjte hai
tuh hume samje na samje
hum tere har jajbaat ko samjte hai


Kya baat hai sandhya jee.. maan gaye aapko

koi hai jo paas hai
lekin phir bhi dur hai
koi hai jo saamne hai
lekin dikhaii nahi deti
koi hai jo sab samjhati hai
lekin phir bhi anjan banti hai
koi hai jiske saamne meri aawaj nahi nikalti
jab woh saamne aati hai
to maano saama apna sa ho jaata hai
maano sabkuch apna sa lagne lagta hai
woh hai ek jaani anjaani si
mere dil ki kahani jaise
main har samay use sochta rahta hun
use apne pass mahsus karta rahta hun
woh jo bhi hai woh mere dil ke karib hai
mere khawabo main basi woh meri kahani hai
jaane woh kambakhat din kab aayega
jab main use bata sakunga
ki woh koi aur nahi
woh tum ho tum
sirf tum!!!
(NM)


hum tuh aapko pehle hi maan chuke hai sandeep ji

kyun nahi batate tum use
jiske liye tere dil main pyar hai
jisko sochte ho tum har gadhi
jiske liye tera dil bekaraar hai
kyun nahi puchte usse ki kya
tere dil main bhi mere liye koi ehsaah hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #179 on: April 09, 2005, 06:38:17 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Bohat khoob Sandhaya, Prem & Nikki...............


thank  you Aryaan ji..............sukriya prem nikki aur sandeep ki taraf se
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 44
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:03:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer