tumhe baar baar dekhti hun

by sandhaya on January 10, 2005, 10:42:24 AM
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 44
ReplyPrint
Author  (Read 41332 times)
sandhaya
Guest
«Reply #345 on: May 19, 2005, 12:03:15 PM »
Reply with quote
kya baat hai Arun ji ........bahut khoob

ye nivala uski ijajat ke bina mil nahi sakta
ki vo tuh jivan data hai humara hume bhul nahi sakta
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #346 on: May 20, 2005, 01:21:44 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
mahobaat main dokha mil hi jjaat hai aksar
ki khuda ne aashiqon kismat main milna nahi likha


bahoot khoob kaha aapne

Is kadar intezaar karna padega aapka,
pata na tha
Is kadar bekarar hona padega,
pata na tha
Is kadar yaad aayegi aapki,
pata na tha
kyon guzarata hai sara din aapki yaad mey
pata hai aapko ?
kyon bekrar ho jaata hun mai bin tumhare
pata hai aapko ?
Kyon yaad aati hai aapki har pal
pata hai aapko ?
dhoka diya nahi maine
pata hai aapko ?
(NM)
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #347 on: May 20, 2005, 05:10:46 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
kya baat hai Arun ji ........bahut khoob

ye nivala uski ijajat ke bina mil nahi sakta
ki vo tuh jivan data hai humara hume bhul nahi sakta


Waaaah Bahut Khoob!! Sandhya ji!! :D

Kafan Badha To Kis liye Nazar Tu Dabdaba gayi ?
Singaar Kyon saham gaya bahaar kyon lajaa gayi ?
Na Janm Kuchh Na Mrityu Kuchh Bus Itni sirf Baat hai,
Kisi ki aankh Khul gayi kisi ko Neend aa gayi!!


(Neeraj)
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #348 on: May 21, 2005, 04:52:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandeepparker"
Quote from: "sandhaya"
mahobaat main dokha mil hi jjaat hai aksar
ki khuda ne aashiqon kismat main milna nahi likha


bahoot khoob kaha aapne

Is kadar intezaar karna padega aapka,
pata na tha
Is kadar bekarar hona padega,
pata na tha
Is kadar yaad aayegi aapki,
pata na tha
kyon guzarata hai sara din aapki yaad mey
pata hai aapko ?
kyon bekrar ho jaata hun mai bin tumhare
pata hai aapko ?
Kyon yaad aati hai aapki har pal
pata hai aapko ?
dhoka diya nahi maine
pata hai aapko ?
(NM)


hum jante hai ki tuh nahi dokhe baaj
par kismat hi kharab ho tuh kya karun
milna tuh hum bhi chahte the tujhse
khuda ko kuch aur hi manjur ho tuh kya karun
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #349 on: May 21, 2005, 05:04:23 AM »
Reply with quote
Arun ji kya baat.............bahut dard hai ji

aankh khulte hi tera didar karte hai
band karte hi tujhse pyar karte hai
kaisa hai ye haisn alam aashqiqi ka
tere pass reh ke bhi tera intezaar karte hai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #350 on: May 21, 2005, 02:56:16 PM »
Reply with quote
meraa dil bhi shauq se todo ek tajurba aur sahi
lakh khilone tod chuke ho ek khilona aur sahi

raat hai gam ki aaj bujha do jalta hua har ek chiraag
dil me andhera ho hi chuka hai ghar me andhera aur sahi
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #351 on: May 23, 2005, 08:11:24 AM »
Reply with quote
ye nivala-e-ishq uski navajish ke bina mil nahi sakta
ki voh tuh deta hai sab kuch khushi se bina mange
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #352 on: May 23, 2005, 08:14:26 AM »
Reply with quote
kya baat hai chiraag ji bahut ache aur arun ji .........kya baat hai

dekhke bhi hume vo nahi dekhte hai
na jane nazar churake kyun dekhte hai
kyun hai aati unko itni saram humse
kyun janke bhi nahi hume jante hia
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #353 on: May 23, 2005, 08:21:45 AM »
Reply with quote
Andera ho gaya mere ghar main uske jate hi
jaise mere ghar main uske dum se hi roshni thi

tab khusion se khilta tha angan ye mera
jab bhi vo paanjeb pehen ke gumti thi

ye aakash suna ye darti khamosh hai
jaise uske hote hue ye sab bolti thi

kaha jake dundhun main abh uske nishan  
ki uske bina meri zindagi khudko bhi dundhti  thi
Logged
HumTum
Guest
«Reply #354 on: May 23, 2005, 08:30:40 AM »
Reply with quote
kamal hai sandhaya ji ....  kha kha bath ke likhti hai aap .. humey bhi woh jagah bta dijiye hum bhi itni achi shayri likh liya krengey... khair .. filhal to jo hai hamarey pass woh suniye ...

hasrat-e dil ke beshumar sawaal
goonji thi hasrat jawaab nahi

tang tha dil gam-e dauraan se
hai meri jindagi koi kitaab nahi

uske yaadon mein tha ahed-e sukoon
aur uske hone ke bhi khwaab nahi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #355 on: May 23, 2005, 09:45:18 PM »
Reply with quote
KHUDA UNHE SALAMAT RAKHE JO
NAFRAT HUMSE KARTE HAI
PYAR NAHI NAFRAT HI SAHI
KUCH TO HUM SE KARTE HA
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #356 on: May 24, 2005, 04:38:43 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
kamal hai sandhaya ji ....  kha kha bath ke likhti hai aap .. humey bhi woh jagah bta dijiye hum bhi itni achi shayri likh liya krengey... khair .. filhal to jo hai hamarey pass woh suniye ...

hasrat-e dil ke beshumar sawaal
goonji thi hasrat jawaab nahi

tang tha dil gam-e dauraan se
hai meri jindagi koi kitaab nahi

uske yaadon mein tha ahed-e sukoon
aur uske hone ke bhi khwaab nahi



kya baat hai Humtum ji aaj kal aap sabse yahi sawal kyun kar rahe hai .......anyways hum tuh aise hi likh lete hai shor main bhi cafe main hi likhti hun aksar
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #357 on: May 24, 2005, 10:27:19 PM »
Reply with quote
Raho mein zinke palke bichhaye humne,

AAte hi usne kaha unhe fursat nahi hai.

Sab kuchh chhod diya ziske liye humne,

Milte hi kaha tumhari zaroorat nahi hai .
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #358 on: May 28, 2005, 08:43:32 AM »
Reply with quote
bahut hi acha likha hai humtum ji aapne uss din main bahut jaldi main thi aur kuch likh hi nahi paai aur aaj samaj hi nahi aa raha hai ki kaise javab dun aapko................
also good faree.......

dil ko aaram aa gaya hai teri baatein sunke
jaise mere har marj ka ilaaj teri aawaj hi ho
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #359 on: May 28, 2005, 09:39:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Andera ho gaya mere ghar main uske jate hi
jaise mere ghar main uske dum se hi roshni thi

tab khusion se khilta tha angan ye mera
jab bhi vo paanjeb pehen ke gumti thi

ye aakash suna ye darti khamosh hai
jaise uske hote hue ye sab bolti thi

kaha jake dundhun main abh uske nishan  
ki uske bina meri zindagi khudko bhi dundhti  thi


dum se jiske roshni ghar me ,...
wo noor aaj sham mere ghar na aaya,...
tab khushiyo se chahak uthta tha aangan mera,...
wo aaj sham mere ghar nahi aayi,.....
ye dharti ye aasman sab chup hai aaj,...
k wo meri zindigi aaj nahi aayi,....
mere dil me kaha jake ruke uske nisha naye mujhe pata na ye mujhe khaber thi,....
aab jab wo aaygi mere ghar to puchunga usse,...
meri zindigi ki dastan,..mere khawb mere aarman,..
ab na jana mujhe chor ker,....
k tere na aane se meri aadhi zindigi kal  nahi aayi,...
Logged
Pages: 1 ... 20 21 22 23 [24] 25 26 27 28 ... 44
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:55:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer