Tumhe Paane Ka Jazba Aaj Bhi..!!...........Shireen Hakani

by Shireen Hakani on August 23, 2012, 11:38:39 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2171 times)
Shireen Hakani
Guest
Reply with quote
Aaj Tumhe Likha Purana Ek Khat Haath Aaya,
Yaadon Ka Ek Tufaan Woh Phir Apne Saath Laya..!!

Be-Bas Dil Ne Nikaali Phir Teri Tasveer Kitaab Se,
Chehra Tumhara Phir Wohi Kasak, Wohi Jazbaat Laya..!!

Alag Kuch Bhi Nahi, Intezar Kal Tha Aur Aaj Bhi Hai,
Kyu Phir Baadal Apne Saath Aansuon Ki Barsaat Laya..!!

Sach Hai Waqt Ke Saath Mohabbat Kabhi Kam Nahi Hoti,
Tumhe Paane Ka Jazba Aaj Bhi, Guzarta Har Lamhaat Laya..!!

Shireen Hakani
Logged
soudagar
Guest
«Reply #1 on: August 23, 2012, 11:52:21 AM »
Reply with quote
Wah shireen ji wah justawesome....... Tareef ke liye alfaz kam pad rahe hain....bahut hi khbsurat aur besqeemti khyalo se nawaza hai aapne is rachna ko........ Bahut bahut mubarakbaad....aur ek rau bhi is rachna ke liye mujhe bahut umda lagi aapki yeh rachna
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #2 on: August 23, 2012, 11:57:34 AM »
Reply with quote
Bahut BAhut Khub Shireen Ji Bahut Hi umda Likha Hai aapne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: August 23, 2012, 11:59:09 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: August 23, 2012, 12:27:31 PM »
Reply with quote
Bahut khoob..
Beautiful ghazal..nice thoughts
Wah wah wah
Logged
Sps
Guest
«Reply #5 on: August 23, 2012, 01:50:07 PM »
Reply with quote
bahot khoob!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 23, 2012, 02:30:12 PM »
Reply with quote
Aaj Tumhe Likha Purana Ek Khat Haath Aaya,
Yaadon Ka Ek Tufaan Woh Phir Apne Saath Laya..!!

Be-Bas Dil Ne Nikaali Phir Teri Tasveer Kitaab Se,
Chehra Tumhara Phir Wohi Kasak, Wohi Jazbaat Laya..!!

Alag Kuch Bhi Nahi, Intezar Kal Tha Aur Aaj Bhi Hai,
Kyu Phir Baadal Apne Saath Aansuon Ki Barsaat Laya..!!

Sach Hai Waqt Ke Saath Mohabbat Kabhi Kam Nahi Hoti,
Tumhe Paane Ka Jazba Aaj Bhi, Guzarta Har Lamhaat Laya..!!

Shireen Hakani



Bahut Bahut Khooooooob Shireen ji..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khoobsurat Ehsaas..

Ek Nazm Meri Taraf Se..

Uss Puraane Khat MeN Meri Ek Nishaani Aur Bhi Hai
Inn Aankhon Mein Abhi Paani  Aur Bhi Hai

Woh Khat Jinhe Likhte Waqt Main Kho Gaya Tha
Chehra Apne Aansuon Se Dho Gaya Tha

Mujhe Yakeen Hai Woh Khat Tumne Sambhaale Honge
Meri yaad Aane Par Ek-Ek Kar Nikaale Honge

Mushkil Hai Ab Unn Yaadon Ko Mita Paana
Itne Kareeb Rehkar Phir Door Jaana

Haan Yeh baat Sach Hai Mohabbat Kabhi Kam Nahi Hoti
Par Ab pehle jaise Meri AankheiN Nam Nahi Hoti
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: August 23, 2012, 02:32:43 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob Shireen ji...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  aur aapne bhi bahut khoob likha hai Khwaish ji....!!!
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: August 23, 2012, 04:13:02 PM »
Reply with quote
Aaj Tumhe Likha Purana Ek Khat Haath Aaya,
Yaadon Ka Ek Tufaan Woh Phir Apne Saath Laya..!!

Be-Bas Dil Ne Nikaali Phir Teri Tasveer Kitaab Se,
Chehra Tumhara Phir Wohi Kasak, Wohi Jazbaat Laya..!!

Alag Kuch Bhi Nahi, Intezar Kal Tha Aur Aaj Bhi Hai,
Kyu Phir Baadal Apne Saath Aansuon Ki Barsaat Laya..!!

Sach Hai Waqt Ke Saath Mohabbat Kabhi Kam Nahi Hoti,
Tumhe Paane Ka Jazba Aaj Bhi, Guzarta Har Lamhaat Laya..!!

Shireen Hakani


naaaaaaaaaaaice-SH
Logged
Sps
Guest
«Reply #9 on: August 23, 2012, 07:05:08 PM »
Reply with quote
wah wah Shireen ji ki umda nazm pe aapne kamaal ka saath dia hai khwaish ji, behad khoobsurat....lajawaab!
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #10 on: August 24, 2012, 06:10:25 AM »
Reply with quote
Shukriya Aap Sabhi Ka!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:19:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer