Tumse Khafa hai Hum ...!!!

by deepika_divya on January 08, 2010, 02:56:46 PM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 6743 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #30 on: January 14, 2010, 10:39:18 AM »
Reply with quote
Thank you so so so so Much Sweetheart :0

Kiske liye likha hai ... pata nahii..aise hi khayal aaya aur likh diya Usual Smile

Such-Such Kaha Do, Kis Ke Liye Dil Dharakta Hai,
Kis Se Khafa Ho Kar Yeh Qalaam Tumne Likha Hai....

Yunhi To Khayalon Me Mohabbat Nahi Hoti "Sophi",
Lagta hai Such Me Tumhe Kisi Se Ishq Ho Gaya Hai....!!!




**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #31 on: January 14, 2010, 11:02:15 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Vikas !

Mohabbat ? hai bhi ki nahi hai
Kese tumko Apne Dil ka Haal Batayein

Jiss ko Hum Chahte hai Bepanaah
Usko hum Kaise Yea baat samjaayein

Karte hai Woh tho dil.lagi sabse
Darte hai kahi unse door na hojayein

Unka Intzaar ab meri Majburi "Vikas"
Kahin aise mea hum hosh na kho jayein

Divya

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #32 on: January 14, 2010, 12:01:21 PM »
Reply with quote
Darr darr k mohabbat nahi hoti Divya-di
Haale-dil kardo bayaan unse,mat jhijko

Jaante nahi kitna pyarr karti ho tum unse
Eseeliye he woh dil.lagi karte hain sabse

Na hosh khoyega naa majboori he rahegi jab tu
Ijahaare-mohabbat kar degi khulke unse gar tu


Bahoot Khoob Vikas !

Mohabbat ? hai bhi ki nahi hai
Kese tumko Apne Dil ka Haal Batayein

Jiss ko Hum Chahte hai Bepanaah
Usko hum Kaise Yea baat samjaayein

Karte hai Woh tho dil.lagi sabse
Darte hai kahi unse door na hojayein

Unka Intzaar ab meri Majburi "Vikas"
Kahin aise mea hum hosh na kho jayein

Divya


Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #33 on: January 14, 2010, 12:04:32 PM »
Reply with quote
Darr darr k mohabbat nahi hoti Divya-di
Haale-dil kardo bayaan unse,mat jhijko

Jaante nahi kitna pyarr karti ho tum unse
Eseeliye he woh dil.lagi karte hain sabse

Na hosh khoyega naa majboori he rahegi jab tu
Ijahaare-mohabbat kar degi khulke unse gar tu



Hahahahaahaa.. I cant stop laughing...

but too Good koyal. u made me laugh ...

Woh hamko bata satate hai
Par aate par milne nahi aate hai

Kaise kaise pal guzaar rahe hai
Woh jante hue hame Rulate hai

Kehte hai chahte hai tumko "Divya"
Par Hamse hi woh Nazre chupate hai

Divya
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #34 on: January 14, 2010, 01:43:33 PM »
Reply with quote
Thanks DIVYA-di aapko hanssi tou aayee.......
mera likha safal.....

Ishq sakhi khel he hai aysa
Log ruthte hain manaate hain

Intzaar karvaate hain woh
Jaan kar sataate hain woh

Kashish unko bhi hoti hai humse milne kee
Par hamaare sabra ka imtihaan lete hain woh





Hahahahaahaa.. I cant stop laughing...

but too Good koyal. u made me laugh ...

Woh hamko bada satate hai
Aate hain par milne nahi aate hai

Kaise kaise pal guzaar jaate hai
Woh jante hue bhi hame Rulate hai

Kehte hai chahte hai tumko "Divya"
Par Hamse hi woh Nazre churate hain

Divya

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #35 on: January 14, 2010, 04:51:43 PM »
Reply with quote
Thanx Divya... Usual Smile Usual Smile


Divya & Koyal aapne Bahut hi Lajawab Likha hai.. Bahut khoooob.. Applause Applause



**~** Mann **~**

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #36 on: January 14, 2010, 06:17:46 PM »
Reply with quote
Badi hi sadgi se ruthe ho aap sophi ji bahut khoob alfaaz likhe hai apne.. Applause Applause Applause Applause Applause

koyal n mann ji aapne bhi bahut acha likha hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #37 on: January 14, 2010, 06:27:48 PM »
Reply with quote
Ruthne manane k iss khel mein main bhi kuch likhna chahti hu...

Arz hai...

Tu ruhte agar mujhse tou main apne pyar se tujhe manau,
tu udaas ho tou main apni muskaan tujhpe lutau,
terri nigaho se main har roz jiti hu hazaro pal..
bus terre hi ehsas mein jina hai mujhe apna aane wala kal......
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #38 on: January 15, 2010, 11:26:54 AM »
Reply with quote
Thanks Maan bhai....

Thanx Divya... Usual Smile Usual Smile


Divya & Koyal aapne Bahut hi Lajawab Likha hai.. Bahut khoooob.. Applause Applause



**~** Mann **~**


Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #39 on: January 15, 2010, 11:30:45 AM »
Reply with quote
Dhanyawaad Geet-di....
Badi hi sadgi se ruthe ho aap sophi ji bahut khoob alfaaz likhe hai apne.. Applause Applause Applause Applause Applause

koyal n mann ji aapne bhi bahut acha likha hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #40 on: January 15, 2010, 11:39:35 AM »
Reply with quote
WAH kya baat hai...Geet-di bahoot achha likha hai aapne.... Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Ruthne manane k iss khel mein main bhi kuch likhna chahti hu...

Arz hai...

Tu ruhte agar mujhse tou main apne pyar se tujhe manau,
tu udaas ho tou main apni muskaan tujhpe lutau,
terri nigaho se main har roz jiti hu hazaro pal..
bus terre hi ehsas mein jina hai mujhe apna aane wala kal......

Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #41 on: January 15, 2010, 12:27:46 PM »
Reply with quote
wah!!Yahan to khoob ruthne manane ka mausam chala hai..... hamein bhi apni ek poem yaad aa gayi jo humne apne mehboob ko manane ke liye likhi thi....

Thodey se khafa thodey se chup chup Mehboob ko manati “GESU”
 Aap sab dua kijiye ke woh maan jaaye!!!!!

Aankhon se aansoon nikale to sakoon-e-dil mill gaya,
Aapki tamannao ka khoon karne ka sila jaise hamein mill gaya,
Is dil ne bhi in ghabrayi hui dhadkano se gila kar diya ,
Haya-e-aadatt se pareshaan ho gaye jo mehboob mere
Lijiye aaj iss aadatt se bhi hamne mooh pher liya,
Raaton ko jaag kar ho gayi hai jo bhaari palkein
Lo aaj unhe choomne ka wada bhi aapse kar liya,

Bikhrey huey Gesu jo bhaate hain dilbar ko mere
Zulfein na sawaarne ka iraada bhi hamne kar liya,
Khudd mein simatt ke jo reh jaate hain hum ae humdum
Simtenge ab aapki bahon mein lo aaj yeh zahir humne kar diya,
Dabey se lavz jo rukk jaate hain labon tak aake
Jazba-e-ehsaas bayaan karne ka faisla hamne kar liya,
Ae chand tu na aana aaj raat ko zalim,
Tu hamein dekha karta hai yeh kehkar bahut bahana humne kar liya,

Bahut ho gaya yeh chupna chupana,Yeh aapko satana
Lijiye iss bachpane ko alvida hamne kar diya,
Hui hai bahut gustakhiyan aapko tarsaane ki humse,
De dijiye kuch bhi saza aaj kuch bhi kar guzarne ka iraada humne kar liya,
Izaazatt hai aapko gale lagane ki hamein
Yeh jism-o-jaan hawale aapke humne kar diya,
Jannat-e-ehsaas, rooh-e-sakoon,aapka chain-o-karaar
Dekhiye aapke haathon ki lakeeron mein qaid humne kar diya…

Iltijaa hai Kaan pakadh kar Mere Huzoor
Maan jaayiye abb to mehboob mere
Dekhiye to zara aapki jaan ne
Ashqon ki barsaat se yeh rukh-e-roshan saara bhigo diya….

Gesu's Iltijaa!!!!!!!!!!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #42 on: January 15, 2010, 12:39:45 PM »
Reply with quote
Badi hi sadgi se ruthe ho aap sophi ji bahut khoob alfaaz likhe hai apne.. Applause Applause Applause Applause Applause

koyal n mann ji aapne bhi bahut acha likha hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Thank you so much Geet ...:)and nice addition by you too..
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #43 on: January 15, 2010, 12:40:49 PM »
Reply with quote
wah!!Yahan to khoob ruthne manane ka mausam chala hai..... hamein bhi apni ek poem yaad aa gayi jo humne apne mehboob ko manane ke liye likhi thi....

Thodey se khafa thodey se chup chup Mehboob ko manati “GESU”
 Aap sab dua kijiye ke woh maan jaaye!!!!!

Aankhon se aansoon nikale to sakoon-e-dil mill gaya,
Aapki tamannao ka khoon karne ka sila jaise hamein mill gaya,
Is dil ne bhi in ghabrayi hui dhadkano se gila kar diya ,
Haya-e-aadatt se pareshaan ho gaye jo mehboob mere
Lijiye aaj iss aadatt se bhi hamne mooh pher liya,
Raaton ko jaag kar ho gayi hai jo bhaari palkein
Lo aaj unhe choomne ka wada bhi aapse kar liya,

Bikhrey huey Gesu jo bhaate hain dilbar ko mere
Zulfein na sawaarne ka iraada bhi hamne kar liya,
Khudd mein simatt ke jo reh jaate hain hum ae humdum
Simtenge ab aapki bahon mein lo aaj yeh zahir humne kar diya,
Dabey se lavz jo rukk jaate hain labon tak aake
Jazba-e-ehsaas bayaan karne ka faisla hamne kar liya,
Ae chand tu na aana aaj raat ko zalim,
Tu hamein dekha karta hai yeh kehkar bahut bahana humne kar liya,

Bahut ho gaya yeh chupna chupana,Yeh aapko satana
Lijiye iss bachpane ko alvida hamne kar diya,
Hui hai bahut gustakhiyan aapko tarsaane ki humse,
De dijiye kuch bhi saza aaj kuch bhi kar guzarne ka iraada humne kar liya,
Izaazatt hai aapko gale lagane ki hamein
Yeh jism-o-jaan hawale aapke humne kar diya,
Jannat-e-ehsaas, rooh-e-sakoon,aapka chain-o-karaar
Dekhiye aapke haathon ki lakeeron mein qaid humne kar diya…

Iltijaa hai Kaan pakadh kar Mere Huzoor
Maan jaayiye abb to mehboob mere
Dekhiye to zara aapki jaan ne
Ashqon ki barsaat se yeh rukh-e-roshan saara bhigo diya….

Gesu's Iltijaa!!!!!!!!!!!

Thank you so so so much !

Waaah waah Waah Kya bahoot Bahoot umda likha hai ... Awesome creation..
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #44 on: January 15, 2010, 12:47:57 PM »
Reply with quote
Gesuji badi sunder rachna hai aapki....
Shabdo ka chayan aur upyog kabile tariff hai.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:20:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer