TUMSE MILKAR BHI MAIN .......................

by chiraaaaaaaaag on May 18, 2005, 07:03:42 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2432 times)
chiraaaaaaaaag
Guest
Reply with quote
UMRA KA YE UTAAR BAAKI HAI
          ZINDAGI BESHUMAAR BAAKI HAI

      AAYEE PATJHAD KAIE CHALE GAYE
          ABHI BHI KUCH BAHAR BAAKI HAI

      TUMSE MILKAR BHI MAIN HOON KHUSH NAHIN
          KISI   KA   INTZAAR   BAAKI   HAI

      AAJ PHIR AANKH SE GIRE AANSOO
          DIL MAIN KOI DARAAR BAAKI HAI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumse milkar by majid in Shairi - E - Zindagi
Tumse milkar hui hai...Geet... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tumse Milkar by K Gogia in Shayeri for Dard -e- Bewafai
tumse milkar (nam) by poonamA in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Tumse Milkar ...(Shihab) by Shihab in Shayri for Khumar -e- Ishq
sandhaya
Guest
«Reply #1 on: May 18, 2005, 09:17:26 AM »
Reply with quote
ktya baat hai Chiraag JI

bahut khoob likha hai aapne ......welcome to Yoindia

zindagi main jitni bhi paa lo Chirrag-e-rosahni
par phir bhi lagta kuch andhera abhi baaki hai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #2 on: May 18, 2005, 12:55:45 PM »
Reply with quote
hausla badane ke liye shukriya ................


Mere Ek Sawal Hai Iska Jawab De
Hosake Tou Mere Is Ilteja Ka Jawab De
Tou Karte Hai Nafrat Ya Ke Pyar Mujhe Se
Meri Sirf Is Therir Ka Jawab De
Mein Na Phir Tujhe Chedonga Kabhi
Phir Na Kabhi Khaonga Ke Mujh Ko Jawab De
Barbad Hojonga Teri Intezar Mein
Hosake Tou Meri Is Tehrir Ka Jawab De
Chala Jaonga Tere Shaher Se Phir Na Aonga
Is Liya Meri Jaan Phele Mujh Ko Jawab De
Hatjaonga Hamesha Tere Raaste Se
Agar Is Per Teri Khoshi Hai Tou Mujh Ko Jawab De
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #3 on: May 19, 2005, 04:25:56 AM »
Reply with quote
ur always welcome Chiraag ji

har sawal ka javab diya nahi jata chiraag
ki kuch sawalon ka javab khamoshi hoti hai
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #4 on: May 19, 2005, 06:30:31 AM »
Reply with quote
Quote from: "chiraaaaaaaaag"
UMRA KA YE UTAAR BAAKI HAI
          ZINDAGI BESHUMAAR BAAKI HAI

      AAYEE PATJHAD KAIE CHALE GAYE
          ABHI BHI KUCH BAHAR BAAKI HAI

      TUMSE MILKAR BHI MAIN HOON KHUSH NAHIN
          KISI   KA   INTZAAR   BAAKI   HAI

      AAJ PHIR AANKH SE GIRE AANSOO
          DIL MAIN KOI DARAAR BAAKI HAI


ek adhure pyar ko kya naam doon main,
ek khali paimane se kya pyas bhujaun main
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #5 on: May 19, 2005, 07:44:02 AM »
Reply with quote
'
ashiqui sab.r talak aur tummana.e bezaar

lahoo kya rang kahoon khoon.e jigar hone tak

'                     ''ghalib saheb''
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #6 on: May 20, 2005, 07:30:49 AM »
Reply with quote
ab unki qabr pe jalata nahin chirag koi
ki jin ki dahar mein roshan bahut haveli thi
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #7 on: May 20, 2005, 07:42:35 AM »
Reply with quote
unhe yaad karte hai sab jise bhul gaye the kabhi
humkise yaad kare ki vo tuh abh tak base hai dil main
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #8 on: May 20, 2005, 07:55:57 AM »
Reply with quote
bhoolna yaad karna to mitne ke pehle ki baad  hai sandhya ji ...........

tere gunaah aur gunahgaar hi sahi
tere karam ki aas lagaye huye to hain

ye tujh ko ikhtiyar hai tasiir de na de
dua mein haath hum aaj uthaye huye to hain

mitate huon ko dekh ke kyon ro na dein 'chiraag'
aaKhir kisii ke ham bhii mitaaye huye to hain
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #9 on: May 20, 2005, 08:02:00 AM »
Reply with quote
ji nahi Chiraag ji ye safar tuh insaan ke gatam hone ke baad bhi jari rehta hai

Nazar juka ke vo ehsaah hume karate hai
ki jaise hum unke kabil hinahi hai ve ye jatate hai
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #10 on: May 20, 2005, 08:08:15 AM »
Reply with quote
ho sakta hai k aap hi sahi keh rahe ho humne to khoob galat kha hai umr bhar

barbad tamanna pe ataab aur zyada
haan meri mohabbat ka javaab aur zyada
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #11 on: May 20, 2005, 08:15:46 AM »
Reply with quote
ji nahi aap tuh itna acha aur sacha likhe ho tuh humesa galat hone ka sawal hi nahi uthta aur koi bhi humesa tuh sahi nahi hota na not even me.....

humare ijhaar ka javab kya hoga
kar tuh liya hai humne pyar abh kya hoga
kya milega hume bhi  mahobat-e-chiraaag
verna haal humaara na jane kya hoga
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #12 on: May 20, 2005, 08:26:26 AM »
Reply with quote
kamal-e-isq hai divana ho gaya hun main
ye kis ke haath se daaman chudaa raha hun main

tumhin to ho jise kahati hai nakhuda duniya
bacha sako to bacha lo ki dubataa hun main

nakhuda = nav chalane wala

ye mere ishq ki mazburiyan ma'az-allaah
tumhara raz tumhin se chhupaa rahaa hun main


vaise tute hue makaan me ghar nahin basaya jata . . . . . . . . . . . . . . bas yahi ek baar keh raha hoon main
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #13 on: May 20, 2005, 08:34:38 AM »
Reply with quote
makan nahi mujhko ek ghar chahiye
jismo dekhke bhul jaun main zamana
mujhko aisa meherban chahiye
mere dil ki ho vo dhadkan, mera karar chahiye
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #14 on: May 20, 2005, 08:45:56 AM »
Reply with quote
kuch nahi hai mere paas is kuccha e jahan mein ....

kuch nahi hai mere paas is kuccha e jahan mein ....


mujhe pysee zameen tak rahiin hain

main badal to hoon magar barsaaa hua ......
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:32:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer