tumse milne se pehla

by anjani_si on February 03, 2006, 08:22:55 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4235 times)
anjani_si
Guest
Reply with quote
tujhe chahne se pehla
tujhe pana se pehla
tujhe dekhne se pehla
raatoin ke neend haram karne se pehla
hamari zindagi adhori thi tumse milne se pehla!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumse milne ka dil mein by husain52 in Shayri-E-Dard
tumse milne ki tamanna hai by majid in Shayri for Dard -e- Judai
tumse milne ke baad;;;;; by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tumse milne k baad.. by Dilkash in Shayri for Dard -e- Judai
TUMSE MILNE KI by saahill in Ghazals « 1 2  All »
Soheb_Khan
Guest
«Reply #1 on: February 03, 2006, 08:32:24 PM »
Reply with quote
nice...

raat is qadar haseen nahi thi tumse milne se pehle
ye bahaaar kidhar thi tumse milne se pehle
tumse milke jaane maine kya kya jaana
zindagi itni khoobsurat nahi thi tumse milne se pehle
Logged
mehek
Guest
«Reply #2 on: February 03, 2006, 10:23:55 PM »
Reply with quote
very nice anjani and shoeb...

yeh dil is qadar dhadakta na tha tere milne se pehle..
kisike ke deedaar ko tarasta na tha tere milne se pehle...
teri chaahat se mili hai shayad zindagi hai isko..
kisike ehsas par aise sawarta na tha tere milne se pehle..
Logged
raju1
Guest
«Reply #3 on: February 03, 2006, 10:25:41 PM »
Reply with quote
Ek nazar mein bhi pyaar hota hai, maine suna hai Do baaton mein bhi ikraar hota hai, maine suna hai Sama rangeen sa hone lagta hai Jahaan haseen sa lagne lagta hai Koyi dil pe chhaa jaaye to aisa hota hai, maine suna hai Ek nazar mein bhi pyaar hota hai, maine suna hai Do baaton mein bhi ikraar hota hai, maine suna hai Chamakte hain chehre, chamakti hai duniya Behekti hai saansein mere liye Nazar se nazar jo mila loon agar to Phirakti hai dhadkan bhi mere liye Nasha kuch nigahon mein bhi aisa hota hai, maine suna hai Ek nazar mein bhi pyaar hota hai, maine suna hai Do baaton mein bhi ikraar hota hai, maine suna hai Hawa pe jahan dekhne ko chale hain Bani badalon se hai apni zameen Jo udne lage aasmaan tak hai jaana Na khushiyon mein apni hai koyi kami

BeNam
Guest
«Reply #4 on: February 04, 2006, 01:28:48 AM »
Reply with quote
bahot achhe Anjani si, Soheb and mehek!

Yun na akele main gungunate the tere milne se pehle,
Hum humise batain na karate the tere milne se pehle,
Yun deewano si halat na thi tere milne se pehle,
Aisi tadap na thi dil main tere milne se pehle!

BENAM
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: February 04, 2006, 11:12:46 AM »
Reply with quote
veri nice all of u guyz...............

Janaza nikla tha mera meri baraat se pehle.....
Gum nahi tha is kadar mujhe marne ka tere milne se pehle....
Shayad likha tha yahi meri kismat iss Jindagi se pehle.....
Kaash milta mujhe itna pyar mujhe Maut se pehle......
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #6 on: February 04, 2006, 02:59:37 PM »
Reply with quote
Quote from: "anjani_si"
tujhe chahne se pehla
tujhe pana se pehla
tujhe dekhne se pehla
raatoin ke neend haram karne se pehla
hamari zindagi adhori thi tumse milne se pehla!!!!!

tumhe dekha to jana chand me kyu dagg hai .....

tumhe socha to jana k mahubbat kyu pakk hai .....

tumhe chaha to jana k kitni hoti hai zindgi nashili.........

tumhe paya to jana k ashiq me hoti kya aalag batt hai......
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #7 on: February 05, 2006, 02:34:51 AM »
Reply with quote
soheb,mehek,benam,raju,badnaam,and tushar gr8 work all of u and THNK U!!!Rajuji welcome to yoindia!!!!!!

tumse mila tu jana
tujhe paya tu jana
tujhe dekha tu jana
tujhe suna tu jana
tujhe pyar kia tu jana
aur zindagi ko pehchana!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: February 06, 2006, 03:06:15 PM »
Reply with quote
Tujhse Milne ki tadap aaj iss Dil me lagi hai,
Poochta hoon doston se kya yeh hee Dillagi hai,
Ab toh Dinn me chain ki aur Raat me neend ki kami hai,
Jindagi bhi tujh binn aisi lagti hai mujhe,
Jaise Maine koi Kaaton ki Daali pakad lee hai,
Poochta hoon aap sabhi se kya yeh hee Dillagi hai.......  Puzzled !
Logged
roshni246
Guest
«Reply #9 on: February 06, 2006, 03:20:19 PM »
Reply with quote
gr8........all of u........

Muqaddar se lad sakun,
ye mere bas ki baat nahin.

main vho saksh hoon,
khuda bhi jiske saath nahin.

Mujshe fir dil lagane ki baat na karo,
Muhobbat mere bas ki baat nahi
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #10 on: August 19, 2006, 01:12:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
veri nice all of you guyz...............

Janaza nikla tha mera meri baraat se pehle.....
Gum nahi tha is kadar mujhe marne ka tere milne se pehle....
Shayad likha tha yahi meri kismat iss Jindagi se pehle.....
Kaash milta mujhe itna pyar mujhe Maut se pehle......

teri barat nikli thi mere janaze ke peeche
parh tum phir bhi na aye, mujhe apni khabbar thakh chorne ke liye

dekh tujhe dekhne ke liye maar ke bhi tarsi hoon
issi liye maine apna janaza rokh diya, tujhe mundip thakh chorne ke liye
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: August 19, 2006, 01:50:44 AM »
Reply with quote
Quote from: "anjani_si"
tujhe chahne se pehla
tujhe pana se pehla
tujhe dekhne se pehla
raatoin ke neend haram karne se pehla
hamari zindagi adhori thi tumse milne se pehla!!!!!

zindagi yun hi beet rahi thee tujhse milne se pehle
khawab kuch adhure se lagate they tujhse milne se pehle
mere lafaz pehle bhi dhala karte they nazmo mein ghazal mein
per woh sirf kuch lafaz hua karte they tujhse milne se pehle!!!!!!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #12 on: August 19, 2006, 02:59:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "Soheb_Khan"
nice...

raat is qadar haseen nahi thi tumse milne se pehle
ye bahaaar kidhar thi tumse milne se pehle
tumse milke jaane maine kya kya jaana
zindagi itni khoobsurat nahi thi tumse milne se pehle

itni achi shayari app likh lete hain...maloom na tha isse parne se pehle :D:D:D:D
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005

View Profile
«Reply #13 on: August 19, 2006, 06:43:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "anjani_si"
tujhe chahne se pehla
tujhe pana se pehla
tujhe dekhne se pehla
raatoin ke neend haram karne se pehla
hamari zindagi adhori thi tumse milne se pehla!!!!!

wah anjani ji its ecellent!!! Usual Smile
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005

View Profile
«Reply #14 on: August 19, 2006, 06:46:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "Soheb_Khan"
nice...

raat is qadar haseen nahi thi tumse milne se pehle
ye bahaaar kidhar thi tumse milne se pehle
tumse milke jaane maine kya kya jaana
zindagi itni khoobsurat nahi thi tumse milne se pehle

wah janaab jawaab nahi aapka bahut khoobsurat!!!!!!!! Usual Smile

ranju ji ,badnaam ji likhne ki zarooratt nahi aap log to hamesha hi sunder likhtey ho....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:42:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer