~Tumse Muhabbat Toh Nahin (Shikha)~

by Shikha12 on November 17, 2008, 12:18:04 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 7395 times)
Shikha12
Guest
«Reply #60 on: December 23, 2008, 01:19:28 PM »
Reply with quote



Mahiya ji kya khoobsurat kavita likhi hein aapne,vaakai dil baag-baag ho gaya.aapki rachnao men aksar quality apne charam pur dekhi jaa sakti hein,aur isliye aapko kum pudh paane ka kabhi afsoos nahi zaahir kar sakte. Jaanta hu,kavita agar kalaatmak bhee chaahiye hume to sabr rakhna hi padega! Main kabhi bhee aapse adhik ya bahut adhik likhne ke liye nahi kahunga pur haan jub likho to aisa...ki ek ek pankti boley...aur kavita ki sugandh si tarh failey.Bahut khoob likha hein Mahiya ji.kaabil-e-taareef!

Mahiya ji-yeh accha tanj thaa...khud pur hansi aa gayi mujhko bhee!
-itni modesty bhee theek nahi,itna khoobsurat likne ke baad to itraana chahiye mehfil mein,aapka haq hein!

Prateek Ji, Kisi ko hawa mein udnaa ho, toh aapse comment ki guzarish karni chahiye..  icon_geek
Waise tareef kuch jyaada hi ho gayi, lekin chalo, kabhi kabhi mili tareef kise achhi nahin lagti... Usual Smile
Bahut Bahut Shukriya Ji.. Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumse koi shikayat nahin hai... by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
mujhe tumse muhabbat hai.. by innocent.devil20 in Shayri for Khumar -e- Ishq
AISA NAHIN KE TUM SE MUHABBAT NAHIN MUJHE (Waquif Ansari) by waquif ansari in Ghazals
Muhabbat Pe Bas Nahin Hai!!!!!! by ehsaas chahat ka in Shayri for Dard -e- Judai
Tumse bichhadkar - shikha by Shikha sanghvi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #61 on: December 23, 2008, 01:23:09 PM »
Reply with quote
Waah Waah... bahut khoob Azeem.. Applause

Shukriya Shikha Ji,.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #62 on: December 23, 2008, 01:24:14 PM »
Reply with quote
Dosto!
Gahraaiyoun mein doob key darya-e-dard kee,
Paatee hai sukoon-e-jigar jo, shaayarah hai woh!
Haan, Mahiya to Mahiya hai, maahi-e-beytaab,
Lutf-e-sukhan ki maahir-e-fan shaayarah hai woh!

                            - abd bundeli


Abd Ji.. Hamaare shabdkosh mein toh itne shabd bhi nahin ki aapki tareef kar sakein...

Aap ka har ek comment kisi anmol heere sa keemti lagta hai..
Bahut hi khoobsurat likha hai aapne, yakeen nahin hota itna khoobsurat koi ham adna-jano ke liye bhi likh sakta hai..  drunken_smilie

Bahut bahut bahut bahut shukriya Abd Ji..
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #63 on: December 23, 2008, 02:48:24 PM »
Reply with quote
Abd Ji.. Hamaare shabdkosh mein toh itne shabd bhi nahin ki aapki tareef kar sakein...
Aap ka har ek comment kisi anmol heere sa keemti lagta hai..
Bahut hi khoobsurat likha hai aapne, yakeen nahin hota itna khoobsurat koi ham adna-jano ke liye bhi likh sakta hai..  drunken_smilie
Bahut bahut bahut bahut shukriya Abd Ji..
Mahiya ji!
Kash mein saamney hota, to deykhtaa, kitnaa
Bahr gahraa hai tasawwur kaa, us kee aankhoun mein,
Jis key dil mein hai rawaan dard-o-ishq kaa dariyaa,
Jo naheen qaid raheygaa, 'abd', salaakhoun mein!

            Shukraguzaar hoon!     
                              - abd bundeli
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #64 on: December 23, 2008, 02:51:43 PM »
Reply with quote
Good Reply Jasbir Ji..  Thumbs UP Clapping Smiley


Thanks Mahiya


Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #65 on: December 24, 2008, 04:27:25 PM »
Reply with quote
NIce One Abd Bhai,.
Logged
Deepati
Guest
«Reply #66 on: December 25, 2008, 02:42:27 AM »
Reply with quote
Please Bear With My Bad Habit Of Writing Long Poems..





Mahiya Ji...   Really Very Beautiful Nazam  Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #67 on: December 25, 2008, 04:46:04 AM »
Reply with quote
Please Bear With My Bad Habit Of Writing Long Poems..





I am Speechless..ek ek lafz iss Kavita ka kuch keh raha tha..
Mahiya, This is one of the best poems i have read in khumar-e-ishq..par maafi is baat ke liye chahunga ki bahut der baad iss kavita par nazar gayi..

Bahut Bahut Bahut Khoob Mahiya.. Applause Applause Applause Applause  Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #68 on: December 25, 2008, 04:56:53 AM »
Reply with quote
Ek Nazm Share Karna Chuhnga aap sab se,

Teri khushi se agar Gham mein bhi Khushi na hui
Woh Zindagi to Mohabbat ki Zindagi Na hui

Saba yeh unse hamara payaam keh dena
Gaye ho jabse,yahan subeh-shaam hi na hui...

Khyaal-e-yaar Salamat Tujhe Khuda Rakhe
Tere Baighair kisi Ghar mein Roshni Na Hui...
    -Jigar muaradabadi-
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #69 on: December 25, 2008, 05:24:39 AM »
Reply with quote
NIce One Abd Bhai,.
Thanks for your kind comments, Jaanasheen ji!
                          - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #70 on: December 25, 2008, 05:38:21 AM »
Reply with quote
Ek Nazm Share Karna Chuhnga aap sab se,

Teri khushi se agar Gham mein bhi Khushi na hui
Woh Zindagi to Mohabbat ki Zindagi Na hui

Saba yeh unse hamara payaam keh dena
Gaye ho jabse,yahan subeh-shaam hi na hui...

Khyaal-e-yaar Salamat Tujhe Khuda Rakhe
Tere Baighair kisi Ghar mein Roshni Na Hui...
    -Jigar muaradabadi-

khwaish ji!
Un kee khushee mein, meyraa gam bhi muskuraa uthhaa!
Aankhoun mein chamak deykh, huyee dil mein roshnee!!
Woh khush raheyn, to, gam mujhey sataayegaa naheen;
Taahashra, kaash, yaar kee khushee rahey banee!
                              - abd bundeli

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #71 on: December 25, 2008, 02:14:10 PM »
Reply with quote

SHUKRIYA AZEEM & VERY NICE REPLY,

WELLDONE MAHIYA JI, LIKE ALWAYS THIS
THREAD IS ALSO SUPERB!!!!

KEEP GOING DEAR...

SHALLY

TUMSE MOHABBAT TO NAHI HAAN MAGAR KHAWAABO
KI GALI HOTI HAI ROSHAN TUJHSE HI...

TUMSE MOHABBAT TO NAHI HAAN MAGAR DHADKANO
ME KHANAK HOTI HAI TERE EHSASO KI HI...

TUMSE MOHABBAT TO NAHI HAAN MAGAR PAAYAL
CHANAK JAATI HAI SUNKE TERI AAHAT HI...

TUMSE MOHABBAT TO NAHI HAAN MAGAR AANKHON
ME ANJAANI SI NAMMI HAI TERI HI...

TUMSE MOHABBAT TO NAHI HAAN MAGAR TUJHE SOCHTE
SOCHTE HO JAATI HAI MOHABBAT KHUD SE HI...

"TUMSE MOHABBAT NA DENE KA GILA TO NAHI,
KISMAT ME NAHI THA JO WO HAME MILA NAHI"



Bahut Khoob shally..bahut acha likha hai aapne..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #72 on: December 25, 2008, 02:18:02 PM »
Reply with quote
sab ne yahan bahut khoob likha hai,
Azeem Bro, bekararji, muskaan,jasbirji.. Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #73 on: December 25, 2008, 02:18:46 PM »
Reply with quote
Ek Nazm Share Karna Chuhnga aap sab se,

Teri khushi se agar Gham mein bhi Khushi na hui
Woh Zindagi to Mohabbat ki Zindagi Na hui

Saba yeh unse hamara payaam keh dena
Gaye ho jabse,yahan subeh-shaam hi na hui...

Khyaal-e-yaar Salamat Tujhe Khuda Rakhe
Tere Baighair kisi Ghar mein Roshni Na Hui...
    -Jigar muaradabadi-


a very good sharing khwaish ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #74 on: December 25, 2008, 02:20:13 PM »
Reply with quote
Dosto!
Gahraaiyoun mein doob key darya-e-dard kee,
Paatee hai sukoon-e-jigar jo, shaayarah hai woh!
Haan, Mahiya to Mahiya hai, maahi-e-beytaab,
Lutf-e-sukhan ki maahir-e-fan shaayarah hai woh!

                            - abd bundeli





Kya baat hai abdji!! bahut khoob...
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:15:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer