Udaas Aankhon Se Aansuu Nahin Nikalte Hain

by waheed_rose2004 on December 02, 2004, 04:02:09 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3312 times)
waheed_rose2004
Guest
Reply with quote
Udaas Aankhon Se Aansuu Nahin Nikalte Hain
Ye Motiyon Ki Tarah Siipiyon Mein Palte Hain

Ghane Dhuen Mein Farishte Bhii Aankh Malte Hain
Tamaam Raat Khajuuron Ke Ped Jalte Hain

Main Shaah Raah Nahii.N, Raaste Kaa Patthar Hoon
Yahaan Savaar Bhi Paidal Utar Kar Chalte Hain

Unhen Kabhi Na Bataana Main Unki Aankhen Hoon
Who  Log Phool Samajhakar Mujhe Masalte Hain

Ye Ek Ped Hai, Aa Is Se Milakar Ro Len Ham
Yahaan Se Tere Mere Raaste Badalte Hain

Kai Sitaaron Ko Main Jaantaa Hoon Bachapan Se
Kahin Bhi Jaaon Mere Saath Saath Chalte Hain     (Bashir Badr)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*iN aankhoN meiN ab kisi k liye aashnaii nahiN haiN* by Paigam_A_Ishq in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ye Dil Mein Rehne Wale Dil Se Nahin Nikalte by Pushkar_singh in Shayri-E-Dard
^Aankhon se nikalte hain mere aansu^ by honeyrose in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Kahin jaane ko nikalte hain... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
AankhoN MeN Aansuu ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: December 02, 2004, 04:28:23 PM »
Reply with quote
wah!! bahoot khoob waheed_rose!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: December 02, 2004, 04:32:04 PM »
Reply with quote
Thanx Pooja...................
Logged
lovebites
Guest
«Reply #3 on: December 02, 2004, 06:47:11 PM »
Reply with quote
bohat khoob Waheed very good.........!


Us ney kaha mujh sey kitna pyAar hai...
Main ney kaha sitaron ka koi shumar nahin

Us ney kaha k kon tumhin hai bohat aziz ?
MAin ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai

Us ney kaha Kon sa Tofah tumhin main doon
MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai

Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz...
Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai......

Us ney kaha senkron gham zindagi main hain
Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai

Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gi...Huh?
Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai......

Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah
Main ney kaha, naam mera aetbaar hai....!!!
Logged
bazish
Guest
«Reply #4 on: December 02, 2004, 07:51:24 PM »
Reply with quote
Vo har maqaam se pahale vo har maqaam ke baad
Sahar thii shaam se pahale sahar hai shaam ke baad

Har inqalaab-e-mubaarak har inqalaab-e-azaab
Shikast-e-jaam se pahale shikast-e-jaam ke baad

Mujh pe itanii tavajjo mujh se itanaa gurez
Mere salaam se pahale mere salaam ke baad

Charaag-e-bazm-e-sitam hain hamaaraa haal na puuchh
Jale the shaam se pahale bujhe hain shaam ke baad

Ye raat kuchh bhii nahii.n thii ye raat sab kuchh hai
Tuluu-e-jaam se pahale tuluu-e-jaam ke baad

Vahii zubaan vahii baaten magar hai kitanaa farq
Tumhaare naam se pahale tumhaare naam ke baad

Hayaat giriyaa-e-shabanam hayaat raqs-e-sharar
Tere payaam se pahale tere payaam ke baad

Ye tarz-e-fiqr ye rang-e-suKhan kahaan 'Qabil'
Tere kalaam se pahale tere kalaam ke baad
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: December 03, 2004, 07:27:01 AM »
Reply with quote
very nice lovebites...............bazish.............bahot khoob.....
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #6 on: December 03, 2004, 07:56:41 AM »
Reply with quote
nice luvbite ji , bazish ji n waheed Usual Smile

=================

 Main nahi khud ke liye...hoon main zamane ke liye
Khud ko zakhm de dekar auron ko hassane ke liye

hamne kya kya na kiya tere chale jaane ke baad..
tujhe hi yaad kiya tujhko bhulaane ke liye

ye khiza..ye andhere..ye veerana sa safar
hum to nikle the.. kahi aur hi jaane ke liye

aaina dekh ke hairaan sa ho jaata hoon..
khud ko hi bhool gaya aapko paane ke liye

yoon rakeebon se has has ke kyon milte ho sanam
teri berukhi hi bahut thi..dil ko jalaane ke liye

ye jo chalakta hai aankhon se isse paani na kaho
yeh to moti hain mere pyaar ko sajaane ke liye
n/m
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: December 03, 2004, 10:00:40 AM »
Reply with quote
wah!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!salma.....very nice..............

Ye Kaisi Mohabbat Kahaa Ke Fasaane
Ye Pine Pilaane Ke Sab Hai Bahaane
Vo Daaman Ho Unka Ke Sun_Saan Seharaa
Bus Ham Ko To Aakhir Hai Aansuu Bahaane..............
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #8 on: December 03, 2004, 10:49:16 AM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
wah!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!salma.....very nice..............

Ye Kaisi Mohabbat Kahaa Ke Fasaane
Ye Pine Pilaane Ke Sab Hai Bahaane
Vo Daaman Ho Unka Ke Sun_Saan Seharaa
Bus Ham Ko To Aakhir Hai Aansuu Bahaane..............


Wahhh waheed, Nice Shayaris...

Jo Bandishein thi Zamaane tood aaye hu...Mein tere Waaste dunya ko Chood aaye hu.....Aaya tere dar Par Deewani...
[/i]
Logged
husain52
Guest
«Reply #9 on: December 03, 2004, 12:33:25 PM »
Reply with quote
good work all

Zaraa si pane ki chaahat mein, bahut kuch chhut jaataa hai,
naa jaane sabra ka dhaagaa kahaan par toot jaataa hai.
Kise humraah kahte ho, yahaan tou apnaa saaya bhi,
kahiin par saath rahetaa hai, kahiin par chhut jaataa hai.

Ganimat hai aap logo ko lootaa hai loteroon ne
hume aksar apnaa hi ishq loot jaataa hai.
Ajeeb sey hai ye rishte bhi bahut mazboot lagte hain,
zara si bhool se lekin, bharosaa toot jaataa hai.
Logged
lovebites
Guest
«Reply #10 on: December 03, 2004, 01:20:03 PM »
Reply with quote
Shukriya Salma and Waheed......................!


rishtaa ye kaisaa hai naataa ye kaisaa hai
pahachaan jis se nahin thii kabhii
apanaa banaa hai vahii ajanabii
rishtaa ye kaisaa hai naataa ye kaisaa hai

tumhen dekhate hii rahuun main
mere saamane yuun hii baiThe raho tum
karuun dil kii baaten main Khaamoshiyon se
aur apane labon se na kuchh bhii kaho tum

ye rishtaa hai kaisaa ye naataa hai kaisaa
tere tan kii Khushbuu bhii lagatii hai apanii
ye kaisii lagan hai ye kaisaa milan hai
tere dil kii dhaDakan bhii lagatii hai apanii

tumhen paake mahasuus hotaa hai aise
ke jaise kabhii ham judaa hii nahin the
ye maanaa ke jismon ke ghar to naye hai.n
magar hai puraane ye bandhan dilon ke
Logged
Mansi_d_archi
Guest
«Reply #11 on: December 03, 2004, 09:11:09 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Udaas Aankhon Se Aansuu Nahin Nikalte Hain
Ye Motiyon Ki Tarah Siipiyon Mein Palte Hain

Ghane Dhuen Mein Farishte Bhii Aankh Malte Hain
Tamaam Raat Khajuuron Ke Ped Jalte Hain

Main Shaah Raah Nahii.N, Raaste Kaa Patthar Hoon
Yahaan Savaar Bhi Paidal Utar Kar Chalte Hain

Unhen Kabhi Na Bataana Main Unki Aankhen Hoon
Who  Log Phool Samajhakar Mujhe Masalte Hain

Ye Ek Ped Hai, Aa Is Se Milakar Ro Len Ham
Yahaan Se Tere Mere Raaste Badalte Hain

Kai Sitaaron Ko Main Jaantaa Hoon Bachapan Se
Kahin Bhi Jaaon Mere Saath Saath Chalte Hain     (Bashir Badr)


WOWWWWW LOVELY!!
Usual Smile
Logged
akela
Guest
«Reply #12 on: December 03, 2004, 09:20:32 PM »
Reply with quote
bahoot khoob likha hai aap sabne
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: December 04, 2004, 06:14:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "lovebites"
Shukriya Salma and Waheed......................!


rishtaa ye kaisaa hai naataa ye kaisaa hai
pahachaan jis se nahin thii kabhii
apanaa banaa hai vahii ajanabii
rishtaa ye kaisaa hai naataa ye kaisaa hai

tumhen dekhate hii rahuun main
mere saamane yuun hii baiThe raho tum
karuun dil kii baaten main Khaamoshiyon se
aur apane labon se na kuchh bhii kaho tum

ye rishtaa hai kaisaa ye naataa hai kaisaa
tere tan kii Khushbuu bhii lagatii hai apanii
ye kaisii lagan hai ye kaisaa milan hai
tere dil kii dhaDakan bhii lagatii hai apanii

tumhen paake mahasuus hotaa hai aise
ke jaise kabhii ham judaa hii nahin the
ye maanaa ke jismon ke ghar to naye hai.n
magar hai puraane ye bandhan dilon ke



Thanx.............Mansi...........Akela........Mi ss Kismay.......Lovebites......Hussain Bhai................and too good workk Hussain Bhai..........Lovebites...............



kuch kahnay ko ishq ki tafseer bohot hai
parh laay meri ankhoon ki tahreer bohot hai
baithi rahi meray samnay wo main soochta raha
khamshaion ki apni bhee tahreer bohot hai.................................
Logged
husain52
Guest
«Reply #14 on: December 04, 2004, 12:36:52 PM »
Reply with quote
bahoot khoob lovebite and waheed bhai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:54:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer