ukta gaya hai dil.

by mudassirali on April 28, 2005, 04:10:43 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 789 times)
mudassirali
Guest
Reply with quote
zindigi key har bojh sey ukta gaya hai dil
 jeevan key pech o kham sey ukta gaya hai dil

khushiyan bohot hain door muhsey in ka main kya kahon
gham mein bhari har shaam sey ukta gaya hai dil

na subh ko koi naghma hai na shaam ko hai saaz
har been  ki berukhi sey ukta gaya hai dil

har phool kaat ta hai khushbo bhi deti hai dukh
har phool har kali sey ukta  gaya hai dil

palkein hain bhaari bhaari sota nahin hoon phir bhi
har naakaam khwab sey ukta gaya hai dil

maut tu mujhko dedey ae khuda aisa kar
ghabra gaya hai tooba ukta gaya hai dil.

mudassir (tooba)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
2004 , GUZAR GAYA ! KISI KA KIA GAYA , OR KISI KA KIA GAYA ? by SADIQA JAWED in Shairi - E - Zindagi
Kya Se Kya Ho Gaya by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
UKTA GAYI WOH AB HUMSE......!!!!!!!! by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
~~~Dey Gaya~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Jo...... Ho.... Gaya..... Wo.... Ho.... Gaya..... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
mudassirali
Guest
«Reply #1 on: May 04, 2005, 02:15:30 PM »
Reply with quote
hi!   lagta hai kisi ko yeh ghazal pasand nahin aayi, agar nahin bhi aayi to pls kami to bataiyeh
Logged
fauzia khan
Guest
«Reply #2 on: May 07, 2005, 06:57:30 AM »
Reply with quote
good work mudassir, nice ghazal, kafi dard bhari ghazal likhi hai kyon.                                                                           .
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #3 on: May 07, 2005, 07:19:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "mudassirali"
zindigi key har bojh sey ukta gaya hai dil
 jeevan key pech o kham sey ukta gaya hai dil

khushiyan bohot hain door muhsey in ka main kya kahon
gham mein bhari har shaam sey ukta gaya hai dil

na subh ko koi naghma hai na shaam ko hai saaz
har been  ki berukhi sey ukta gaya hai dil

har phool kaat ta hai khushbo bhi deti hai dukh
har phool har kali sey ukta  gaya hai dil

palkein hain bhaari bhaari sota nahin hoon phir bhi
har naakaam khwab sey ukta gaya hai dil

maut tu mujhko dedey ae khuda aisa kar
ghabra gaya hai tooba ukta gaya hai dil.

mudassir (tooba)


taali do haathon se bajti hai, sukh aur dukh dono ek saath chalte hain,
fark itna hai, dono mein se kisi ek ki raftaar kabhi kabhi tez ho jati hai

Aisa nahin hai ki aap ka likha kisi ko pasand nahin hai, isliye koi reply nahin de raha...baat yeh hai ki aajkal sabhi shayar funny section aur chitchat mein jada jaate hain...aur kisi ko doosra section dekhne ka time nahin hai...woh apna hunar galat jagah par istemaal karte hain...main apni bhi baat kar raha hoon, isliye abhi funny section mein jana kam kiya hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: May 07, 2005, 07:21:35 AM »
Reply with quote
Quote from: "mudassirali"
zindigi key har bojh sey ukta gaya hai dil
 jeevan key pech o kham sey ukta gaya hai dil

khushiyan bohot hain door muhsey in ka main kya kahon
gham mein bhari har shaam sey ukta gaya hai dil

na subh ko koi naghma hai na shaam ko hai saaz
har been  ki berukhi sey ukta gaya hai dil

har phool kaat ta hai khushbo bhi deti hai dukh
har phool har kali sey ukta  gaya hai dil

palkein hain bhaari bhaari sota nahin hoon phir bhi
har naakaam khwab sey ukta gaya hai dil

maut tu mujhko dedey ae khuda aisa kar
ghabra gaya hai tooba ukta gaya hai dil.

mudassir (tooba)



bahot  khoob mudassar  bhai..........superbssssssssssssss,,,,,,,,,,,,,,lekin  aap bahot kam  aate  ho  aisa  kyon  Huh?
Logged
bond
Guest
«Reply #5 on: May 07, 2005, 09:34:15 AM »
Reply with quote
bahut achhe mudasaar bhai............................................. ..
Logged
mudassirali
Guest
«Reply #6 on: May 08, 2005, 06:36:21 AM »
Reply with quote
aap sub ka shukriya , lekin main chahta hoon ki aap tareef karney key saath saath merey ashaar mein jo bhi ghalti ho aap bataein takey mein aur achcha likh sakoon.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: May 08, 2005, 09:35:38 AM »
Reply with quote
ur  alwayas.......welcome  mudassar   bhai................
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:42:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer