Anjani Ji yaar bahut acha likha hai.... thanks... wonderful yaar...
koi arzoo ban phir to meri ankhon main samatey jaa...
ragon ki ravani ban tu meri dhadkano main samaatey jaa...
khadi hun tere intzar main sadiyon sey es kainat main..
mere jeene ki khathir hasraton ko ek aawaz lagaati jaa....
janti hun tu hai mujh bin adura tabhi mere roobroo hai...
hun talabgar jinki un lafzon ko bas ek bar sunatey jaa...
beete yun din judaai ke ki har din saalon sa mujhey laga...
sookhte in labon ki apne labon se tu pyaas ko mitaatey jaa...
es milan ke baad phir ek lamba intzar hi hai meri kismat...
kar sakun esey bhi paar armanon main vo aas jagaatey jaa..
tu naa jane ki hai mukkamal tere hi saye se mera jahan...
jana hai to es jahaan ko apne hathon se tu pyaar lutaatey jaa..
ley utha phir tere ane se, toota tha dil ye mera...
tujh bin kaise chalengi, saanson ko tu yea raaz bataatey jaa...
Tum Ne Keh Dia Kay Mohabbat Nahi Milli
Mujh Ko Tu Yeh Bhi Kehney Ki Muhalat Nahi Milli
Neendoo Kay Des Jaty Koi Khuwab Dekhtay
Lakin Ghar Main Diya Jalaney ki Fursat Nahi Milli
Tujh Ko Yu Khair Shehar Kay Logo Ka Khuf Tha
Aur Mujh Ko Tu Apnay Ghar Se Ijazat Nahi Milli
Phir Ikhtilaf-E- Raye Ki Surat Nikal Padi
Apni Yahan Kisi Se Bhi Adat Nahi Milli
Befar Yun Huay Kay Tere Ahad Main Hamien
Sab Kuch Milla Sakun Ki Dulat Nahi Milli
pasoon se haar khushi nahi milli
judai hoke tujhse woh hassi nahi milli
pyar tujhse karke kisi aur se woh mohabbat nahi milli
doorh rehke tujhse ankhoin mein neend nahi milli
ishq mein mujhe tum tujhe maine na milli
aakhe paas tere ghalee na milli
chookhar tujhe abbh woh ehsaas nahi milla
hoke doorh mujhe pyaas bhujhane ke liya pani ki ghoont bhi na milli :D:D:D