Uljhan

by Sonu on January 21, 2006, 04:06:57 AM
Pages: 1 ... 23 24 25 26 [27] 28
ReplyPrint
Author  (Read 23681 times)
Sonu
Guest
«Reply #390 on: January 02, 2007, 04:17:36 AM »
Reply with quote
Aag lehra ke chali hai use Aanchal kardo
Tum Mujhe Raat ka jalta hua Jangle kardo

Chaan sa Misr'aa akela hai Mere kagaz per
Chhat per ajao Mera Shair Mukammal kardo

Mai Tumhein Dil ki Siasat ka Hunar deti hoon
Ab ise Dhoop banado, Mujhe Badal kardo

Apne Aangan ki Udaasi se zara Baat karo
Neem k sukhey hoe Pair ko Sandal kardo

Tum Mujhe chorr ke jaoge to Marr jangey
Yun karo jane se pehley Mujhe Pagal kardo
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
? by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
ULJHAN..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
zingi ki uljhan by dalbir_ss_sandhu in Shayari -e- Husn
ULJHAN by pritam tripathi in Shayri-E-Dard
Uljhan..!! by Áɑѕӈίգ in Ghazals « 1 2  All »
Sonu
Guest
«Reply #391 on: January 04, 2007, 02:45:58 AM »
Reply with quote
shukriya Majid bahi....

Quote from: "majid"
bohat bohat shukariya behna aapne bhi achha likha hai lage raho....
Logged
Sonu
Guest
«Reply #392 on: January 05, 2007, 05:10:22 AM »
Reply with quote
bahut khoob Majid bhai....

Quote from: "majid"
har kisi ka muqadar pyaara nahi hota.
har mushafir zindagi ka sahaara nahi hota.
hote hai kuch hum jaise bhi jo sab ke ho jaate hain.
par kya kare badbaseeb hai hum fir bhi koi humaara nahi hota
Logged
Sonu
Guest
«Reply #393 on: January 05, 2007, 05:12:09 AM »
Reply with quote
Tere Qareeb Aake Bari Uljhanoun Mein Houn
Mein Dushmanoun Mein Houn Ke Tere Dostoun Mein Houn

Mujh Se Gurez-pa Hay Tou Har Raasta Badal
Mein Sang-e-Raah Houn Tou Sabhi Raastoun Mein Houn

Badla Na Merey Baad Bhi Mozo-e-Guftugu
Mein Ja Chuki Houn Phir Bhi Teri Mehfiloon Mein Houn

Mujh Se Bichar Ke Tu Bhi Tou Royega Omar Bhar
Ye Soach Le Ke Mein Bhi Teri Khawahishoon Mein Houn
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #394 on: January 05, 2007, 07:21:31 AM »
Reply with quote
wah wah bahut khooob SONU JI...
behad khubsoorat kalaam likha hai aapne... Usual Smile
Logged
ANKUR_CRAZY
Guest
«Reply #395 on: January 05, 2007, 06:26:23 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
saanson ki lay par dhadkanein jab tera naam leti hai
tanhaiyan thandi aahon se khanzar ka kaam leti hai

yeh kaisi beqarari hai jisko sukoon ki chah nahin
deewanon se mohabbat bhi kaise inteqaam leti hai

kaun pyasa reh sakta hai hasinaon ki mehfil mein?
aankhon ke maikhanon se jab aankhein jaam leti hai

un bejubaan lamhon mein jaise waqt thehar jata hai
jhuk kar uth_ti palkein jab dil ke paigaam leti hai



EK BAAR PHIR BAHUT ACCCHE MAJID JI
Logged
Sonu
Guest
«Reply #396 on: January 08, 2007, 05:20:35 AM »
Reply with quote
shukriya Majid bahi...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #397 on: January 08, 2007, 05:22:30 AM »
Reply with quote
aaina hoon mey mere saamney ahker dekho...
khud nazer ahogey jo ank mila ker dekho..
 mere gham mai meyri takdeer nazer ahti hai ..
dukh maaogey mera dard utha ker dekhu..
 youn to aasaan nazer ata hai manzil ka safer...
kitna mushqil hai meri raaha se jaaker dekho..
bazaam ka meri charagaan hai nazer ka dhoka hia ...
kin andheroon mai bhatakti hoon main ager dekho...
 dil tumahra hia main yeh jaan bhi dedoon tum pey...
bas mera saath zara dil sey nibha ker to dekho..
mout barahaq hai mager tum sey waada hai mera ...
laut aaungi tum ekbaar bula ker to dkeho...nm
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #398 on: January 08, 2007, 07:53:59 AM »
Reply with quote
karna moahbbat yaro shambhal ke
yeh to sukh dukh ka silsila hai
humne to us had tak ki hai mohabbat
ke har aanshu main chehra sanam ka mila hai
...

HumDum
Logged
Sonu
Guest
«Reply #399 on: January 20, 2007, 07:00:19 AM »
Reply with quote
nice humdum ji... keep up the good work....

Quote from: "HUM_DUM"
karna moahbbat yaro shambhal ke
yeh to sukh dukh ka silsila hai
humne to us had tak ki hai mohabbat
ke har aanshu main chehra sanam ka mila hai
...

HumDum
Logged
Sonu
Guest
«Reply #400 on: January 20, 2007, 07:01:58 AM »
Reply with quote
Hijar ki Yaad Mai Sulgo to Bura lagta hai
Tum mere Pyar ko Tarso to Bura lagta hai

Ek Tamanna hai vaqat, Mujh per Mehrban raho Tum
Kisi aur ko dekho to Bura lagta hai

Meri Rooh tarasti hia Khushboo ki Teri
Tum kahin aur ja ker Mehko to Bura lagta hai

Aarzoo hai Mai Tumhein her pal Paas hi dekhoon
Tum Mere paas se utho to Bura lagta hai

Mai utha sakti hoon jab Naaz Tumharey
Tum agar Naaz nahi kartey to Bura lagta hai
Logged
Sonu
Guest
«Reply #401 on: January 20, 2007, 11:20:08 PM »
Reply with quote
chavangey tuhanu per kadey tuhanu rusvaa na karangey
sarey to vi apni kadi shikvaa na karangey
puchnaage asi hawaao tu ghataaova to teyra hal..
per milan di kadey dua na krangeey...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #402 on: March 16, 2007, 03:25:33 AM »
Reply with quote
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
 

 
Kyun usey Tuu ne bas ek Phool kaha hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
 

 
Tu jise itni Haseen cheez samajhta hai wo Phool
Sookh jaaye to Nigaahon ko bura lagta hai
Phool ka apna koi rang koi Roop nahi
Uske Jore mai saja ho to Bhala lagta hai
Mera Mehboob to har Waqt Naya hai Mere Dost
 

 
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
 

 
Mere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi Jawaab
Dhoop sa rang hai aur khud hai wo Chha'aoon jesa
Uski Payal mai Barsaat ka Mausam Chhanke
Sar pe Resham ka Dupatta hai Ghata'aon jesa
Wo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere Dost
 

 
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
 

 
Mere Mehboob ki Aankhen hain Do Gehri Jheelien
Jin mai khilte hain Mere waaste Chahat ke Kanwal
Unko dekhoon to Mujhe Shayari karni aa jaaye
Aur mai uske lye Gaaon Mohabbat ki Ghazal
Wo Mere Dil ke Dharakne ki sada hai Mere Dost
 

 
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Logged
paani
Guest
«Reply #403 on: March 17, 2007, 05:26:53 AM »
Reply with quote
wah sonu ji wah
Logged
Sonu
Guest
«Reply #404 on: March 17, 2007, 06:00:16 AM »
Reply with quote
shukriya Pani ji...

Quote from: "paani"
wah sonu ji wah
Logged
Pages: 1 ... 23 24 25 26 [27] 28
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:09:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer