Unkee aankhoun mein khumaaree thee ajab-see, par kyoun?

by abdbundeli on July 25, 2008, 07:00:16 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2270 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Shadeed surmayee saaye they: yaad hai mujhko!
Woh, aaj khwaab mein aaye they: yaad hai mujhko!
Unkee aankhoun mein khumaaree thee ajab-see, par kyoun?
Naqaab, rukh sey uthaaye they: yaad hai mujhko!

Woh kahaan hai? mujhey maaloom naheen hai! fir bhi,
Mujhko lagtaa hai, woh qareeb hai, bagal mein hai!
Woh roshnee mein naheen aayegaa: pataa hai mujhey!
Shab ho taareek, to, ho saktaa hai, nazar aaye?
Aankh kaa noor yeh kaisaa hai, kyaa kahoon? ya Rab!
Jisko beytaab hoon rakhney ko mein nigaahoun mein:
Usee ko meyree nazar deykh naheen paatee hai?
Kyaa pataa yoon hi meyree zindagi guzar jaaye?

                                      -abd bundeli
 




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Un kee aankhoun mein dard thaa mouzoon! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Jeet hai unkee, haartaa huun mein! by abdbundeli in Ghazals « 1 2 3 4  All »
Shokh aankhoun mein kyaa hamney deykhaa wahaan? by abdbundeli in Ghazals
Unkee Aankhoun Mein, Do A’ainey Mil Gaye by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aayaa naheen hun ab bhi , 'abd', unkee nazar mein! by abdbundeli in Ghazals
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 25, 2008, 07:24:11 AM »
Reply with quote
Aankh kaa noor yeh kaisaa hai, kyaa kahoon? ya Rab!
Jisko beytaab hoon rakhney ko mein nigaahoun mein:
Usee ko meyree nazar deykh naheen paatee hai?
Kyaa pataa yoon hi meyree zindagi guzar jaaye?

abd Babu...Kya Khoob Likha Hai aapne...bahot din baad kisi ke kalaam ko waah waah waah kahene ka Maukaa Milaa Hai aaj Muje..!!!
Paheli baar saaf saaf aapke alfaaz...Janaab lagta hai sub log reply denge aapko...!!!!

ye Nazre bhi badi kamaal ki hai,,abd ji
Jalwa-e-Rukh-e-yaar ko Tarasti hai....
Aur Nazr-e-yaar Bhi Kamaal Ki Hai,,Raza
Bina Hizaab Ham ko Taqti rehti hai....

                             -- Raza

 
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: July 25, 2008, 12:28:30 PM »
Reply with quote
Muhammed sa'b,
Hizaab kiskaa hai? Kiskey liye hai? batlaayen!
US kee aankhoun key roo-b-roo koyi hizaab naheen!!
US kaa jalwaa hi kuchh aisaa hai, ki, bas, kyaa kahiye?
Noor ko US key bayaan kar dey jo: kitaab naheen!!

                                      -abd bundeli


Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: July 25, 2008, 01:06:21 PM »
Reply with quote
Waah... Bahut bahut khoob likha hai Abd ji... Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: July 25, 2008, 03:30:50 PM »
Reply with quote
Mahiya ji!
Kyaa kahoon? mujh ko azal sey talaash hai US kee:
Jis kee aankhoun key roo-b-roo ho, mujhey chain miley!
Silsilah katm-e-adam sey hai baraabar jaaree:
Guzar chukey hain dahar, jab sey naheen nain miley!!
US kee aankhoun sey naheen pee hai may zamaanoun sey;
Suroor kaa to mujhey khyaal tak naheen hai ab;
Khumaar, go ki, abhi bhi nazar mein hai baaqee;
Yoon to lagtaa hai baraabar, yaheen kaheen hai ab!!

                                        - abd bundeli



Logged
Muhammed
Guest
«Reply #5 on: July 26, 2008, 03:56:39 AM »
Reply with quote
Abd Babu..baat bilkool sahih

Hizaab To Is Nafs-e-Ammara k hai,,abd ji
Wo To Roo-b-roo-e-Har shaii Hai...
Ek baar Is Pard-e-Nafs Ko Hataa de,,Raza
Fir dekh Lutf-e-Mushaheda-o-Muraaqeba Kya Hai...

                         -- Raza
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #6 on: July 26, 2008, 04:20:10 AM »
Reply with quote
Abd saab.,

Kitaab-o-sahife Sahih
Moosa Se Puchhe Koi..
Toor Pe Taa'b Na La Sake
Jo Dekhi Ek Lamha Jalwagari...

Hazrat-e-Moosa To Kalim The
Usne(Rab ne) Shan-e-Kalimee Dekhaai...
Ye To Habib Hai Arab Ka Durr-e-Yatim
Me'araaj Me Shan-e-Mehboobi Dekhaai...

Faasle Mit Gaye..
Hizaabaat Uth gaye..
Mehboob-o-Muhibb Mil Gaye..
Usne shan-e-Habibi Dekhaaaaaai....!!!!!

                           -- Raza
Logged
punam
Guest
«Reply #7 on: July 26, 2008, 05:09:47 AM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai abdbundeli ji aur Muhammad ji...ek se badh ke ek...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: July 26, 2008, 05:27:08 AM »
Reply with quote
Muhammed sa'b,
Meiney eik baar pahley bhi, apnaa yah sheir aapkey mukhaatib kiyaa thaa, ab fir sey padhney ki tqleef gawaaraa kareyn:
'Ab to yahee beyhtar hai: fir jalwah dikhaaou tum!
 AAYE they jaisey pahley: fir TOOR pai aaou tum!!'
Hazrat Moosaa bahut puraaney naheen hain; unko jo 'jalwah' dikhaayee diyaa thaa saainsdaanoun ney usey lagbhag sahee tai paayaa hai! Baaqee kitaaboun mein to likhaa hi hai! Hazrat Moosa jaisey hi tamaam waaqiyaat 'Bhaartiya Upnishhdoun' mein bharey parhey hain, agar aapkaa mazhab aapko unhain padhney ki ijazat deytaa ho to, zaroor padh kar deykhiyegaa: angrezi samet tamaam jubaanoun mein, un mein sey kuchh key, tarjumein asaanee sey haasil ho jaayengey! Upnishhad 2000 saaloun sey bhi kaheen jiyaadah puraaney hain!
                    - abd bundeli
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #9 on: July 26, 2008, 06:42:25 AM »
Reply with quote
Bundeli saab..
aapka Ye Kat'aa Maine Padha Tha..Us Par Char Lines Commnet bhi kiya Tha,,Lekin Mere server Main Connectivity Loose Ho Gayi thi us waqt..
Aur Main Kabhi...Science Ki Daleelo'n Pe Ea'tabaar Nai Karta..Insha-allah kabhi waqt mila to..main aapko wo baat bataa oonga jo..science aaj keh rahi hai..Wo Islaam Ne Zammane Pahele Kahi thi...Science Hamaare Qur'aan Paak Se Barah-e-raast Theory V/S. Jaati hai..So E'abaat ke laayaq nahi.
Aur Muje Sanskrit aati hai..bade bade pandito (pahle zamane k) ki Kuch kitaabo ko padha hai maine..TAARIKH mera favourite subje. hai So aapne kahaa Jo baat Upnishdo Me Hai To...Wo Jaroor Hongi..
Ek Kitaab " Kalig-Avtaar " Mere Jehan se Guzari Is KItaab Main Hamaare aaqa Maula Huzur-e-Paak sal-lal-laahu alyhe wa-sallam Ki PESHIN GOI Ki Thi..Puraane Hawaalo Ke Saath..Uske Musnnif To Yaad Nahi Muje..par wo bhi 2000 sal Kabl purani baate thi usme...
Sant Tulsidaas ki Raam Charitra Maanas Aur dusri Chhoti kitaabo ko bhi Mutaa'ala Kiya Hai Maine..Bahot saare Proof Bhi Jama Kiya Hai maine...

"QUR'AAN-E-PAAK Kaafi Hai,,Mere Liye" Ye meri Imaani boli Hai..Maaf karna par

shukriya...............
                                     -- Raza
   
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: July 26, 2008, 08:40:17 AM »
Reply with quote
Muhammed sa'b,
Kyaa hi shaandaar baatetn kartey hain aap! Khushee huyee padh kar! Aap Sanskrit jaantey hain: jaan kar bahut achchhaa lagaa! Aap SCIENCE ki naheen maantey: mujhey koyee shikwaa naheen hai! Aap eik aisey mulk key shahree hain, jahaan aap ko jo bhi maannaa hai, yaa jo naheen maannaa hai: iskee pooree aazaadee hai!
Duniyaa SCIENCE ko maantee hai; aap na maaneyn kyaa farq parhtaa hai! Loud speaker bajaatey hain; railoun-basoun mien safar kartey hain; hawaayee jahaaz mein urhtey hain; bijlee ki roushnee mein 'padhtey' hain, 'padhaatey' hain; air-conditionaroun aur pankhoun ki thandee hawaaoun ka mazah leytey hain; radio suntey hain, taqreerein kartey hain: kitneen baateyn ginaaoon: fir bhi aap SCIENCE par bharoshaa naheen kartey? Aap ki marzee hai: aur aap apnee marzee key maalik hain! Mujhey koyee gilaa naheen hai! In baatoun ka zikra, jitnee majhabee kitaabeyn meiney padheen hain, kam-se-kam unmein to mujhey kaheen dikhaa naheen hai!
Ab Arbee jubaan (abjd ko chhorh kar) mein jaantaa naheen hoon: unmein zaroor in baatoun kaa zikra, do-chaar hazaar saal pahley, mujhey yaqeen hai zaroor huaa hogaa!
  (Bijlee chalee gayee hai: aagey fir kabhi pooree baaten kar loongaa!)
Ab deykhiye aap mein, aur ham mein, eik barhaa bhaaree farq yeh bhi hai, ki, aapney to, Sanrkrit kaa ilmkaar honey sey 'hamaaree' saaree ki saaree kitaabeyn  parh daaleen hain; par hamney arbi jubaan kaa abjdaa bhi barhee muishkil sey seekh paayaa hai, is sey ham to us muaamley mein maan leejiye saaf-saaf 'zeero' hi hain! Fir, hamaarey paas aap ki shaandaar taqreeroun ko sunney key alaawaa koyee raastaa hi kahaan bachaa hai! Isliye, inshaaillah, aap to apnnee baateyn sunaatey rahiye : samajhney ki koshish jaaree rakhoongaa!
                                                   -abd bundeli
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #11 on: July 26, 2008, 10:28:06 AM »
Reply with quote
Kyon Yaar "Shandaar" Keh K Chhota bana dete ho..Maana Ki aapse Chhota Hun..

aapne kon si arabi kitaab padhi hai..

Shahih Hadith Sitta Sareef / Reyajus-swalehin / Tafseer-e-Rooh-ul-bayaan / Tafseer-e-Khajin / Tafsir-e-Naeeme / Tafsir-e-Raazi / Fuaz-e-mubin / Musnad-e-Imaam Humbal / Jam-e-ul-ahaadis / Masareeq-ul-anwaar / Nasirmur Riyaz /As sheefa Shareef / Hast bahisht / Al- atayan nabwiyyah fil fatwaa-e-Razwiyyah /Resaal-e-qusariyaah / Kashf-ul-Mahzoob / Madarijun-Nabuwwat/ Guniyat talebin / Fathush shaam /.........Ye To Sirf...1/100 Va Hissa Hai Naamo Ka.....agar Kabhi waqt Mila To Mere Paas Islaami World Ki Library Ki List Hai Jisme More than 7o,ooo Kutub Ke Asma-e-Girami Note Kiye Hai.aur Ye List Bhi 1/100 va Hissa Hai................Janab..abd Ji.

Aur Science..........Ka Jawaab Fir Dunga..Wo Bhi Qu'raan-e-paak Ke Hawaale Se. abd Ji,,,Chhota Hun Lekin Kitabe badi badi Padhi Hai...!!!!!!   
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: July 26, 2008, 11:33:26 AM »
Reply with quote
Muhammed sa'b,
"Kyon Yaar "Shandaar" Keh K Chhota bana dete ho..Maana Ki aapse Chhota Hun..
aapne kon si arabi kitaab padhi hai.."
Ab, "shaandaar" ko shaandaar na kahoon to kyaa kahoon? Waisey bhi sachchaayee kab tak chhupee raheygee, pyaarey Muhammed sa'b!
Aur, meiney to yah kbhi kahaa hi naheen hai ki meiney eik bhi arbi ki kitaab kabhi padhee hai! Mein to arbi kaa mahaz 'abjdaa' hi jaantaa hoon! arbi to mujhey aatee hi naheen hai! Meiney wahee to likhaa thaa! Bhai ilmdaar aadmee ho, kaheen aap ko 'katm-e-adam' ki meyree kahee koyee baat to yaad naheen aa gayee hai? woh to aap hain, jis ney Sanskrit-Arbi ki tamaam kitaabeyn padh daaleen hain! Mein Arbi key eik adeeb key baarey mein hi thorhaa-bahut jaantaa hoon; aur woh hain 'Al Jurjaanee' yaa 'Al Jurjani'. 'J' ki jagah 'z' bhi ho saktaa hai! Angreizee mein apnee 'research' key douraan 'imagery' key silsiley mein, unkee eik kitaab kaa angreizee tarjumaa padhaa thaa! yaa, jaisaa ki meiney pahley bhi bataayaa thaa, Quraan Pak key tarjumein bhi padhey hain! Eik baar dobaaraa padhiye, to, sab saaf ho jaayegaa!
                                         -abd bundeli

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #13 on: July 26, 2008, 11:51:26 AM »
Reply with quote
Chaliye abd saab...waqt bhi kaafi ho chuka hai..Guftagu Bhi Kaafi Ho Chuki
Hai..Mera Job Time Bhi Khatam Hone Jaa Raha Hai..Bargaah-e-Rabb-e-oola Me Dua Hai..Ki Aapko aur Muj Haqeer Ko Ilmi Funooni Irfaani baato Ko Sikhne Sikha ne Ki Taufiq de...aamin va ma alayna elal balaag-ul-Mubeen
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: July 26, 2008, 12:56:29 PM »
Reply with quote
Muhammed sa'b,
Khaashey dilchasp insaan ho! Shukriyaa! Aur Khudaa haafiz! Fir baat-cheet hogee agar USEY manzoor huaa to!
                           - abd bundeli
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:09:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer