unki tasveer dekhi hai jabse hamne........

by ranjana on July 07, 2006, 04:20:16 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 16924 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: July 09, 2006, 10:34:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
behtarin ranjana ........koi dil ke armaano ko sabdo mai dhalna aapse seekhe.

raat ko sitaaro ki chanv tale
jab sard hawaye andhere ko mehkaati hai
mere dil ki kisi kone mai chipi
teri tasveer se,kuch yaadein chali aati hai...........

kho jaata hoon main un yaadon mai ,jinse dil ka mere rishta hai
aur phir dhoondli si tasveero mai,mujhe chehra tera chamakta hai....................

kal kal behte paani per tu matki bharne aati hai
per dekh peepal ke neeche mujhe halke se ghabraati hai

phir jaane kyun achanak tera dil joro se dhadakne lagta hai
aur sanwle husn pe tere ,tera aanchal sarakne lagta hai
aankhon mai ek nasha sa aata hai
aur man pyaar se bhar jaata hai............

matki bharte bharte kanakhiyo se tu mujhe dekhti hai
per tere ghabraaye se chehre per
na jaane kitne rang khil rahe hote hai
kabhi pyaar,kabhi haya,kabhi apni matki ka dhyaan
sab ek pal mai mil rahe hote hai

aur phir tu matki chodkar,saare rasme naate todkar
khanakte paylo ki dhun mai hole se mere pass aakar
kaano mai mere kuch kehti hai ,aur phir hasti hai

aur main dekhta reh jaata hoon
 tere chehre ki khusi ko ,tere hontho ki hasi ko
jo tere labo se suru hoker tere gaalo mai sama jaati hai
per mujhe hasta dekhkar achank se tu uthkar door bhaag jaati hai
aur waha jakar rutbe se apne anchal mai khud ko chipakar
haya mai dub jaati hai.........................

phir,mand mand behti hawaye tere chehre se takrakar
teri julpho ko lehrakar,saari sharmo haya hatakar
tere sine mai utar jaati hai...
Aur tu jaise us hawa ko samajh kar saaya mera
apne aanchal mai karke mehsoos mujhe
khud se hi sharma si jaati hai...................

teri sabnami aankhein jhapke bina
ek tuk mujhe ghurti rehti hai ,
aur isharo mai hi mujhse ye kehti hai
ki tu kaun hai ? koi ajnabi ya mere dil ki awaaz?
kyun teri sansoo ki sargam se mere dil mai baj rahe hai saaz?
kyun lagta hai tu mujhko mera saaya?kis dagar jaana hai tujhe
hai kis raah se tu aaya?......................

aur phir jaise khud hi apne sawalo ke jawab mai
apni chunar ko tu yu aasman mai uda deti hai
jaise chupke se apne dil ke saare raaz khol rahi ho
main tera hoon aur tu sirf meri hai saare jahan se ye bol rahi ho...............

Phir kanpte pairo se ,dhadakte dil ko leker
meri baahon mai aakar to so jaati hai,
saare jahan ko bhulane ke liye
mujhe apne dil mai samaane ke liye
jaise aaj tera intzaar ho gaya khatam
jo tune kiya tha is pal ko paane ke liye...............mere wajood per chaane ke liye

phir dheere dheere tera chamkata saaya
meri agosh mai gum ho jata hai
aur jahan kuch der pehle tu thi leti
waha sab dhoondla sa nazar aata hai
aur main........main bebasi mai ankhein kholta hoon ,kyunki dil ki ye majboori hai
tujhme rang bharne ki meri chahate adhuri hai .........
haan teri tasveer adhuri hai...............yaadon mai tasveer adhuri hai.

.....................@fahi@.......................

fahi aaj tumne mujhe dusari baar apne likhe hue shabado mein dubo diya............kaamal hai yeh............. amazing..............ek khawab ki tarah...................wonderful............. Usual Smile  =D>
Logged
ranjana
Guest
«Reply #16 on: July 09, 2006, 10:42:11 AM »
Reply with quote
Quote from: "Anushka"
Quote from: "ranjana"
Quote from: "Anushka"
ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh ....... yaad delati hai bas teri yea Tesveer haseen

bahut khoob anu jaan ............sachi baat kaash mere liye bhi koi likhta  :razz:  :wink: waise yeh maine tumhari pic dekh kar hi likha hai :wink:  :D

unki aankho mein woh shokhi hai aur woh shararat hai baato mein
dekh ke unki tasveer ko hame bas un per bepnhaa pyaar aata hai

kar lete har tamana har aarzu apni puri hum  ek baar apne dil ki
magar woh dur hai itne ki bas dil mera unki tasveer se hi sab baat kar aata hai

Ranju januuuuuuu IAM DUMBFOUNDED!!!!!!! KYA KAHUUUUUUUU   AM BLUSHING TOO!!

sshssssh kuch na kaho dear.....maine sun liya jo tumne kaha...... :oops:  :D shukriya........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #17 on: July 09, 2006, 10:57:22 AM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
behtarin ranjana ........koi dil ke armaano ko sabdo mai dhalna aapse seekhe.

raat ko sitaaro ki chanv tale
jab sard hawaye andhere ko mehkaati hai
mere dil ki kisi kone mai chipi
teri tasveer se,kuch yaadein chali aati hai...........

kho jaata hoon main un yaadon mai ,jinse dil ka mere rishta hai
aur phir dhoondli si tasveero mai,mujhe chehra tera chamakta hai....................

kal kal behte paani per tu matki bharne aati hai
per dekh peepal ke neeche mujhe halke se ghabraati hai

phir jaane kyun achanak tera dil joro se dhadakne lagta hai
aur sanwle husn pe tere ,tera aanchal sarakne lagta hai
aankhon mai ek nasha sa aata hai
aur man pyaar se bhar jaata hai............

matki bharte bharte kanakhiyo se tu mujhe dekhti hai
per tere ghabraaye se chehre per
na jaane kitne rang khil rahe hote hai
kabhi pyaar,kabhi haya,kabhi apni matki ka dhyaan
sab ek pal mai mil rahe hote hai

aur phir tu matki chodkar,saare rasme naate todkar
khanakte paylo ki dhun mai hole se mere pass aakar
kaano mai mere kuch kehti hai ,aur phir hasti hai

aur main dekhta reh jaata hoon
 tere chehre ki khusi ko ,tere hontho ki hasi ko
jo tere labo se suru hoker tere gaalo mai sama jaati hai
per mujhe hasta dekhkar achank se tu uthkar door bhaag jaati hai
aur waha jakar rutbe se apne anchal mai khud ko chipakar
haya mai dub jaati hai.........................

phir,mand mand behti hawaye tere chehre se takrakar
teri julpho ko lehrakar,saari sharmo haya hatakar
tere sine mai utar jaati hai...
Aur tu jaise us hawa ko samajh kar saaya mera
apne aanchal mai karke mehsoos mujhe
khud se hi sharma si jaati hai...................

teri sabnami aankhein jhapke bina
ek tuk mujhe ghurti rehti hai ,
aur isharo mai hi mujhse ye kehti hai
ki tu kaun hai ? koi ajnabi ya mere dil ki awaaz?
kyun teri sansoo ki sargam se mere dil mai baj rahe hai saaz?
kyun lagta hai tu mujhko mera saaya?kis dagar jaana hai tujhe
hai kis raah se tu aaya?......................

aur phir jaise khud hi apne sawalo ke jawab mai
apni chunar ko tu yu aasman mai uda deti hai
jaise chupke se apne dil ke saare raaz khol rahi ho
main tera hoon aur tu sirf meri hai saare jahan se ye bol rahi ho...............

Phir kanpte pairo se ,dhadakte dil ko leker
meri baahon mai aakar to so jaati hai,
saare jahan ko bhulane ke liye
mujhe apne dil mai samaane ke liye
jaise aaj tera intzaar ho gaya khatam
jo tune kiya tha is pal ko paane ke liye...............mere wajood per chaane ke liye

phir dheere dheere tera chamkata saaya
meri agosh mai gum ho jata hai
aur jahan kuch der pehle tu thi leti
waha sab dhoondla sa nazar aata hai
aur main........main bebasi mai ankhein kholta hoon ,kyunki dil ki ye majboori hai
tujhme rang bharne ki meri chahate adhuri hai .........
haan teri tasveer adhuri hai...............yaadon mai tasveer adhuri hai.

.....................@fahi@.......................

 Shocked Kya baat hai.....NO words to say Fahi
Logged
ranjana
Guest
«Reply #18 on: July 09, 2006, 12:27:14 PM »
Reply with quote
unki tasveer ke rango mein jab mera vajood dhalne laga
ek sunder salona sa khawab meri palako mein sajane laga

woh dhaal rahe they mere har jajabaat ko apne rango mein
mere dil mein aarzuo ka tufaan machlane laga

aanchal jo mera sarak ke mere gesuo se neeche gir gaya
woh shokh rang mere gaalo.n ka unki tasveer mein dhal gaya

jab gunji mere kangana ,pyaal ki khanak fizao mein
uski khanak se unka dil joro se dharak gaya

sarka jo jara sa aanchal mera thandi hawa ke jhonko se
yeh dekh ke unki  aankho mein ek inderdhanush sa khil gaya

woh dheere dheere mujhko apni tasveer mein rangate rahe
meri aankho  mein unke saajaye rang khilte rahe

ek sawal ek jawab ke saath woh sapana meri in aankho mein calata raha
jab aankh khuli toh bhi wahi sapana meri aankho mein palata raha

ek sunder se ehasas mein dil mera dubata sambhalta raha
main na sahi meri adhuri   tasveer ka rang toh  unke khawabo mein rang bharata raha
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #19 on: July 09, 2006, 02:47:01 PM »
Reply with quote
thanx gaurav bhai ,ranjana...........& again very nice ranjana..............

khawao mai bhi tujhse mulakatein kiya karte hai
jab kabhi teri tasveer se baatein kiya karte hai

chup rehte hai tere honth main bolta rehta hoon
per tere nain tere dil ki aahatein diya karte hai

dekhta hoon jab bhi main pak chehre ko tere
mere honth sirf teri hi ibadatein kiya karte hai

bharta hoon roz rang teri tasveer mai lahoo se
ki tujh per jaan dene ki apni chahate jiya karte hai

...................@fahi@.....................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #20 on: July 09, 2006, 05:31:56 PM »
Reply with quote
shukriya fahi bahut sunder likha hai aapne........ Usual Smile

uski khamosh si ek sada meri zindagi mein ghulane lagi
ab uski ibadatein meri zindagi per asar karne lagi

ek tasveer saloni si woh meri nazaro mein thee
us tasveer ki surat teri baato se milane lagi

aa gaya mere dil ke kareeb woh  itna
ki uski tasveer aksar mujhse ek sawal karne lagi

meri tasveer ko rakhte hain woh dil se laga ke
lagta hai ab meri chahate un per asar karne lagi

jab bhi hum mile lab dono ke khamosh rahe
ab dil ki har baat dono ke geeto mein dhalne lagi
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #21 on: July 12, 2006, 07:38:53 PM »

kya baat hai ranz-na dear too good! :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #22 on: July 13, 2006, 12:43:47 PM »
Reply with quote
shukriya shahid ............... :D
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #23 on: July 14, 2006, 06:52:04 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya fahi bahut sunder likha hai aapne........ Usual Smile

uski khamosh si ek sada meri zindagi mein ghulane lagi
ab uski ibadatein meri zindagi per asar karne lagi

ek tasveer saloni si woh meri nazaro mein thee
us tasveer ki surat teri baato se milane lagi

aa gaya mere dil ke kareeb woh  itna
ki uski tasveer aksar mujhse ek sawal karne lagi

meri tasveer ko rakhte hain woh dil se laga ke
lagta hai ab meri chahate un per asar karne lagi

jab bhi hum mile lab dono ke khamosh rahe
ab dil ki har baat dono ke geeto mein dhalne lagi

Tasveeron se aap yun dil lagaye baithe ho
Haqiqat jo samne khada, unhe aap bhulaye baithe ho
Hamme tasveer mai kyun dhund rahi ho,aab to pukaro
Wo tasveer to rooh tak nahi pohochega
Jisse aap shine mai sataaye baithe ho...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #24 on: July 14, 2006, 07:05:01 PM »
Reply with quote
bahut khoob shahid....

woh salona sa sajan meri nazaro  mein hei
uski tasveer mere in khayalo mein hai
woh dekh rahe hain hamko apni tasveer se asie
ki aaj har baat unke pyaar ki unki aankho mein hai
Logged
roshni246
Guest
«Reply #25 on: July 14, 2006, 07:14:26 PM »
Reply with quote
2 gud mom and shahid....!
 Puzzled !

humne ek dhoondli tasveer ankhon main sajayi hai...
ab to tanhai main sunsan mehfil sajai hai...

humne us tasveer ko dil ki baatein sunai hai...
mann hi mann usse apni takdeer banai hai...

aap to katti hai raatein unse baatein kiye...
jaise patjadh main fizaa laut ayi hai.......
 
rehte hain hum ab  to din bhar khoye se...
unki ankhon main ek choti duniya basai hai...!!

~rosh~
Logged
ranjana
Guest
«Reply #26 on: July 15, 2006, 02:00:03 AM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
2 gud mom and shahid....!
 Puzzled !

humne ek dhoondli tasveer ankhon main sajayi hai...
ab to tanhai main sunsan mehfil sajai hai...

humne us tasveer ko dil ki baatein sunai hai...
mann hi mann usse apni takdeer banai hai...

aap to katti hai raatein unse baatein kiye...
jaise patjadh main fizaa laut ayi hai.......
 
rehte hain hum ab  to din bhar khoye se...
unki ankhon main ek choti duniya basai hai...!!

bahut khoob Roshu .....bahut accha likha hai  :D

ab toh unke naam se hamari taqdeer jud gayi
dekhi thee ek jhalak bas unki woh dil mein utar gayi

bebas kar diya unki meethi baato ne hame is  qader
ki aaj unke har rang rup mein main toh dhal gayi

karti rahi baate unki tasveer se main raat bhar
unki tasveer hi hamse na jaane kya kya saharat kar gayi
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #27 on: July 15, 2006, 03:41:46 AM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
2 gud mom and shahid....!
 Puzzled !

humne ek dhoondli tasveer ankhon main sajayi hai...
ab to tanhai main sunsan mehfil sajai hai...

humne us tasveer ko dil ki baatein sunai hai...
mann hi mann usse apni takdeer banai hai...

aap to katti hai raatein unse baatein kiye...
jaise patjadh main fizaa laut ayi hai.......
 
rehte hain hum ab  to din bhar khoye se...
unki ankhon main ek choti duniya basai hai...!!

~rosh~

uski ankhoin mein apni mohabbat jaghayi hai
murjaye hua phool bhi khil utha hai
mohabbat hamari itni rangh layi hai

uski tasveer ankhoin mein sajha karh rakhi hai
ankhoin mein abbh uska mukra chand nazar anne lagha hai
chehra uska ankhoin mein aise basa hai :D

ranju mom...tongue3 and rosh di!!! beautiful!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: July 17, 2006, 04:46:57 AM »
Reply with quote
bahut khoob anjani ..... Usual Smile
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005

View Profile
«Reply #29 on: July 17, 2006, 06:28:52 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya fahi bahut sunder likha hai aapne........ Usual Smile

uski khamosh si ek sada meri zindagi mein ghulane lagi
ab uski ibadatein meri zindagi per asar karne lagi

ek tasveer saloni si woh meri nazaro mein thee
us tasveer ki surat teri baato se milane lagi

aa gaya mere dil ke kareeb woh  itna
ki uski tasveer aksar mujhse ek sawal karne lagi

meri tasveer ko rakhte hain woh dil se laga ke
lagta hai ab meri chahate un per asar karne lagi

jab bhi hum mile lab dono ke khamosh rahe
ab dil ki har baat dono ke geeto mein dhalne lagi

excellent ranju ji........
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:41:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer