unki tasveer dekhi hai jabse hamne........

by ranjana on July 07, 2006, 04:20:16 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 16925 times)
ranjana
Guest
«Reply #30 on: July 17, 2006, 12:31:50 PM »
Reply with quote
shukriya Gesu ji..................
Logged
Pooja
Guest
«Reply #31 on: July 17, 2006, 02:15:09 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #32 on: July 19, 2006, 11:36:08 AM »
Reply with quote
is mehfil ko dekhkar lagta hai ki tasveere bhi bolne lagengi ....very nice ranjana ,shahid ji ,roshni ji & gesu ji...........

 na din ko chain aata hai na raato ko neend aati hai
 har pal ke saath teri yaadein yu chali aati hai

 rakhta hoon main sambhalkar dil apna pehlou mai
per har zarre se aati hui teri chahat ise behkaati hai

 aankhon mai phir se sajkar bethti hai narm bunde
aur har yaad per mere ashko ko baha le jaati hai

main karta rehta hoon  aksar teri tasveer se batein
jab tu ho mere pass nahi per teri aas tadpaati hai

................@fahi@...................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #33 on: July 20, 2006, 02:42:03 AM »
Reply with quote
bahut khoob fahi .....shukriya ...  Usual Smile

tere khayalaat chhaaye hain is qader jehan mein
ki ab har saaya mujhe tum sa lagane laga   hai

mere khawabo mein tune apna sirr rakha hai mere seene per
khul na jaaye neend teri bas isi dar se maine karwat ko nahi badla hai

tere aagaosh mein main simat rahi hun kisi masoom khawab  ki tarah
yeh ek khawab sa salaona kal meri aankho ne dekha hai

raat ki tanahai mein mere yeh sapane kahi tod na de dam
is mohabbat ki  tasveer ko hamne apne dil mein mahfuz rakha  hai
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #34 on: July 20, 2006, 09:27:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khoob fahi .....shukriya ...  Usual Smile

tere khayalaat chhaaye hain is qader jehan mein
ki ab har saaya mujhe tum sa lagane laga   hai

mere khawabo mein tune apna sirr rakha hai mere seene per
khul na jaaye neend teri bas isi dar se maine karwat ko nahi badla hai

tere aagaosh mein main simat rahi hun kisi masoom khawab  ki tarah
yeh ek khawab sa salaona kal meri aankho ne dekha hai

raat ki tanahai mein mere yeh sapane kahi tod na de dam
is mohabbat ki  tasveer ko hamne apne dil mein mahfuz rakha  hai


fahi ranju.....nice gng......its beautiful!!!

aik khwab dekhe ja rahi hoon
khwab mein tujhe dekh rahi hoon

kaheen toot na jaye ye khwab
isse liye palkein jhukha karh rakhti hoon

toote na yeh khwab kabhi mera
issi liye uski tasveer dilse lagha kar rakhti hoon :D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #35 on: July 21, 2006, 06:42:37 AM »
Reply with quote
its really very beautiful anjani ..............

kisi ki baat karo ,kisi ko yaad karo
bas tasveer teri aankho mein utar aati hai

kahi bhi phool khile ,ya fir koi deep jale
bas teri hi surat aankho mein ghum jaati hai


teri baate ,teri nazme ya teri woh shokhiyaan
mujhe tere dil ke kaeeb bahut le aati hain
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #36 on: July 22, 2006, 03:54:28 PM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Anjani and Ranju

Ho Rang gehra sa toh Tasveer teri bann jaye.....
Surkh hoant ho Laal aur Aankhein aise ki bas abhi pal me jhapak jaye.....

Palkein ho jaise koi khilti kali Gulaab ki......
Sharmata ho badan jaise Tehni ho kisi ke Armaan ki....

Lambe Gesu jab ho khule toh ghata bhi badal liye asmaan se sarak jaye......
Aanchal se tera kisi Kamal ki Sundarta jaisa Roop jhalkaye......

Bas aise hee yaad karte teri Tasveer Jehem me mere utar aaye.....!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #37 on: July 22, 2006, 05:36:41 PM »
Reply with quote
bahut khoob gaurav ..........

pehle si naahyi thee aaj yeh raat
fir se hai nikali ab unki baat

kabhi milana hoga unse yeh kaun jaane
abhi toh hoti hai bas unki tasveer se hi mulakat

chalo aaj khawabo mein unko puaakare
ek sapana fir se koi dil mein utaare !!!!!!!!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #38 on: July 23, 2006, 05:20:20 AM »
Reply with quote
gud gng .............

 apne dil mai bharlo rang khusiyo ke aey sanam
 ki rehenge suni tasveero mai yaad bankar hum

................@fahi@................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #39 on: July 23, 2006, 05:32:40 AM »
Reply with quote
bahut khoob ...

meri khushiyon ka  rang tere dam se hai
teri tasveer hi ab mere soone dil ki dharkan hai
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #40 on: March 13, 2010, 03:00:25 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB  hello2 hello2 hello2 Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 08:03:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer