Us ne Mujh Se Ek Baar Poocha

by Fouad on August 09, 2007, 07:30:30 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 583 times)
Fouad
Guest
Reply with quote


us ney mujh sey ek baar poocha

kya tumhey meri yaad ney kabhi sataya hai
kahin kisi raat merey khwaab ney jagaya hai
kabhi aankh lagi hai meri yaad ki goud mai
tasavur main kabhi meri ungliyoun ney sulaya hai

main jawaab ussey kya deti
apni chahat ko kesey tolti
sou apni chahat ko main ney
khamosshi main lapeit liya

woh merey lafzoun ko dhoondta
bheegi aankhoun ko pounchtaa
merey qareeb khara raha

ussey tou arzoo-e-jawaab thi
aur meri khamoshi ek azaab thi
kaise kehti main ussey
mera har lafz tha us ki takhleeq
main ussi ki likhi ek kitaab thi

paltey jo qadam meri jaan kay
us kay shaanoun ko
apni kaanpti ungliyoun sey
main ney thaam liya

aur kaha !!

meri khamoshiyoun sey aisey badgumaan na hou
meri chahat jo kabhi mujh sey bayaan na hou
tou aey jaan !!
meri rooh main kisi shaam utar aana tum
ek ehsaan kerna phir na kabhi jaana tum
kay chand ka asmaan kay beghair
wujood bekaar hai !!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek baar mujh dakha tu sakte hoon na by muneeb in Shayri-E-Dard
tumhe baar baar dekhti hun by sandhaya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 43 44 »
:: dil baar baar tujhi ko chahta kyun hai :: by myheart_ursonly in Shayri-E-Dard
us ney mujh se ek baar poocha by Fouad in Shayri for Khumar -e- Ishq
her baar wahin, her baar nahi,,,, by Pooja in Miscellaneous Shayri
Roja
Guest
«Reply #1 on: August 12, 2007, 09:12:57 AM »
Reply with quote
Quote from: "Fouad"


us ney mujh sey ek baar poocha

kya tumhey meri yaad ney kabhi sataya hai
kahin kisi raat merey khwaab ney jagaya hai
kabhi aankh lagi hai meri yaad ki goud mai
tasavur main kabhi meri ungliyoun ney sulaya hai

main jawaab ussey kya deti
apni chahat ko kesey tolti
sou apni chahat ko main ney
khamosshi main lapeit liya

woh merey lafzoun ko dhoondta
bheegi aankhoun ko pounchtaa
merey qareeb khara raha

ussey tou arzoo-e-jawaab thi
aur meri khamoshi ek azaab thi
kaise kehti main ussey
mera har lafz tha us ki takhleeq
main ussi ki likhi ek kitaab thi

paltey jo qadam meri jaan kay
us kay shaanoun ko
apni kaanpti ungliyoun sey
main ney thaam liya

aur kaha !!

meri khamoshiyoun sey aisey badgumaan na hou
meri chahat jo kabhi mujh sey bayaan na hou
tou aey jaan !!
meri rooh main kisi shaam utar aana tum
ek ehsaan kerna phir na kabhi jaana tum
kay chand ka asmaan kay beghair
wujood bekaar hai !!



Very good... well writtern Fouad ...
Expressive and touchy lines... welcome and keep flowing emotions.
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #2 on: August 12, 2007, 03:40:33 PM »
Reply with quote
apke pas to bohot kuch hai acha acha likhne k liye


:D :D :D
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:48:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer