uska intezar

by anjani_si on December 24, 2009, 01:37:43 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1591 times)
anjani_si
Guest
Reply with quote
hai kaisi yeh dil mein uljan
hai kaisi yeh honthon pe gun

karti hoon mein kyun uski tasveer ka deedar
rehta hai kyun mujhe uska har paal intezar

jin labhon pe mohabbat ka naam na tha
jis dil mein ishq ka ehsaas na tha
hojayega dil kisi ka, socha na tha

aaj kyun hoon mein bebaas uske liye
tadapti hoon kyun uske liye
ankhein deedar ke liye taras gayi
haath uthe hain khuda ki taraf, unko maangne ke liye

badhaya kaddam maine kyun uski taraf
kiya ujala usne kyun meri taraf

badakar kaddam aisi raha mein
kar gaya kyun tanha mujhe iss raste mein

kiya maine izhaar, uske esharae dekh kar
samjha badhayega kaddam, mere dil ke jazbaat dekh kar

pal guzar gaye, lamhe guzar gaye
din guzar gaye, hafte guzar gaye....
.....kar rahi hoon aabh bhi uska intezar, lekar dil mein aas
na jaane kyun ankhein beechayi dekh rahi hoon raasta, kya ayega woh mere paas

kya hulchul hai uske maan mein
kya toofan hai uske dil mein
samjha kar tu dekhe mujhe, ekh paigam mein
chali aaongi maine uski zindagi roshan karne ke liye mein

sooch sooch kar yeh ladki pagali hogayi
haiye sajna tere ishq mein, maine kamli hogayi
ik vari karde deedar mere mahiya, dekh eeh kudi aaj chali hogayi! <3
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~Uska Jism~~.... by HumTum in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
Kya khuda bhi uska tha ??? by Just_Hate_Love in Shayri-E-Dard
KYA KHUDA BHI USKA THA??????? by vineet.vini in Shayri-E-Dard
KHUDA BHI USKA THA............. by jaimata in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Aakhri waqt to uska intezar.... by mrZakram in Shayri-E-Dard
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 24, 2009, 04:03:52 AM »
Reply with quote
Nice one Anjani Ji
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #2 on: December 24, 2009, 05:41:55 AM »
Reply with quote
jab pyar ho kisi se to aisa hi hota hai
jab didar ho kisi ka to aisa hi hota hai
jab yaad sataye kisi ki to aisa hi hota hai
jab honth bulaye kisi ko to aisa hi hota hai
jab nazreiyn doonde kisi ko to aisa hi hota hai
jab dil dadhke zor se to aisa hi hota hai
jab aankh fahrke raub se to aisa hi hota hai
jab pyar ho jaye kisi se to aisa hi hota hai

its love
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: December 24, 2009, 07:01:41 AM »
Reply with quote
Anjaaaaaani Sis.. Itne Dino Baad Tumhe Dekh Ke Bahut Accha laga..!! Usual Smile Usual Smile

Bahut Bahut Pyaara Likha Sis.. Ek ek Lafz Pyaar Bhara Likha hai.. Bahut Bahut Khoooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: December 24, 2009, 08:24:07 AM »
Reply with quote
jab pyar ho kisi se to aisa hi hota hai
jab didar ho kisi ka to aisa hi hota hai
jab yaad sataye kisi ki to aisa hi hota hai
jab honth bulaye kisi ko to aisa hi hota hai
jab nazreiyn doonde kisi ko to aisa hi hota hai
jab dil dadhke zor se to aisa hi hota hai
jab aankh fahrke raub se to aisa hi hota hai
jab pyar ho jaye kisi se to aisa hi hota hai

its love
Good one Saahill Ji
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #5 on: December 24, 2009, 12:54:12 PM »
Reply with quote
Bahut Hi Sundar likha hai Anjani Ji and Sahil JI
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #6 on: December 24, 2009, 11:27:04 PM »
Reply with quote
thanks rishi, rajesh, sahil and mann Usual Smile

bassi hai uski dhadkan meri dhadkhan mein
maine uske dil ki dhadhkan banti kyun nahi??

sajayi hai uski tasveer palkoin mein
chor nazar se mujhe kyun dekhta kyun nahi??

woh hassi, woh mazaak , woh apnapan
yeh berukhi, yeh dard, kyun hai yeh parayapan?

lagha mujhe jo tha tere maan mein,
likh diya maine kore kagaz par kalam se

palkein beechaye, baithi hoon intezar mein
likh de kuch bhi ekh baar, kasam se

sajde mein hoon jhukhi,
dua mein bheghi hain palkein

hai duniya sari ko khabar isse haal ka
khabar nahi mujhe kuch bhi apne yaar ka

karde deedar woh meri nighaon ka
karde roshan woh meri isse sham ka

rak doon dil nikal ke uski hathali pe
kar jaon yeh zindagi neechar uspe

jee kare, mein baithi rahoon  nazar se deedar karti rahoon
kehta jaye woh kuch, aur mein sunti rahoon

betaab hai yeh maan
meri tadap, o sajna tu sunn

kahoon mein tujhse yeh baat kaise
beetaon yeh pal tum bin kaise

aaj mein tere ishq ke rang mein rang gayi
jee kare, isse kalam ko pyar ki kahani se rang doon
dekh,yeh sajni aaj tere rang mein rang gayi

Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #7 on: December 26, 2009, 06:38:30 AM »
Reply with quote
har lamha har pal bas yahi kehta hai ,
dil mein bas apka khayal rehta hai ,
ho jatey ho shamil mere pyar ki mehfil mein
phir bhi apke aane ka intzaar rehta hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:13:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer