Dheerey Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Us Ka Chehra Nazar Ata Hai jheel mein kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Us Ko Dekhaa To Jism o JaaN Ko Yun Lagaa
Piyaasi ZameeN Pe Jesey Koi Baras Gaya Badal Ki Tarah
Roz Kehti Hai Seeney Pe Sir Rakh Ke Raat Bhar Sula'oun Gi
Sar-e-Shaam Hi Mujhey Aaj Phir Sula Gayi Wo Kal Ki Tarah
Us Ka Sharmaana Bhi Mujhey Maat De Jaataa Hai
Us Ki To Har Adaa Hai Kisi Khamosh Qatil Ki Tarah
Merey Hi Dil Ka MakeeN Nikla Wo Shakhs Aur Mein
Shehar Bhar Mein Dhoodnta Raha Usey Kisi Pagal Ki Tarah
Madhosh Sa Ho Jata Hun Jab Barish Ki Boondein
ChheRti Hain Koi Naghma Us Ki Chhanakti Payal Ki Tarah
Mera Sukhan Us Ki Zaat Ka Mehwar Na Ho Tab Bhi
Wo NaazneeN Wo Dil NasheeN Hoga Mehakti Ghazal Ki Tarah
Nahee Tha KhaarzaroN Pe Tanha Be Sabab Safar "HumTum"
YaqeeN Tha Mil Jaye Ga Raah Mein Wo Manzil Ki Tarah
HumTum
bahut khoob likha hai ye par kya aapne likha hai .................
BTW Aap ko kya lagta hai ?
mujay lagta hai ki aapne kahin se churaya hai lol
wahi se mein post karti hu ek
ham saath chalney per bhi ek saath nahi the
ham dono wohi the mager jazbaat nahi the
daman mein meray dukh ke siwa kuch nahi dala
phir bhi yahi kehtay hai ke gunahgar nahi the
jis ishq ne mujh ko meri maa se alag rakhha
ham aisee mohabbat ke talabgaar nahi the
her rishtey ko tora hai faqt teray liye lekin
ham khushio ke haqdar aab bhi nahi the
sahil per kharee hoo per kinara nahi milta
ham aisey samnader ke aadee to nahi the
berso hoe jana ne khud ko nahi dekha
jab dekha to perkha, ham aisey to nahi the
(NM)
aur humtum ji jo apni nahi hoti na shayeri uske niche likhte hain jaise maine likha sorry btw