Uski Baatein (Shikha)

by Shikha12 on May 25, 2006, 04:22:01 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2629 times)
Shikha12
Guest
Reply with quote
Uski baatain sun kar mujh ko, waqt laga kuch thera saa,
lekin un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa....

main bhi hath tham leti uska, lekin sanson per hai phera saa,
jo bhi ho un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa...

raat mila woh sapno main, kuch paresha, kuch hairan saa,
keh key gaya wo aaisi baatain, jinmey pyar chuppa tha ghera saa...

phool khil gaye is jeevan main, pehley tha jo viraan saa...
aaisi meethi baatain thi woh, jinmey pyar chuppa tha ghera saa....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #1 on: May 25, 2006, 04:28:29 PM »
Reply with quote
wow SHIKHA kamal kar diya ..........veru sweet............. :D
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: May 25, 2006, 04:35:57 PM »
Reply with quote
Thanks a lot....Ranjana....so sweet of u for replying so soon....main darr rahi thi ki theek bhi likha hai ya nahi...bahut jaldi main likha hai naa, isi liye...
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #3 on: May 25, 2006, 04:37:36 PM »
Reply with quote
wow shikha nice words
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: May 25, 2006, 04:40:40 PM »
Reply with quote
kcuh baate jaldi jaldi mein kai baar bahut gahri chaap chor jaati hain........ Usual Smile u write very well .........bahut khubsurat shabdo mein ehasaso ko peeroya hai tumne...........yun hi likhti raho.....

with best wishes
 :D
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: May 25, 2006, 04:53:08 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Kaiynath and Ranjana.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: May 25, 2006, 04:58:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Uski baatain sun kar mujh ko, waqt laga kuch thera saa,
lekin un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa....

main bhi hath tham leti uska, lekin sanson per hai phera saa,
jo bhi ho un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa...

raat mila woh sapno main, kuch paresha, kuch hairan saa,
keh key gaya wo aaisi baatain, jinmey pyar chuppa tha ghera saa...

phool khil gaye is jeevan main, pehley tha jo viraan saa...
aaisi meethi baatain thi woh, jinmey pyar chuppa tha ghera saa....




Lovely one Shikha......kisko dedicate kia hai yeh nai bataya tumne
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: May 25, 2006, 05:07:43 PM »
Reply with quote
Uh.....yeh batana jaroori hai kya?Huh? Anyways thanks a lot
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: May 25, 2006, 05:10:27 PM »
Reply with quote
Tumhe humne bhi apne Dil me basa rakha hai......
Tumhari mahobbat ka Diya bhare ujaale me bhi jala rakha hai......

Kardenge tujhpar harr Khushi apni Nisaar......
Khuda ke darbaar me yeh Daava rakha hai......

Apni Pyari Pyari baton se hume deewana bana rakha hai......
Shaam ke Intezar me raat ka harr pehlu apne Khwabon se saja rakha hai......

Dekho Ishq farma ke humse ek baar......
Aise kya pata chalega ki Mahobbat ki galion me kya rakha hai......!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: May 26, 2006, 02:50:33 AM »
Reply with quote
very nice Gaurav................... :D

uski baato mein jab bhi jikar mera aata hai
na jaane kyu mera dil joro se dharak jaata hai,

honth rahate hain khamosh magar.........
aankho se bayan dil ka haal ho jaata hai

dekhu na usko toh dil ko chein nahi aata
na jaane yeh kaisa bandhan hai,
na jaane yeh kaisa naata hai......

mere chehare ko woh pad leta hai aksar
mere dil mein kya hai woh yeh  jaan jaata hai

uski baato mein jab bhi mera jikar aata hai,
na jaane kyu dil mera joro se dharak jaata hai.............!!!!!!!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: May 26, 2006, 03:40:42 AM »
Reply with quote
Very nice work Gaurav and Ranjana.....


Ab bhi meethi batey uski,
karti hai diwanaa saa....
khwabon saa sab lagta hai,
lagta hai afsanaa saa....

karta hai intzaar mera jo, garam dopahar main,
jalta hai is shamma key sang,
lagta hai parwanaa saa....

Sang naa uska dey paugi, mujhko yeh afsos hai,
Chalak naa jaye pyar mera,
is dil sey paimanaa saa....

usko main pehchaanti hu, haal-e-dil sab jaanti hu,
lekin meri majboori sey,
woh hai abhi anjanaa saa....
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #11 on: May 26, 2006, 04:49:28 AM »
Reply with quote
very nice creation shikha...

koi aaya hain is oar, khidki ko khula aahista
ghuskar aayi roshni sard hawa ke saat,
dhoonde toh nahin tha koi kadmon ke nishan,
kya hain is ka marm? - Janejana


Quote from: Shikha12
Uski baatain sun kar mujh ko, waqt laga kuch thera saa,
lekin un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa....

main bhi hath tham leti uska, lekin sanson per hai phera saa,
jo bhi ho un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa...

raat mila woh sapno main, kuch paresha, kuch hairan saa,
keh key gaya wo aaisi baatain, jinmey pyar chuppa tha ghera saa...

phool khil gaye is jeevan main, pehley tha jo viraan saa...
aaisi meethi baatain thi woh, jinmey pyar chuppa tha ghera saa....


Logged
Shikha12
Guest
«Reply #12 on: May 26, 2006, 06:53:36 AM »
Reply with quote
nice thinking...Manju ji...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: May 26, 2006, 05:51:06 PM »
Reply with quote
Kabhi pooch ke dekho mere Dil hum tumse kitna Pyar karte hai......
Karte hai Intezaar tera Khawabon me or Din me gumsum aahein bharte hai......

Aaj jhuka ke sirr khuda se ek hee darkhast karte hai.....
Mill jaye tujhe harr Khushi jahan ki.....
Badle me uske hum Dunia ka harr Dard kubul karte hai......

Na bano tum Majboor itni....Na daro iss Jahan se......
Bas keh do ek baar tum humse ki haan sanam hum bhi tumse Pyar karte hai......

Teri koyal see meethi awaaz sunke hum Dil ki baat karte hai......
Le loon tujhe bahon me aur dekhna kaise harr Gum pighalte hai......
Logged
phoenix
Guest
«Reply #14 on: May 26, 2006, 06:01:00 PM »
Reply with quote
ahem ahem

kya baat hai gaurav
cha rahe ho

good going every one
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:58:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer