Uski Duaao.n Main Hoon......!!

by Talat on July 12, 2009, 12:44:43 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4485 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: August 03, 2009, 01:04:49 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Khoooooob Dost!!! Kuch Lafz Hi Nahi Mere Paas Jo Iss Nazm Ki Tareef mein Kuch Keh Sake....

Bahut Hi Pyaare Aur Khoobsurat Ehsaas Hai Yeh..

Aakhri As'haar Ne To Chehre Par Ek Muskaan Si Laa Di.. Usual Smile

Toooo Goood Talat Dost!!! Applause Applause Applause


Thanks so much Khwaish Dost..aap ko pasand aaya...bohot achcha laga...Thanks for always reading  icon_flower
Logged
sanya310
Guest
«Reply #16 on: August 03, 2009, 02:17:17 PM »
Reply with quote
its beautiful talat..bohot hi pyara likha hai!
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: August 05, 2009, 12:40:06 PM »
Reply with quote
kya baat hai  celmira ji.....

jab se paaya hai usko,hosh kahan hai mujhko.
ab toh kudrat ke rang bhi, fike nazar aate hai mujhko.

unki nigaaoun se hatt ti kahan hai meri nazar,
hogai hun  duniya se,main bekhabar.

ab na zameen chahiye,na aasman chahiye mujhko,
bas WOH, sirf WOH, WOH hi WOH chahiye mujhko.

Thanks a lot Cara

Very nice from you as well...Bohot Khoob
Logged
HumTum
Guest
«Reply #18 on: August 11, 2009, 02:22:52 PM »
Reply with quote
Aree Waah Talat Ji.... bahut khoob ... kaafi arse baad ishq ki galiyooN mein aana hua to aap ki yeh gazal nazar hui .... kamal ka likha hai .....  daad qabuul kareN.


Arz Kiya Hai


Hawaa'yooN Mein Aaj Kal Unke Paigaam Aate HaiN
Do Lafz Muhoobat Se Bhare, Mere Naam Aate HaiN

Bhikari JulfieN, Gehri AnkheiN, Surak Honth
Yeh Hahthkande Sabhi Muhhobat Ke Kaam Aate HaiN

Has Ke Seh Lete HaiN Hum Zamane Ki TalkhiyaN
Unki JulfooN Mein Jab Kar Ke Qayaam Aate HaiN

"HumTum" Dil_lagi Asiaa Januun Ban Gyii
Har Ik Shai Mein Woh Ban Kar Benaam Aate HaiN!


HumTum

Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: August 11, 2009, 04:07:53 PM »
Reply with quote
wah wah wah kaya mehfil saji hai.. bahoot khoob Celmira!!
Cara ji, Mann ji and Humtum ji bahoot acha likha hai app sabhi ne... Good work all  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ANKUR_CRAZY
Guest
«Reply #20 on: August 13, 2009, 05:46:26 PM »
Reply with quote
Shayad iss ghazal ke kuch asha'ar maine kisi purane thread main likhe the.

Kuch tabdiliyon ke saath, kuch naye asha'ar ke saath phir se post kar rahi hoon,
Umeed hai pasand aaygi ye peshkash.

Shayad iss ghazal ke kuch asha'ar maine kisi purane thread main likhe the.

Kuch tabdiliyon ke saath, kuch naye asha'ar ke saath phir se post kar rahi hoon,
Umeed hai pasand aaygi ye peshkash.


bahut khoob talat jee bahut he badhiyaa...
alfaaz nahi hai tareef karne
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: August 13, 2009, 06:00:50 PM »
Reply with quote
kya baat hai  celmira ji.....

jab se paaya hai usko,hosh kahan hai mujhko.
ab toh kudrat ke rang bhi, fike nazar aate hai mujhko.

unki nigaaoun se hatt ti kahan hai meri nazar,
hogai hun  duniya se,main bekhabar.

ab na zameen chahiye,na aasman chahiye mujhko,
bas WOH, sirf WOH, WOH hi WOH chahiye mujhko.

Thanks a lot Cara Ji....and a nice one from you too....
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: August 13, 2009, 06:07:55 PM »
Reply with quote
Mashallah, Bohat Achcha Kalaam Hai,.
Great Job Talat Ji,.

Thanks so much Azeem
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #23 on: August 15, 2009, 07:23:04 AM »
Reply with quote
Celmira jee:

Asalaam-o-Alaikum!

kaise hai.n aap?

aapki Ghazal naZar nawaaz hu'ii. ka'ii baar paRhaa ees Khoobsoorat se aSh'aar ko maine .. aik dil-pazeer Ghazal aapne bazm meiN peSh kii haii!... dil pe gehraa asar ga'ii aapki yeh Ghazal.. waise tou sabhee Sher bahot hi Khuub raheN.. mujhe Ghazal kaa matlaa aur maqtaa donoN bahot hi pasaNd aayeN!.. dil se DheroN saarii daad ees nafees Ghazal ke liye! yuuNhi bazm ki raunaq afzA'ii karte rahiYe!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: August 16, 2009, 04:13:36 PM »
Reply with quote
talat kya baat hai bhut hi khoob tareef ke liyn alfaaz dhoondne padte hain aapke liyn jisse bhi kaho paish hone ke liyn keh daita hai ki aap pehle istemaal kar chuke ho hame, mashallah bhut khoob likhti ho Allah paak aapke is hunar ko aur nikhaare aameen

LOL Aslam Ji....aap to sharmsaar kar rahe hain.....ye aapki zarra-nawazi hai jo aapko humara likha is qadar pasand aata hai.....aap khud ek behtareen shayar hain aur aapki hausla-afzai bohot maa'ene rakhti hai......Thanks so much for your beautiful words for me Usual Smile
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #25 on: August 16, 2009, 04:17:47 PM »
Reply with quote
bahut khoob Talt ji
pphir se kehna padega
Alfaz e bayaan to koi aap se sikhe
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: August 18, 2009, 05:27:22 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai aapne dear Talat and Caraji aapne b accha saat diya hai  Thumbs UP

Thanks Roja dear
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: August 20, 2009, 08:37:38 AM »
Reply with quote
Wah Wah Talat Ji.. Behad Khubsoorat Ehasaas Bikhere Hain aapne Yahan.. Lajawab Alfaazon Ke sath Behad Mohabbat Bhari Peshkash Hai yeh aapmi.. Khaas kar Aakhri Jumla dil tak Utar gaya.. Bahut Bahut Khoooooooooob.. Applause Applause


Khud Ko Deewaana, Aur Tujhe Apsara Qaraar Kar Doonga,
Basa Ke Seene Me, dil Ke Har Kone Ko Aashiaan Kar Doonga.....

Nikhaarunga Husn Tera, Kuch Aise Chaandni Raat Me Dilbar,
Har Ek Haseen Nazaare Ko, Main Tera Gulaam Kar Doonga...!!



**~** Mann **~**

Bohot bohot shukriya Mann Ji.......aur aapne bhi behad achcha likha hai...Bohot Khoob  icon_thumleft
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: August 20, 2009, 01:56:42 PM »
Reply with quote
waah behad hi umda ghazal likhi hai aapne Talat ji
saare sher bahot achhe lage,bahot khumaari hai ghazal me
matla,maqta ke saath teesra sher bahot hi acha laga

 Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

khumaari se badhkar kahan kuch hai
khumaari ki nisbat se niha sabkuch hai

mohabbat ki hamesha se hi ye ek ada si hai
khumaari begair mohabbat kahan kuch hai




Thanks so much Kaash Ji for always reading and appreciating my  work....aur aapne bhi bohot khoob likha hai...Very nice.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #29 on: August 23, 2009, 08:36:41 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukriya Pooja Ji & Talat Ji.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:53:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer