vafaon ki jannat unhe dekhke mahek jaati hai
main kahin bhi rahun yaad besabab rahti hai
unke kajal me likhe geet hum padhna chahte hain
paas aake kabhi hume kabhi unhe ek sharm aati hai
unki baaten unka aanchal jaisa vafa'o'imaan Taj ka
unke rahne se zeest me koi kami nahi nazar aati hai
unke gulaabi honthh uspe haathon me hina aur tabassum
kya kahen unhe dekhen bina to jaise jaan jaati hai
ye kaisa aitbaar haal pe,unhe is kadar pa liya hai
unhe yaad ker len phir tanhaayi bhi nahi paas aati hai
apna haal vo bhi humse chhupaenge aakhir kab tak
dekhen unki ulfat kab tak unke sabr ka saath nibhaati hai
usi ke dum se roshan hai lamhe zindagi ke
udaasiyaan kabhi nahi aati jab vo yaad aati hai
unke saaye se lipatke jo zindagi pal bhar ke lie mil jaye
khuda maan le, meri ye darkhwaast roz tere paas jaati hai
aapke ishq ne E sanam aisa deewana bana rakha hai
aapke qadmon ki khamoshiyaan hamari dhadkan ka haal batati hai
unki aakhon me jaadu hai sharaab hum nahi peete
unke aahaton se dil'e'tasavvur me madhoshi chha jati hai
badi tamanna hai unhe apnane unke halaat jaanne ki
unki meethi si awaaz honthhon pe hasrat basati hai
unke khyaal hamare khyaal kya itne milte hain
hum aah bhi len aur vo apne dil se hata nahi haath paati hai.n
ikhlaak'e'ehsaas usse chhupayen phir khud ko kya batayen
sahme halaat ki saans bhi usse sukoon tamaam ban jaati hai
bholi bhali soorat unki masoom se par roshan khyaalaat
unhe bina dekhen bhi nazar khud ko beqaraar paati hai
ek aapke hi ibadat'e'ishq me dooba hun main E sanam
imtihaan'e'ishq aapse hai bus yehi insaaf kaafi hai
ek ajeeb sa rishta de dia usne hume anjaane me
hamare chhat ki chandni aksar muskurati hai
lamhe jo vo de na sake humne jee bhi liye
khumaari aisi ki yahin mahshar'e'ishq ki shuruaat baki hai
muntazir hun islie nahi ki tum aaye na
hume ye intzaar'e'mohabbat bhi bahut bhaati hai
palatke bhi dekhen jo kitaab vafa'o'husn ki
sirn unki hi khoosoorat si tasveer nazar aati hai
vafa ke siva mere paas kabhi aur kuchh nahi tha
aur unhe sirf ek yehi shay hamari pasand aati hai
ye harfon me kitna pyaar ghul sa gaya unke khyaal se
kalamm bhi unhi ki bandagi me ehsaas paak chahti hai
vafaon ki jannat unhe dekhke mahak jaati hai......
~KAASH~