~*~ VAJOOD ~*~

by Naya_Daur on May 26, 2006, 05:26:34 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 4623 times)
Naya_Daur
Guest
Reply with quote
For SomeOne....

Is haseen dokhe pe yakeen main kar lu
mere intezar par apna aitbar toh jatah

yeh bharm na reh jaye ki akele hain jahan mein
jara mere kareeb aa kar apna ehsas toh dila

main tere dil ko tham lon tu mere dil ko tham le
tu apni deewangi ka mujhe manzar toh dikhla

thodi si jagah mangta hu tere anchal mein
mujhe apni shaqshiat se waqif toh kara

umar bhar seh leinge zakhm hazar,in do pal k liye
jara apne Qyamat se chehre ka deedar toh kara

Jhoom rahein hain apne saaye mein tera sath pa kar
meri hasti mein apni hasti ka vajood toh baata...!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERE VAJOOD KO THUKRAKAR..........MKV by mkv in Shayeri for Dard -e- Bewafai
BAN KE MERA VAJOOD.......MKV by mkv in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #1 on: May 26, 2006, 05:27:03 PM »
Reply with quote
Zindagi ban chuka hai yah hanseen dhoka
Apni kismat per to aitbaar ane do

Bharm nahi hai yah tera, is baat per yakin kar lo
Khamosh muje chupchap apne sath ane do

Behakty hai jo kadam to behak jao tum
Hamare bich ab hawa ko bhi na ane do

Kaise samjhau dil-e-haal apna tumko
Ho rahi hu jo deewani, to muje ho lene do

Mana dard-e-dil ka yah rishta banaya hai
Tadpata hai jo yah dil, isko bhi tadap lene do

Vajood mera ek din tujh main mil jayega
Atta hai wo jo waqat, to usko ab ane do
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: May 27, 2006, 02:51:34 AM »
Reply with quote
Very Nice BD JI & Pooja....
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #3 on: May 27, 2006, 02:55:07 AM »
Reply with quote
Thanks Aryaan!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #4 on: May 27, 2006, 04:20:17 AM »
Reply with quote
Thanks Aryan
aur pooja ji bhut hi achha reply ... :wink:
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #5 on: May 27, 2006, 04:38:30 AM »
Reply with quote
very good post BD and nice reply pooja...

teri aane ki raah mein
din mein sardi thi
kheton ke raah mein
hare rang bane laal
safar khatm hone tak
suraj ki roshni us raah ki
pedon par mehak le aaye...

us raah mein
panchiyon gaaye poonam ki inchar mein
taare chamake,
sapne samaye aankhon mein,
sona... us
waqt raah ud jaye...

us raah mein
ban ke hawa ke jhonke
khushiyon ki raat mein
sabko keh kehte
aanewale seikdo
khushiyon ke aankh khulaye,
aise ho jaye ki
safar ya teher samajh na paye..
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: May 27, 2006, 05:26:42 PM »
Reply with quote
Quote from: "burniing_desiires"
For SomeOne....

Is haseen dokhe pe yakeen main kar lu
mere intezar par apna aitbar toh jatah

yeh bharm na reh jaye ki akele hain jahan mein
jara mere kareeb aa kar apna ehsas toh dila

main tere dil ko tham lon tu mere dil ko tham le
tu apni deewangi ka mujhe manzar toh dikhla

thodi si jagah mangta hu tere anchal mein
mujhe apni shaqshiat se waqif toh kara

umar bhar seh leinge zakhm hazar,in do pal k liye
jara apne Qyamat se chehre ka deedar toh kara

Jhoom rahein hain apne saaye mein tera sath pa kar
meri hasti mein apni hasti ka vajood toh baata...!!!


Lovely one BD.....Nice topic
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #7 on: May 27, 2006, 10:43:55 PM »
Reply with quote
thanks BD JIand MK ji!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #8 on: June 03, 2006, 03:52:03 AM »
Reply with quote
Bhut hi khoobsurat rachna, MRK ji ...
Thanks Gaurav Winking


Pass ho har bhi tum pass nahi ho
Lekin har pal tumhein mehsoos kiye ja rahe hain

HaQiQat ho ya koi hasseen dhoka,yeh tum hi jano
Hum toh khushbo se teri,jiye jaa rahe hain

Dard-e-dil kaho ya kaho iss rishte ko khumar-e-ishq
Hum toh tere ehsaas se madhosh huye ja rahe hain

Apni hasti ka na ilam nahi mujhe,na hi koi manzil hai meri
Phir bhi apne vajood mein tumhein,shamil kiye jaa rahe hain...!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: June 03, 2006, 04:12:44 AM »
Reply with quote
bahut khub BD .............very nice...........

dekha nahi hai jisko maine kabhi
usi ne mera chein-o-qarar loota
uska vajood shamil hai kuch mujhe mein asie .
ki lagata hai mujhko sab jag jhootha.

uska yun aake kahwabo mein mil jaana
woh bholi se baate aur hasana hassaana.........
uski saanso ki sargam mein mera kho jaana
yeh sab mujhe kab laga hai jhootha

woh mere vajood mein shamil hai aise
ki apna vajood bhi mujhe lage hai rutha-rutha
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #10 on: June 03, 2006, 04:31:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khub BD.............very nice...........

dekha nahi hai jisko maine kabhi
usi ne mera chein-o-qarar loota
uska vajood shamil hai kuch mujhe mein asie .
ki lagata hai mujhko sab jag jhootha.

uska yun aake kahwabo mein mil jaana
woh bholi se baate aur hasana hassaana.........
uski saanso ki sargam mein mera kho jaana
yeh sab mujhe kab laga hai jhootha

woh mere vajood mein shamil hai aise
ki apna vajood bhi mujhe lage hai rutha-rutha


ranjana ji SUPERBBBBB ....

Lakhon reh-gujar nikale iss dil se
Lekin koi aapna mukam na bana paya

Doondne nikla jo main khuda ko  kabhi
Har raaste mein tere saaye ko sath paya

Jo dekha kabhi khawab toh tera dekha
Jo mangi kabhi dua ,toh tumhein chaha

Apni hasti mein tere vajood ka jikar kya karu
DIL ne toh,tere sajde mein aapna ser hai jhukaya...!!!
Logged
chitra
Guest
«Reply #11 on: June 03, 2006, 04:39:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "Burniing Desiires"

For SomeOne....

Is haseen dokhe pe yakeen main kar lu
mere intezar par apna aitbar toh jatah

yeh bharm na reh jaye ki akele hain jahan mein
jara mere kareeb aa kar apna ehsas toh dila

main tere dil ko tham lon tu mere dil ko tham le
tu apni deewangi ka mujhe manzar toh dikhla

thodi si jagah mangta hu tere anchal mein
mujhe apni shaqshiat se waqif toh kara

umar bhar seh leinge zakhm hazar,in do pal k liye
jara apne Qyamat se chehre ka deedar toh kara

Jhoom rahein hain apne saaye mein tera sath pa kar
meri hasti mein apni hasti ka vajood toh baata...!!!
 
 


BD JEE waqai....bahoot sundar....hai....!!! us khusnaseeb ka naam bhi bataa de is mahfil mein......jinke liye likha hai!!!

Door se hi mera jikar kiye jate ho
paas aa ke kabhi to sanam izhaar karo

kabse se aapke intzaar mein samne hoon
meri maujudgee ko kabhi to mahsoos karo
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: June 03, 2006, 04:45:13 AM »
Reply with quote
WAH!!!!! bahut khubsurat..........shukriya ............

na jaane meri in aankho ko kiski talash hai
jo bujhati  nahi hai  yeh na jaane kaisi payas hai

uske saath saath chal ke bhi usko na paaya
woh payar ka ek ehasas thaa ya thaa ek saya

tut ke chaha usko kuch is tarah maine
ki aaj apna vajood bhi lagta hai parya

maanga usko maine apni har dua mein
woh kyu mera ho ke bhi mera na ho paaya
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #13 on: June 03, 2006, 04:57:57 AM »
Reply with quote
Quote from: "chitra"

BD JEE waqai....bahoot sundar....hai....!!! us khusnaseeb ka naam bhi bataa de is mahfil mein......jinke liye likha hai!!!


ho chuka hu madhosh itna
aapke sawaal ka jawab kya du
mujhe mera naam toh yaad nahi
uska naam is mehfil mein kya lu...

Quote from: "chitra"

Door se hi mera jikar kiye jate ho
paas aa ke kabhi to sanam izhaar karo

kabse se aapke intzaar mein samne hoon
meri maujudgee ko kabhi to mahsoos karo


hosh nahi kuch toh lafzon se  kya izhar karein
ehsaas hai tumhara,tabhi toh har pal dil tumhe yaad kare
jo samjho tum  nigaho ki baasha,toh har jaaga khud ko paoge
har dhadkan se jude ho tum,isse kareeb aor kitna aaoge...!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #14 on: June 03, 2006, 05:03:11 AM »
Reply with quote
Tere Ishq me humne apna VAdooj mitaya hai......
Sukoon mile iss Dil ko isliye tujhse Pyar ladaya hai......

Bahut khoob BD Chitra and Rnju
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:00:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer