Valentine Ka Nazraana, Hope U All Like It,.

by Jaanasheen on February 12, 2008, 01:09:52 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3717 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #15 on: February 12, 2008, 03:17:20 PM »
Reply with quote
Bahhot Khoob Sis,.

Salaam Karna Wo Tera Hijaabon Mein,.
Hay Kho Gaye Humto Tere Khwaabon Mein,.

Aaana Wo Tera Chehre Ko Chupaakar,.
Manzar Ye Dekh Hum To Doob Gaye Azaabon Mein,.

Phoolon Ki Malika Ho Tum, Khushboo Ki Hawaa Ho,.
Rakh Liya Hai Chuppaakar Tumhe Dil Ke Kitaabon Mein,.

_____________________________________-Jaanasheen-


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~~~~~~ Valentine SMS ~~~~~~~~~~~~~ by aspn_love in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mera Aakhri Nazraana (for my jaadu, chiku, sweets){i miss u} by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
aaj ka nazraana..happy womens day... by hameeda in Occassion Specific Poetry
nazron ka nazraana de !!! by sarfira in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Pooja
Guest
«Reply #16 on: February 12, 2008, 03:25:56 PM »
Reply with quote
kaya kar rahe ho lil bro.... hummmm chalo ek aor koshish..

Khwabon mai wo tera akar satana
Jaan le leta hai khwab yah tera suhana

Muskurahat teri wo madham madham
Mere hatho per likh kar wo tera samjhana

Dekhte hue tujhe mera wo kitaab pardna
Aor tera akar, ulti kitab ko sidha karana

Khwabon mai wo tera akar satana
Jaan le leta hai khwab yah tera suhana
Logged
timy
Guest
«Reply #17 on: February 12, 2008, 05:27:34 PM »
Reply with quote
Bohat Heee Wadiya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: February 12, 2008, 05:29:17 PM »
Reply with quote
shukaria ji!!
Logged
mehhekkk
Guest
«Reply #19 on: February 12, 2008, 06:00:21 PM »
Reply with quote
bahut khub aafarin
ruk kane ke liye mat kehna
ke kal milne ka vada bhi wo karte to honge
zamane ke nigahon se dar lagta ho shayad
apni khamoshi se pyar ka ikarar karte to honge.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: February 13, 2008, 08:01:38 AM »
Reply with quote
Shukriya Didi,.
And Thank U Mehekk Ji Timy Ji,.

And Nice One Sisi And Mehekk Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #21 on: February 13, 2008, 08:09:48 AM »
Reply with quote
Jahaan Main Jaaoon Havaa Ka Wahin Ishaara Ho,.
Koi Nahi Jo Yahaan Muntazir Tumhaara Ho,.

Merii Bujhti Hui Aankhon Ko Raoshni Bakhshe,
Wo Phool Jo Tere Chehre Ka Ista'ara Ho,.

Chalaa Hoon Apni Hi Aavaaz-e-Baaz-Gasht Pe Yun,.
Kisi Ne Door Se Jaise Mujhe Pukaara Ho,.

Ganvaa Chuke Kai Umrein Ummeed-e-Vaar Tere,
Kahaan Tak Aur Teri Berukhi Gavaara Ho,.

Tu Paas Aate Hue Mujh Se Door Ho Jaaye,.
Ajab Nahi Ki Yahi Haadsaa Dubaara Ho,.

Nazar Farebi-e-Rang-e-Chaman Se Bach 'Makhmoor'
Jise Tu Phool Samajhle Kahi Sharaara Ho,.

____________________________-Makhmoor Saeedi-
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #22 on: February 13, 2008, 08:23:11 AM »
Reply with quote
wow Janasheen Pooja di n punam.. superb.. cool superb
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #23 on: February 13, 2008, 08:43:06 AM »
Reply with quote
e dost chehra to isliye chupata hai ki kahi aap dekhkar inkar na kar de,
mere ko chorhkar meri parosan se payaar na kar le
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: February 13, 2008, 09:44:44 AM »
Reply with quote
Shukriya Deepika Ji,.
and Majeed Bhai,.
Aap Bhi Kuch Likhte To achcha Lagta
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #25 on: February 13, 2008, 09:48:02 AM »
Reply with quote
are agar sabhi likhte to aapki shayari kon parhta,
agar ham hi na hote to aapki taarif kon karta,
chalo ab aapne kaha to hum bhi kuch likhte hai,
are saali kalam kaha gai..........................................
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: February 13, 2008, 10:03:25 AM »
Reply with quote
Romantic Shayari Specially For This Valentine

Barson ke Baad Dekha Hai Ek Shaks Dilruba Sa,.
Ab Zahan Mein Nahi Hai, Par Naam Tha Bhalaa Sa,.

Abroo Kheenche Kheenche Se, Aankhein Jhuki Jhuki Si,.
Baatein Ruki Ruki Si Lahjaa Thaka Thaka Sa,.

Alfaaz The Ke Jugnoo Awaaz Ke Safar Mein,.
Ban Jaaye Jungalon Mein Jis Tarah Raasta Sa,.

Khwaabon Mein KHwaab Uske Yaadon Mein Yaad Uski,.
Neendon Mein Ghul Gaya Ho Jaise Ke Raat Jagaa Sa,.

Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Mein,.
Wo Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Judaa Sa,.

Agli Mohabbaton ne Wo Na Muraadiyaan Di,.
Taaza Rafaqaton Se Dil Tha Daraa Daraa Sa,.

Kuch Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye,.
Kuch Zehar Mein Bujhaa Tha Ahbaab Ka Dilaa Sa,.

Phir YUn Hua Ke saawan Aankhon Mein Base The,.
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi THa Abaala Sa,.

Ab Sach Kahein To yaaron Hum Ko Khabar Nahi thi,.
Ban Jaayega Qayamat Ek Waqiya zara Sa,.

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti ke,.
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta THa Ashnaa Sa,.

Hum Dasht The Ke Dariya Hum Zehar The ke Amrit,.
Naahaq Tha Zonum Hum KO Jab Wo Nahi Tha Pyaasa,.

Humne Bhi Usko Dekha Ka Shaam Ittefaaqan,.
Apna Bhi Haal Hai Ab Logon "Faraaz" Ka sa,.

___________________________________-Ahemd Faraz-












Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: February 13, 2008, 10:19:03 AM »
Reply with quote
Shukriya Bhaijaan,.
Aur IntzaarRahega aapke Posting ka,.
Logged
punam
Guest
«Reply #28 on: February 13, 2008, 10:36:34 AM »
Reply with quote
sab ko sukriya...

Ye Dil Tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka Iqraar karna chahta hai

Jab se dekha hai Tum ko Ae Sanam!!
Bas Tumhara hi Dedaar karna chahta hai

Logon se sunte the Mohabbat ke Afsaane
Khuwaab Hum ne bhi dekhhe the Suhaane

Pyaar kya hai ? Hum aksar sochte the
Is Baat se Hum apne Dil ko rokte the

Lekin ab Tumhain is Dil main basa ker
Yeh Khata ek baar karna chahta hai

Yeh Dil Tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka Izhaar karna chahta hai...


By-unknown...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: February 13, 2008, 10:43:07 AM »
Reply with quote
Nice Sharing Again Yaar,.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:19:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer