..~~vo hawa ban kar jism mein behti jaati hai~~..

by HumTum on July 05, 2005, 08:50:46 AM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 5246 times)
HumTum
Guest
«Reply #15 on: July 07, 2005, 09:16:25 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
lol thanx nikki, aap humtum ji ne likha hi itna khoobsurat hai...jawab bina rehe nahin payi!  :D


hummm  Meena ji hummmm  :thumb:  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chali hay shaher mein kesi hawa udasi ki by bakwashayar in Shayri-E-Dard
badal jaati hai hawa bhi apana rukh!!! by ranjana in Shayri-E-Dard
JAISE YAKH BASTA HAWA HO KE THEHER JAATI HE by khalidrawat in Shayri for Khumar -e- Ishq
MUTHI MEIN BHAR KAR DHOOL, HAWA MEIN UCHAAL DI...... by khwahish in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
HumTum
Guest
«Reply #16 on: July 07, 2005, 09:22:40 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
welcum sis..........main bhi try karun...

aji humein to yaaqin tha aankhon se hi samajh jaoge
kya khabar thi hamare muh se sunana chahoge

humne to khayalon mein bhi tumhein basaya hai
hamare saath har dum chalne wala..
...aapka hi to saya hai


very nice written Choti !!!

mana ke muhhobat mein ankhoon se batien hoti hai
phir bhi dil mehboob ke andaaz e byaan ko trasta hai
usney basaya hai humey dil mein yeh jantey hai hum
phir bhi yeh dil uskey muhh se sunney ko tadpta hai !!  
Logged
HumTum
Guest
«Reply #17 on: July 07, 2005, 09:26:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "Tosha"
Quote from: "Meena"
Quote from: "HumTum"
Yun to har lamha uska hi deedar karta hoon,
use dekhne ki chahat fir bhi badti jaati hai.

Har saans ke saath uske aur kareeb ho jaata hoon,
vo hawa ban kar jism mein behti jaati hai.

Jidher bhi rukh karta hoon,udhar hi nikal padta hoon,
mere aashiyane se har raah uski dehliz tak jaati hai.

Zubaan hum bhi nahin kholte,kehte vo bhi kuchh nahin,
aankhon hi aankhon mein fir bhi bahot baatein ho jaati hain.

Ik pal ki judaai bhi ab bardasht nahin hoti,
ye tanhaai mujhe andar hi andar khaye jaati hai.


where r you jaan !!!


wahhhhhhhhhhhhh humtum ji!!!!!!!! bohot hi pyaral ikha apne!!!

tadapti rooh hai jo tujhko bulaye ja rahi hai,
pas nahin tum mere, yeh baat humko rulaye ja rahi hai,
madhosh aur bechain kar deta hai har tera khayal sanam,
uff pal bar ki judai tumse, hume sataye ja rahi hai!!!


wah wha..!!

Kaha ho Jaan!!! Winking


pta nhi Tosha ji ......

har gadhi har pal dil usko dhundta hai
ik woh hai ke jalwa apna dhikati nhi
janey kha chup ke baithi hai woh
pukar rha hoo usko samney aati nhi !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #18 on: July 07, 2005, 09:33:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
kya baat hai tum dono ki jodi ne tuh kayamat dai hai humpe.......

kaise kare byaan kya ho raha hai dil ko
na hume hosh hai na chain aa raha hai dil ko
ki pyar kitna hai besumar tumhe ek duje se
jaan ke intajaar apne mehbub ka ho raha hai dil ko


Shukriya Sandhaya ji ...  aur aap ka andaaz e byaan bhi to mashaah alaah bhoot khoob hai !! ab jisko aap bhula rhey ho bhala kasey reh payega woh bhi !!

ishq mein intzaar ka bhi ik alag hi nasha hai
jab dil mehboob se milney ko beqraar hota hai
dhundti hai nazarein bas ussi ko har traf
zahen o dil pe chaya ishq ka khumar hota hai !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #19 on: July 07, 2005, 09:52:20 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"

wahhhhhhhhhhhhh humtum ji!!!!!!!! bohot hi pyaral ikha apne!!!

tadapti rooh hai jo tujhko bulaye ja rahi hai,
pas nahin tum mere, yeh baat humko rulaye ja rahi hai,
madhosh aur bechain kar deta hai har tera khayal sanam,
uff pal bar ki judai tumse, hume sataye ja rahi hai!!!


Meena ....jiiiii bahot bahot Shukriya !! aur aap ne to ufff ufff wala likh ker qayamat hi dhaa di hai !! bahot hi khoob likha hai !! mein bhi kuch dil ke jazbaat pesh kerta hoon !!!

har pal har lamha mujhey kitna tadpati hai tu
jha bhi dekhta hoon mein, bas nazar aati hai tu
madhosh ker deti hai teri gram saansooN ki mehak
iss dil ko haseen dard de ker qahar dhati hai tu  
haye!! tadpta hoon pal pal tumhey chuuney ko "Meena"
hoke juda mujh se , kyun mujhey aajmati hai tu !!
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #20 on: July 07, 2005, 08:20:30 PM »
Reply with quote
hi, thanks for msg,,,,,
just wanna say hamne aapki apologize kabool ki,,,, actually am new here thats why i took serious  but now i know so dont worry next time i will understand,,,,

by the way nice shayr hum tum,
take care aur hamesha khush raho  

bye
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #21 on: July 08, 2005, 04:46:12 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
Quote from: "sandhaya"
kya baat hai tum dono ki jodi ne tuh kayamat dai hai humpe.......

kaise kare byaan kya ho raha hai dil ko
na hume hosh hai na chain aa raha hai dil ko
ki pyar kitna hai besumar tumhe ek duje se
jaan ke intajaar apne mehbub ka ho raha hai dil ko


Shukriya Sandhaya ji ...  aur aap ka andaaz e byaan bhi to mashaah alaah bhoot khoob hai !! ab jisko aap bhula rhey ho bhala kasey reh payega woh bhi !!

ishq mein intzaar ka bhi ik alag hi nasha hai
jab dil mehboob se milney ko beqraar hota hai
dhundti hai nazarein bas ussi ko har traf
zahen o dil pe chaya ishq ka khumar hota hai !!


sukhriya Humtum ji .............Aur reply tuh aapka bhi gajab ka hai ..............aur by the way sach much main jise bhulungi vo reh nahi payega................tuh ajmaish ke liye aapko hi bhula liya jaye haan ....kya khayal hai................................... :wink: .meena ji gabraiye mat main tuh bas majak kar rahi thi ............................agar bura lage tuh sorry ok.........

nasha hai ek  gehra jise log mahobaat kehte hai
ban jate hai diwane ashiqh bas mehbub se milne ko taraste hai
Logged
mubassir_ali
Guest
«Reply #22 on: July 08, 2005, 10:44:18 AM »
Reply with quote
Ashq bankar meri aankhon main chalkne waale,
Aansuon main tera deedaar to kar sakta hoon,
Jism majboor sahi rooh to majboor nahin,
Tughko pa sakta nahin pyar to kar sakta hoon....
      "MUBASSIR"
Logged
HumTum
Guest
«Reply #23 on: July 08, 2005, 12:19:46 PM »
Reply with quote
Quote from: "arzoo22"
hi, thanks for msg,,,,,
just wanna say hamne aapki apologize kabool ki,,,, actually am new here thats why i took serious  but now i know so dont worry next time i will understand,,,,

by the way nice shayr hum tum,
take care aur hamesha khush raho  

bye


:thumb:
Logged
thycreator
Guest
«Reply #24 on: July 09, 2005, 09:18:46 AM »
Reply with quote
Kya bat hai humtum...........bahut khoob........kisse bula rahe hoooooo.....nice every one else.....

Wo darti hai ki jamana uspe na tomhat ye lagaye,
Kare mujhse muhabbat wo aur ek ilzam sir aaye,
Kabhi samjha nahi paya usse ye bat choti si,
Dar ke ki jo muhabbat toh wo muhabbat na kehlaye
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #25 on: July 09, 2005, 10:57:49 AM »
Reply with quote
Mahobaat ka ijhar hum saare aam karte hai
haan tumpe bas tumpe hi hum tuh marte hai
tumhi ho jiske liye raat din aahe bharte hai
kya batayen tujhse ikrar ki khatir kitna tadhpte hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #26 on: July 09, 2005, 11:06:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "HumTum"
Quote from: "sandhaya"
kya baat hai tum dono ki jodi ne tuh kayamat dai hai humpe.......

kaise kare byaan kya ho raha hai dil ko
na hume hosh hai na chain aa raha hai dil ko
ki pyar kitna hai besumar tumhe ek duje se
jaan ke intajaar apne mehbub ka ho raha hai dil ko


Shukriya Sandhaya ji ...  aur aap ka andaaz e byaan bhi to mashaah alaah bhoot khoob hai !! ab jisko aap bhula rhey ho bhala kasey reh payega woh bhi !!

ishq mein intzaar ka bhi ik alag hi nasha hai
jab dil mehboob se milney ko beqraar hota hai
dhundti hai nazarein bas ussi ko har traf
zahen o dil pe chaya ishq ka khumar hota hai !!


sukhriya Humtum ji .............Aur reply tuh aapka bhi gajab ka hai ..............aur by the way sach much main jise bhulungi vo reh nahi payega................tuh ajmaish ke liye aapko hi bhula liya jaye haan ....kya khayal hai................................... :wink: .meena ji gabraiye mat main tuh bas majak kar rahi thi ............................agar bura lage tuh sorry ok.........

nasha hai ek  gehra jise log mahobaat kehte hai
ban jate hai diwane ashiqh bas mehbub se milne ko taraste hai


lolllllllll gud one sandhaya ji....aur azmaish karne me kya jata hai...just try aur han dont worry mind nahin hai mere pas to mind kasie karongi  :wink:

bulaoge tum une to tumare pas bhi chale ayenge,
aise nahin sanam mere, woh tume bhi hasayenge!  :wink:
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #27 on: July 09, 2005, 12:11:12 PM »
Reply with quote
sukhriya Meena ji mujhe ijaajat dene ke liye .........lekin main aisa kuch nahi karungi bas .......majak main keh diya ........aur rahi mind ki baat tuh aapme tuh vo besumaar hai bina mind ke itni khubsurat nazme nahi likhi jati .........

tera dildaar hai vo tujhe pyara hai ......
hum tuh bhulayenge use hi bas jo humara hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #28 on: July 09, 2005, 03:12:01 PM »
Reply with quote
lolllllll sandhaya ji...aap to serious hogayi...arre yaar sab chalta hai... mai sirf mazak karti hoon na!

jaldi hi milega tujhe woh jo tera hai,
phir hoga angan me tere kushiyon ka dhera hai,
pyar me har gum bhul jaoge tum bhi "sandhaya"
aisa vishwas yeh mera hai!!!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #29 on: July 13, 2005, 06:30:55 AM »
Reply with quote
are main bhi majak hi kar rahi hun .....meena ji ............dont worry ..ok

Tere vishwas ke sahare hum dil ki baaji khel gaye
abh kya hota hai dekha jayega hum ishq main dil haar gaye
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:22:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer