Wafa Nahi to Jafaa HI sahi

by Abul Asad on December 06, 2011, 08:19:18 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1555 times)
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
Reply with quote
Wafa nahin to jafaa hi sahi ,
Rahe koi to rabta tum se sahi

Bhale hum se baat na karen kabhi,  
Mukhatib humse teri nafrat  hi sahi

Izhar-e pyaar na karo to na sahi
Izhaar- e ulfat to tum karogi sahi

Guftagoo mein na hamein laao kanhi
Khayalon mein tumhare to rahenge sahi

Dooriyan hamse rahen to younhi sahi
Chahogi mujhe to tum hamesha sahi

Kehti ho chale jaaogi mujhse door kanhi
Wanha bhi hum yaad aayen to kya karogi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aajo Ki Doorie Abb Sahi Nahi Jaati..By SK by Shayaries_King in Ghazals
Sahi Nahi Jaati Ab Unki Ye Judaai by mohd imran in Shayri for Dard -e- Judai
Tu nahi to teri yade sahi by friendsforever in Shayeri for Dard -e- Bewafai
wafa na sahi bewafai milti hai by roushan in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tu nahi toh Teri preet hi sahi. by Tavleensingh in Share:Devotional Poetry
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #1 on: December 07, 2011, 06:44:24 AM »
Reply with quote
Shihab Saheb,

Bahut shukriya, aap ki dad ka, mamnun hain hum aapke. Ye mulaqaton ka silsila jaari rakhiye.

Kam milte hain dil wale
Aur bhi kam jo Khadardaan hon
Phir aap jaise daad wale
Dilaziz aur dilkhush hain

Meri koi bhi ghalati ho to islah talab hoon, bejhihak islah kejiye.

dua goon
Abul Asad
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #2 on: December 07, 2011, 06:59:51 AM »
Reply with quote
Shihab Saheb,

Aap jaise dad dene wale hote hain bahut kam
ji, beshak silsila jaari rehna chahiye.

Ta umr mein talib rahunga, mera kiya muqam hai?
Aik mamuli sa insaan hi hoon, ghalitiyon ka bhandar hoon.
Aap jaise doston aur rahgaron ki duaon ka muhtaj hoon.

yeh dil se kehta hoon jab bhi chahiye islah kijeye.
Aap ke alfazon mein muhabbat ki mithas hai
main kabhi inhe bura nahin manunga.

Du'a goo
Abul Asad

Logged
khujli
Guest
«Reply #3 on: December 07, 2011, 10:00:44 AM »
Reply with quote
Wafa nahin to jafaa hi sahi ,
Rahe koi to rabta tum se sahi

Bhale hum se baat na karen kabhi, 
Mukhatib humse teri nafrat  hi sahi

Izhar-e pyaar na karo to na sahi
Izhaar- e ulfat to tum karogi sahi

Guftagoo mein na hamein laao kanhi
Khayalon mein tumhare to rahenge sahi

Dooriyan hamse rahen to younhi sahi
Chahogi mujhe to tum hamesha sahi

Kehti ho chale jaaogi mujhse door kanhi
Wanha bhi hum yaad aayen to kya karogi



 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause love9 love9 love9 love9 love9 Embarrased Embarrased Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #4 on: December 07, 2011, 09:38:59 PM »
Reply with quote
Qalb saheb,

Muhabaton ka shukriya, aap ki inayat aur khulusi ka bhi mashkur hun main.

Abul Asad
Logged
tamihayat
Guest
«Reply #5 on: December 11, 2011, 07:25:59 AM »
Reply with quote
Buhat kh0ob..
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #6 on: December 11, 2011, 08:23:18 AM »
Reply with quote
Tamihayat Saheb,

Tasleem o Adaab, aap ka behad shukriya aapne apne qeemti waqt se kuch
hissa hamari dad dene mein lagaya.
Yeh ham kalami ka silsila jari rakhiye, yeh mohabbaton ki qurbat abad rakhiye.


Dau goo
Abul Asad
Logged
tamihayat
Guest
«Reply #7 on: December 15, 2011, 08:47:58 AM »
Reply with quote
Asalam0Alaikum janab.. Ap buhat acha likhte hai hume b buhat shauk hai shairay ka.. Hum bi khud ki shairay likhna buhat pasnd.. Hume thodi help chaiye thi apse gar ap apne keemti waqt me se th0da humare liye nikale..
Tamanna hayat.. Urf tamihayat.. 
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #8 on: December 16, 2011, 09:50:31 AM »
Reply with quote
Asalam0Alaikum janab.. Ap buhat acha likhte hai hume b buhat shauk hai shairay ka.. Hum bi khud ki shairay likhna buhat pasnd.. Hume thodi help chaiye thi apse gar ap apne keemti waqt me se th0da humare liye nikale..
Tamanna hayat.. Urf tamihayat.. 

Tamihayat saheb,


Maazartkhwaan hoon ke maine aap ka yeh post dair se padha, Aap ne jo kuch kehna ho kehdijiye, aur kehiye ke mein kis khadar aap ki khidmat karsakta hoon?

Koshish karonga agar meri aghazi samajh ke dayare mein aap ke liye jo bhi hosakega zaroor karonga, Inshallah. Magar aap se
yeh bhi saaf kehdonga agar meri hudood se bahar ho.


Hukum kijeye janaab

Dua Goo
Abul Asad
Logged
tamihayat
Guest
«Reply #9 on: December 19, 2011, 06:40:09 AM »
Reply with quote
Asalam0Alaikum buhat shukriya apne apne keemti waqt nikale hai khair mai apni khud ki shairy likhti hun 2 ya 3 line ki poetry nai likhti.. mujhe ye janna tha ke apni shairay kahan p0st karna hai k aur apni signature shairay kahan p0st karni hai jawab ki umeed badi meherbani h0gi ..dua me yad rakhe
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #10 on: December 19, 2011, 01:59:10 PM »
Reply with quote
Wa Alaikum Salaam,
Tamihayat,

Aapka bahut shukriya aap hamen is qabil samjhin ke koi sawal ham se aap poch saken, Kuch alfaz aapke jawab talab the, to main bade ehteraam aur daleel ke saath yeh darz kar-raha hoon.

Yeh ghaur-e-nazr karne wali baat hai keh  shayari ya sher 2 line ke hon ya 3 line ki, apne aap men har sher aik mukammil shayari hoti hai. Issay koi aur sher ki zarorat nahi hoti puri shayari ban-ne ke liye, Haan agar che woh ghazal ho, ya nazm, ya khasidah, ya phir qawwali ho, to phir usske apne kuch usool hote hain. (Iski daleel: "Aaina-e Ghazal agar aap pardhengi, jo aik Khazana hai, har Ghazal ke chahne wale ke liye, aur aik dictionary/kitab hai jiss me usool-e ghazal par aik bahut hi acha topic likha gaya hai).

Phir agar aap yeh kehna chahti hain ke aap kuch zyada asharon ki shayari likhti hain, to achi baat hai, Allah aapki qalam mein aur barakat de.

Raha sawaal yanhan par post karne ka, to yeh asaan si baat hai, aap upar ki taraf kuch gundiyan (buttons) dekh-rahi hain, usme se aik button hai- "Submit Poetry" ka usse click kigeye, aur phir apni shayari darz kijeye, Uski heading mein aapne uska sahi mauzo (topic) select karna hai, aur phir apki likhat khatam hone par, Text box ke neeche aik post ka button hai post kijeye.

Tamihayat, agar apka sawaal samajhne men ya aap ke dil ko dukhaya ho hamare alfazon se, ya hamse ghalati hovi ho, to ham muafi talab hain apse. Aap iss sawaal ko dobara saaf alfaz men darz kijeye. Hum dubara jawaab dene ki koshish karenge.

Dua Goo
Abul Asad

Logged
tamihayat
Guest
«Reply #11 on: January 02, 2012, 09:26:04 PM »
Reply with quote
Asalam0Alaikum kaise hai ap s0rry late reply ke liye darasal mai th0da busy thi apne exams me.. Apka buhat buhat shukriya madad ke liye Allah apko iska ajar de.. AMEEN..
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #12 on: January 02, 2012, 10:11:20 PM »
Reply with quote
Tamihayat,

Aap ke poochne ka shukriya, ji main acha hoon, umeed hai apbhi achi hongi
aap ke naik alfazon ka bhi shukriya.

Allah Aap ke ilm me izafa kare aur aapko har qism ki kamiyabi ata farmaye
Ameen.

Dua Goo
Abul Asad
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:50:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer