===== Wafa ==========

by BeNam on January 12, 2006, 07:20:29 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 29
ReplyPrint
Author  (Read 19808 times)
BeNam
Guest
Reply with quote
Mahobbat ka dava karate hai duniya wale,
Wafa ka daman thamate hai bahot kum dilwale!

Hum nahi jatate ki mahobbat hai tumase,
Tumhi jaan lo kya kahena hai dil ko dil se!

Hum bhi rah-e-mahobbat main jaan lutayenge,
Jab tak hai zinda tera naam dil se na mitayenge!

Ashkon se mere chalakata hai wafa ka samandar,
Her lehar uthati hai tujhe pane ka arman lekar!

----Benam----
Banda majboor hai mahobbat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wafa by ishika gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
wafa by sem in Shairy-E-Watan
wafa by sem in Shairy-E-Watan
wafa by AkeleHum in Shayri-E-Dard
WAFA by budhu_1 in Shayri-E-Dard
tushar_4u_im
Guest
«Reply #1 on: January 12, 2006, 07:59:55 AM »
Reply with quote
kaun kehta hai is dard e dil me wafa baki nahi .....

kaun kehta hai tu hamara nahi humara sathi nahi ..

kaun kehta hai k tujhme bhi wafa baki nahi .....

hum to kehtew hai her manzil ka rasta wafa hai ....

humto kehte hai her dariya ka kinara wafa hai....

kerti hai zindgi bewafai to bewafai nahi wo kerti hai maut se bhi pyar ........

maan tu is batt ko chahe ya ker inkaar......

pata nahi kyu magar ye maine likh diya
Logged
BeNam
Guest
«Reply #2 on: January 12, 2006, 10:17:45 AM »
Reply with quote
Mahobbat ke safar main rahi akela nahi chalta wafa sath hoti hai,
Jo na mil paye mahobbat main wafa, zindagi khun ke asun roti hai!

Abad hai woh mahobbat jisme wafa ki jawani hai,
Na ho jo wafa ishq main toh fana yeh zindagani hai!

Ek muddat hui usey dekhe per aaj bhi dil main usiki surat hai,
Yeh koi kahani nahi, yeh toh mere dil ko uski mahobbat ki zarurat hai!

Jo junoo na ban jaye toh mahobbat nahi rang lati,
Waqt koshish kar ke dekh chuka Mahobbat nahi mar pati!

===Benam====
Banda Majboor hai mahobbat main teri,
Warna Jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #3 on: January 12, 2006, 01:43:00 PM »
Reply with quote
bahut khoob benaam ji!!!!!!!!!1
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: January 12, 2006, 05:46:40 PM »
Reply with quote
Tujse juda, mere bhi khayalaat nahi
kaya samjhy koi, huye kaya kaya halaat nahi

Mohabbat, dil aor ahsaas ki saari baaty
Wafa, Payaar aor zazbaat ki barsaaty

Wada wo wapis laut kar anne ka
Na likhana koi bhi khat
Aor kaam ka bahana banane ka

Jao na ab in baato main hum ayegy
Na sunegy kuch, na hi kuch sunayegy

Jaanty hay wo, unse juda bhi hum na rah payegy
Inhi baato ka fayda, dekhana wo phir se uthayegy!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #5 on: January 12, 2006, 06:43:42 PM »
Reply with quote
Ahsaan hai tera dil par ,
ke ishq toone sikhaaya,

Doondha kayi baar dil ko ,
dariya -e- gum hi paaya

Lutaaya kayi baar is dilko ,
humne teri khaatir,

Rang teri wafa ka mere ,
ashko mein nazar aaya

Hoti hai band saanse ,
na hoga shikva kisiko

Samjhenge wo ke unko,
 koi khwaab bura aaya ..........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: January 13, 2006, 07:33:53 PM »
Reply with quote
Suna Tha Waqt Marham Hai,Her Zakham Bhula Deta Hai
Her Guzra Lamha Hum Ko To,Ek Zakham Naya Deta Hai.
   
  Raat Ki Rani Hai Yaa Teri Yaadoon Ki Khushboo
Kuch To Hai,Jo Aangan Mere Ehsaas Ka Mehka Deta Hai.
   
  Ger Terey Khayaalon Mein Kho Kar,Neend Aah Bhi Jaye
Ah Ker Khawaboon Mein,Tera Tassawur,Hum Ko Jaga Deta Hai.
   
  Khush Hote Hain Tassawur Mein Tumain Qareeb Dekh Kar
Shayed Mil Na Paye Hum,Yeh Khadsha Sehma Deta Hai.
   
  Dil Bahot Nazuk Hai,Ghum Se Bhar na Aaye Kiyuo
Pather Pe Chott Lage To Woh Bhi Saza Deta Hai.
   
  Dushman Hai Zamana Mohabbat Karne Walun Ka Azal Se
In Dooriyoon, Judaiyoon Ka Ehsaas Rula Deta Hai.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #7 on: January 13, 2006, 11:15:52 PM »
Reply with quote
Too good all of you !

Rajbir
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #8 on: January 14, 2006, 12:37:32 PM »
Reply with quote
kya baat hai pooja ji bahut khoob!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #9 on: January 14, 2006, 12:52:08 PM »
Reply with quote
Beech mein hum bethein hain,
Aas paas yeh bikhare sapne hain,
Ikk sapna utha kar qaid jo karne lage is dil mein,
Bole yeh khwaab k hum to basein hain tere mann  mein,
Khwaabon ne is dil mein jinke liye mehak failaayi hai,
Kab aayenge dil mein woh bus yahi ikk aas lagayi hai!!!!!!

Gesu's sapne yahi to hai apne!!!!!!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #10 on: January 22, 2006, 07:59:14 PM »
Reply with quote
Waqt ne her waqt ek naya julm dhaya hai,
Mahobbat main unki wafa ka rang nazar aya hai!
Her sitam tera hum has kar sahe jayenge,
Magar hamari wafa per tohmat na sah payenge!

-- Benam ---
Banda Majboor hai mahobbat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #11 on: January 22, 2006, 11:32:19 PM »
Reply with quote
benam vry nice!!!
wafa humne karna chaha
tumko hasil karna chaha
teri zindagi bankar rehna chaha
par humne un majbooriyan ko na chaha
jinne humko alag karna chaha
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #12 on: January 22, 2006, 11:38:42 PM »
Reply with quote
Bahut achche gesu, anjani_si and BeNam bhai...

BeNam kahan rehte ho...

Zara jaldi aaya karo... Miss your beautiful shayari bro... :D

Rajbir
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: January 23, 2006, 05:34:36 AM »
Reply with quote
Tohamat nahi maine koi lagai hai
Jo beeti hai dil per, wo hi to sunaai hai
Ikraar tera Eid ka chand saath laai hai
dekh kar tuje, yah ankh jhilmilaai hai!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #14 on: January 23, 2006, 09:44:24 AM »
Reply with quote
Kya jawaab diya hai Pooja... :D

Rajbir
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 29
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:47:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer