===== Wafa ==========

by BeNam on January 12, 2006, 07:20:29 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 29
ReplyPrint
Author  (Read 19657 times)
Naya_Daur
Guest
«Reply #15 on: January 23, 2006, 11:37:56 AM »
Reply with quote
Barbad kar gaye woh zindgi pyar k naam pe,
bewafai mil gayi wafa ke inaam pe,

zakhm hi zakhm de gaye dawa k naam pe,
khuda bhi ro pade meri mohabat k anjaam pe.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wafa by ishika gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
wafa by sem in Shairy-E-Watan
wafa by sem in Shairy-E-Watan
wafa by AkeleHum in Shayri-E-Dard
WAFA by budhu_1 in Shayri-E-Dard
Naya_Daur
Guest
«Reply #16 on: January 23, 2006, 05:36:15 PM »
Reply with quote
Wafa ka yehi sila hai, to koi baat nahi
Ye dard gar tumne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho saahil se
Safina doob raha hai koi baat nahi
Logged
BeNam
Guest
«Reply #17 on: January 24, 2006, 02:46:59 AM »
Reply with quote
Kya baat  hai burning desires aap ki shayari toh dil per dastak deti hai!

Bahot achhe Poojaji! Well said Anjani_si ji!

reply to your posting Anjani si ....

teri chahat ke intazaar main, umra guzar di maine,
na jane kab anjane hi, tujase pyaar kiya maine,
ek nahi kain baar izahar-e-dil karna chahe maine,
kabhi duniya ke dar se kabhi khone ke dar se hale dil chupa liya maine!

Wafa kiye jate hain hum unse jinse wafa ki aas nahi,
Aaj bhi mahobat hai dil main uski jiske hum paas nahi!

reply to your posting Burning desire.....

Wafa ka sila wafa hi mile yeh koi zaruri toh nahi,
Jise hum chahe woh bhi humi ko chahe koi zaruri toh nahi,
Her lamha jiska intazar kiya woh lamha aye koi zaruri toh nahi,
Khuda her murad dil ki puri kare koi zaruri toh nahi!

Poojaji aapke jawab main....

Dil ki baton ko sare aam bayan karate hain woh,
Meri mahobat ko sare aam rusava karate hai woh,
kabhi jo na likh paye hale dil apana toh ruth baithe hai woh,
hamari chupki ko bewafai ka naam de baithe hai woh!

---BENAM----
Banda majboor hai mahobat main teri,
Warna jhukana nahi hai fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: January 24, 2006, 03:11:00 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob BeNam ji!!

Tere bin, teri khamoshi muje tarpaati hai
Tu kaya jaane, kaya kaya yaad dilaati hai
ruth kar apse, khud ki hi jaan jaati hai
kiye thy jo apne waade wo yaad dilati hai!!!

jhalak teri dekh kar, dil khol bathi main
dil mai tha jo, bekhoff bol bathi main
jaaty waqat jo sunana chaha tumne
pardein ki arr mai, wo bol bathi main!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #19 on: January 24, 2006, 03:36:07 AM »
Reply with quote
sukriya BeNaam!!!

Har dhadkan mein ek raaz hota hai,
Har baat ko batane ka ek andaz hota hai,

Jab tak thokar na lage bewafai ki,
Har kisi ko apne pyar par naaz hota hai.
Logged
BeNam
Guest
«Reply #20 on: January 24, 2006, 03:36:54 AM »
Reply with quote
Bahot achhe Poojaji!

Pahele bhi kaha tha aaj fir dohrata hun main,
Guzara waqt nahi jo na laut paun main,
Dil ne jab bhi pukara hai tere dauda aya hun main,
teri mahobbat main ek umra ji aya hun main!

--- Benam ---
Banda Majboor hai mahobat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #21 on: January 24, 2006, 08:13:11 AM »
Reply with quote
Hume bhi pyar karne ka khayaal aaya,
Jab bhi yeh khayaal aaya, Khud ko akela paaya.

Dhundte rahe is duniya mein hamsafar,
Kisi ko dhokebaaz kisi ko bewafa paaya....
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #22 on: January 24, 2006, 08:15:47 AM »
Reply with quote
tujhse hue mukhatib hum is jahan me kahi ....

us pal us din ko hum bhulai kaise........

karte rahe charche tere husn k her jagah........

teri tasvir ko hum dil se mitai kaise........
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #23 on: January 24, 2006, 08:16:57 AM »
Reply with quote
Wah wah wah.... :D

Pooja, BeNam and Jeet...Bahut hi khoobsurat !

Aaj to Khumar-e-Ishq ne phir se Husn aur Ishq ka
ek saath didaar kiya hai...

Ab rukna nahi...

Rajbir
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #24 on: January 24, 2006, 08:38:30 AM »
Reply with quote
Khud ki Mohabbat tabah kaun karega.
Sabhi nek benenge to gunah kaun karega.

Ae khuda Sanam Bewafa ko bachaye rakhna
warna hamari maut ki dua kaun karega...
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #25 on: January 24, 2006, 01:12:28 PM »
Reply with quote
wowwww ..... dis is really nice thread ... sab ne bahut acha likha hai .....  esp .... Pooja ji !!

ik ghazal likh raha hoonn najane kahan tak pohanche
'ae kash! dard-e-dil ke darman tak pohanche

soch raha hun kabhi to us ko khabar ho
kabhi to haal-e-dil us meharban tak pohanche

main aah bhi karun to chokhat se laut aaye
us ki her ik baat aasmaan tak pohanche

raaste mujhe bhatka do, meri manzilain bhi cheen lo
bas wo rah dikhe jo us ke aastan tak pohanche

muddat hui hai wo alfaaz dhundta raha hoon mein
jo dil ki kahain aur dard ke bayaan tak pohanche

tarikyon main jhankte angint sanatay
ye sisilay zabt ke imtihaan tak pohanche  !!!


:D
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #26 on: January 24, 2006, 01:21:43 PM »
Reply with quote
Wah HumTum...

Aap bhi aa gaye... :D
Bas aap he ki kami khal rahi thee yahan par !

Abhi kuch aur dost bhi aate honge...

Rajbir
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #27 on: January 24, 2006, 06:01:32 PM »
Reply with quote
bhut badiya humtum
n thnks rajbir for appreciating


Wafa maangi to bewafai mili,
mehfil maangi to tanhai mili,

jab unhe maanga to woh bhi na mile,
bin maange unki judai mili.
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #28 on: January 24, 2006, 06:23:26 PM »
Reply with quote
huntum ji yeh appke liye,, not mine kissi ne email kiya tha

Seeney me dil

Dil me dard

Dard me Nasha

Nashe me Mithas

Mithas me Umid

Umid me Yaqeen

Yaqeen me Khayal

Khayal me Tasveer

Tasveer me" HUM AUR TUM''....
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #29 on: January 24, 2006, 11:05:43 PM »
Reply with quote
burning cute......
dil mein dard hai
ankhoin mein nami hai
dil mein baas apphi ki yaad hai!!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 29
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:50:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer