===== Wafa ==========

by BeNam on January 12, 2006, 07:20:29 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 29
ReplyPrint
Author  (Read 19816 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: January 25, 2006, 04:30:43 AM »
Reply with quote
Wafa ke naam per, kaisa kaisa waqat dikhaya hai
Apni chupi ko bhi muhabaat ka naam bataya hai
Dil unka dekhao kaise pathar ka ho chukka hai
Hamare ansoo ko bhi apni ruswaai bataya hai!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wafa by ishika gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
wafa by sem in Shairy-E-Watan
wafa by sem in Shairy-E-Watan
wafa by AkeleHum in Shayri-E-Dard
WAFA by budhu_1 in Shayri-E-Dard
BeNam
Guest
«Reply #31 on: January 25, 2006, 04:31:25 AM »
Reply with quote
Bahot achhe every one!

Ek sher arz hai not mine :

Main akela hi chala tha manzil ki khoj main,
Humsafar milate gaye, karvan banta gaya!

woh daman main sir chhupa ke rote rahe,
Hum na sun paye woh hale dil kahete rahe,
Aaj kuch na kahe kar woh bahot kuchh kah gaye,
Hume apani mahobbat ka jannu dekhate gaye!

--- Benam ----
Banda majboor hai mahobat main teri,
warna jhukana nahi hai fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: January 25, 2006, 04:50:30 AM »
Reply with quote
E-mere hum-nawaj, kaya tujko bhi hai ehsaas
Chali hai jo yah hawa, kahan le jai kise pata
Ajeeb si yah dorr hai, chalta nahi dil per koi jor hai
Khamoshi main hu sun rahi, kaisa yah shor hai!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #33 on: January 25, 2006, 09:44:03 AM »
Reply with quote
Bharosa kiya tha unki wafaon par,
lekin woh humko tanha shor gaye,

dil diya tha unhe apna samajkar,
jaate-2 woh use bhi tor gaye.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #34 on: January 25, 2006, 09:55:05 AM »
Reply with quote
Wah wah wah .... :D

Pooja, Anjani, Benam and Jeet...

Bahut khoob dosto...

Rajbir
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #35 on: January 25, 2006, 10:45:32 AM »
Reply with quote
hummm nice everyone !!!

woh hameshah humein auron se juda kahte the
jhuth kahte the magar pyaar bhara kahte the

woh jawaani ke zamane the ke nadan the hum
un dino hum bhi kisey but ko khuda kahte the

kal koi saath na tha, aaj bhi tanha hain hum
woh kahan hain jo har ik din ko naya kahte the !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #36 on: January 25, 2006, 10:49:36 AM »
Reply with quote
Quote from: "burniing_desiires"
huntum ji yeh appke liye,, not mine kissi ne email kiya tha

Seeney me dil

Dil me dard

Dard me Nasha

Nashe me Mithas

Mithas me Umid

Umid me Yaqeen

Yaqeen me Khayal

Khayal me Tasveer

Tasveer me" HUM AUR TUM''....


That is so nice ... Thanks dude :D


"Hum Aur Tum ka jevan bhar ka nata hai
Tum ke Bina Hum suna nazar aata hai"
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #37 on: January 25, 2006, 06:58:52 PM »
Reply with quote
Sochta hu in sagar ki lehron ko dekh kar,
 kyon yeh kinare se takra kar laut jati hai,
karti hai kinare se bewafai ya
sagar se wafa nibhati hai

(nm)
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #38 on: January 25, 2006, 07:10:30 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum is back"

"Hum Aur Tum ka jevan bhar ka nata hai
Tum ke Bina Hum suna nazar aata hai"


thnks

Na Milne Ki Khushi,
Na Judai Ka Gam,
Na Udas Na Tanha Hai Hum,
Kaise Kahe Kaise Hai Hum,
Bas Itna Samajh Lijiye,
TUM
hare Bina Bahut Akele Hai Hum!!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #39 on: January 25, 2006, 09:48:22 PM »
Reply with quote
tujhe se milne se pehla
tujhe dekhne se pehla
tujhe pane se phela
meri zindagi mein ho tum abb sab se pehla
Logged
s_singh0354
Guest
«Reply #40 on: January 25, 2006, 10:06:03 PM »
Reply with quote
Quote from: "BeNam"
Mahobbat ke safar main rahi akela nahi chalta wafa sath hoti hai,
Jo na mil paye mahobbat main wafa, zindagi khun ke asun roti hai!

Abad hai woh mahobbat jisme wafa ki jawani hai,
Na ho jo wafa ishq main toh fana yeh zindagani hai!

Ek muddat hui usey dekhe per aaj bhi dil main usiki surat hai,
Yeh koi kahani nahi, yeh toh mere dil ko uski mahobbat ki zarurat hai!

Jo junoo na ban jaye toh mahobbat nahi rang lati,
Waqt koshish kar ke dekh chuka Mahobbat nahi mar pati!

===Benam====
Banda Majboor hai mahobbat main teri,
Warna Jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #41 on: January 25, 2006, 11:30:00 PM »
Reply with quote
Dekh kar tera husn main usko bhul gaya,
Bandagi kar raha tha uski, zaban per tera naam aa gaya,
Khata meri nahi, janata hai woh khuda,
Main fir bhi insan hun, farishton ka mann dol gaya!

Kuch aur nahi chahata hun ab toh rab se,
Mujhe teri wafa mil gayi hai jab se,
Fir koi deewana na ho jaye is husn pe,
Aa bahon main chupa lun tujhe, nazaron se sab ke!

Yunhi tum milati raho,
Yunhi tum muskurati raho,
Rahe mahobat main manzile bahot hain,
Yunhi tum wafa nibhati raho!

-- Benam --
Banda majbur hai mahobat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: January 26, 2006, 03:47:15 AM »
Reply with quote
Wah ajj Ishaq ko husan ki yaad aai hai
Kaya kahe ab, beety waqat ki gawahi hai
Berahmi Ishaq ki husan ne bare naajo se uthai hi
Shikayat bhi kari to, ho gai ruswaai hai!!

Naam laker khuda ka, kaya baat banai hai
Farishto ka bhi liya sahara, kari duhai hai
Wafa hamari mai kabhi koi  kami na ayegi
Yah zindagi teri hi chahat mai jayegi!!

Bahon mai bhi yah husan na ayega
Ishaq ki baato se ab dhoka na khayega
Husan ko jo itna tarpaaya hai
Ussi ki saja mai yah pegaam sunaya hai!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #43 on: January 26, 2006, 06:37:35 AM »
Reply with quote
Pooja, BeNam, HumTum, anjani_si aur Jeet...

Kya khoob Ishq aur Husn par aap sab ne likha hai

Badhe chalo mere dosto... :D

Rajbir
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #44 on: January 26, 2006, 03:58:35 PM »
Reply with quote
waah waah ... kya hunaraai hai ..ke ab to jaan pe ban aayi hai .... miyyaan ... husan aur ishq dono ki;)  waah re husan tera kya kehna tum pe mar na jaye hum to kehna !!! baat husn ki ho rhi hai ... to Miyaan HumTum kaseey peechey rhengey .... to lijiye kuch pesh e kidmat hai !!!


Tabaai hai husn yeh, chaanda sa chehra tera
Meri aqal ke darwaazon pe ab hai pardaah tera

Kucheey ko tere chod kar jogi bhi ban jaye magar
Jangal tere, parvat tere, basti teri, shehra tera

'E shamaa sun zra, tujh ko roshn karne ko
Jal rha hai mad'dam mad'dam dekh parwanaa tera

Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 29
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:19:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer