Waqt ki Vaaredaat Dil jaane

by Ghulam Haider on October 08, 2008, 10:10:05 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1113 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Waqt ki vaaredaat dil jaane.
Sadma e haadesaat dil jaane.

Sab se yaksaaN kabhi nahiN milta,
Kis meN kya haiN sifaat dil jaane.

Aise seene meN shor karta hai,
Jaise ulfat ki baat dil jaane.

Apne ehsaas ki nigaahoN se,
Kya hai ye kaayenaat dil jaane.

Thi bohot khush guzaar us ke saath,
Ab ye kya hai hayaat dil jaane.

Woh gaya chhoR kar hameN "Haider",
Kaise guzri hai raat dil jaane.


REPEATED
-abd bundeli (Moderator)
Logged
diya786
Guest
«Reply #1 on: October 08, 2008, 10:21:30 AM »
Reply with quote
Bahut accha likha hai Haidar sahab
maine bhi koshish ki hai jawab likhne ki Applause

Is dil par kiye jo sitam tumne
woh bas mera dil jaane

Hai kya mere muqaddar mein
yeh bas mera khuda jaane
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: October 08, 2008, 11:00:43 AM »
Reply with quote
wow very good lines Haider ji... and nice reply diya dear   Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #3 on: October 08, 2008, 02:21:28 PM »
Reply with quote
wow very good lines Haider ji... and nice reply diya dear   Applause
Aap bohot mehrbaan haiN haqeer par, ye to aap ki mohabbat hai ke jis ne khana e dil meN shor machana shuroo kar diya hai.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: October 08, 2008, 02:28:29 PM »
Reply with quote
Bahut accha likha hai Haidar sahab
maine bhi koshish ki hai jawab likhne ki Applause

Is dil par kiye jo sitam tumne
woh bas mera dil jaane

Hai kya mere muqaddar mein
yeh bas mera khuda jaane

Bohot pyara khayaal hai. Lekin aap ko to koi aisi ghazal likhni chahiye jis se kuchh pyaar mohabbat zahir ho ye shikayat,.. kya baat hai? Is se dard e dil zaahir ho raha hai aour kuchh udaasi.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: October 08, 2008, 03:59:09 PM »
Reply with quote
Bohat khoob achcha likha hai aapne Haider ji... Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: October 08, 2008, 04:44:47 PM »
Reply with quote
Bohat khoob achcha likha hai aapne Haider ji... Applause
Aap ka bohot intezaar tha,
Aap ke liye dil be qaraar tha.
Abhi Roja ji se aap ki hi baat chal rahi thi.
Aap bhi to bohot pyara likhti haiN.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: October 09, 2008, 12:56:26 PM »
Reply with quote
tune mujse kabhi kahi to nahi
par tere jazbaat mera dil jane

                       -sg-
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: October 09, 2008, 03:37:15 PM »
Reply with quote
tune mujse kabhi kahi to nahi
par tere jazbaat mera dil jane

                       -sg-
Saajid Bhi Aadaab.
BaRi mehbaani hai aap ki k mujhe yaa dkiya. Aap ke jazbaat ki qadr karta hoN. Pyara shea'r kaha hai aap ne. JahaN mohabbat ho wahaN baat zubaan se kehne ki zuroorat nahiN rehti. Dil khud mahsoos kar leta hai. Aap ka zikr "Brkaraar" bhai ne mujhse kiya tha. Mujhe Kuwait meN Call ki aour taqreeba 8 minutes tak baat ki. Aap ki bohot ta'reef kar rahe the.
Aap ka bohot 2 shukriya ke meri ghzal pasand ki.Insha allah rabeta barqaraar rahega. DuaoN meN yaad rakhiyega.
"Haider"
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: October 10, 2008, 04:40:43 AM »
Reply with quote
mere walid se mat bata unka beta ghayel ho gaya hain warna kuwait chod fauran qatar aa jayege  Giggle aur sach haider saheb main aaj bhi apne aapko shayer nahi manta muje to urdu tak padne ya likhne nahi aati bas aise hi simple se sade se lafzo ko lekar kuch na kuch pesh kar deta hu.
Saajid Bhi Aadaab.
BaRi mehbaani hai aap ki k mujhe yaa dkiya. Aap ke jazbaat ki qadr karta hoN. Pyara shea'r kaha hai aap ne. JahaN mohabbat ho wahaN baat zubaan se kehne ki zuroorat nahiN rehti. Dil khud mahsoos kar leta hai. Aap ka zikr "Brkaraar" bhai ne mujhse kiya tha. Mujhe Kuwait meN Call ki aour taqreeba 8 minutes tak baat ki. Aap ki bohot ta'reef kar rahe the.
Aap ka bohot 2 shukriya ke meri ghzal pasand ki.Insha allah rabeta barqaraar rahega. DuaoN meN yaad rakhiyega.
"Haider"
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:54:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer