Waqt-e-furqat

by Brijinder on June 07, 2010, 08:48:28 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 912 times)
Brijinder
Guest
Reply with quote
WAQT-E-FURQAT


Yeh waqt-e-furqat kitna kathin hai meri jaaN
Hoga mushkil maanaa tha, magar itnaa mushkil
Socha bhi naa thaa

Woh chaNchal si khilkhilahat
Woh tumhari maNd maNd si muskaan
Woh tumharay badan say aatay bahaar kay jhoNkay
Woh tumhaari saadgi maiN daanaai kay imkaan

Woh tumhaaraa meri baahoN maiN duniya ko bhool jaanaa
Woh behtay ashkoN maiN laraztay laboN ka muskuraanaa
Woh tumhaari pal pal ko shiddat say jeenay ki chaah
Woh tumhaari nazar maiN phool say komal khwaaboN ki raah


Woh tumhaari dabdabaai aaNkhoN maiN unkahayay sawaal
Woh tumhaaray ghanay dasht say gasuoN ka jamaal
Woh tumhaaray hoNthoN ka tilsmee khumaar
Woh tumhaaraa mujh par beloss aitbaar

Bahut yaad aataa hai yeh sub meri jaaN
Aur yaad aataa hai bahut tumhaaraa woh-
"SUNO NA"
------------------------------------

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Waqt-e-Furqat by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
WAQT-E-FURQAT by Brijinder in Shairi - E - Zindagi
!!__-Shaam e Furqat-__!! by khamosh.larka in Shayri for Khumar -e- Ishq
Waqt-e-furqat by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
zarraa ... gham-e-furqat by zarraa in Shayri for Dard -e- Judai
nazar ghouri
Guest
«Reply #1 on: June 07, 2010, 09:45:02 PM »
Reply with quote
bahoot khoob.......wah
WAQT-E-FURQAT


Yeh waqt-e-furqat kitna kathin hai meri jaaN
Hoga mushkil maanaa tha, magar itnaa mushkil
Socha bhi naa thaa

Woh chaNchal si khilkhilahat
Woh tumhari maNd maNd si muskaan
Woh tumharay badan say aatay bahaar kay jhoNkay
Woh tumhaari saadgi maiN daanaai kay imkaan

Woh tumhaaraa meri baahoN maiN duniya ko bhool jaanaa
Woh behtay ashkoN maiN laraztay laboN ka muskuraanaa
Woh tumhaari pal pal ko shiddat say jeenay ki chaah
Woh tumhaari nazar maiN phool say komal khwaaboN ki raah


Woh tumhaari dabdabaai aaNkhoN maiN unkahayay sawaal
Woh tumhaaray ghanay dasht say gasuoN ka jamaal
Woh tumhaaray hoNthoN ka tilsmee khumaar
Woh tumhaaraa mujh par beloss aitbaar

Bahut yaad aataa hai yeh sub meri jaaN
Aur yaad aataa hai bahut tumhaaraa woh-
"SUNO NA"
------------------------------------


Logged
Brijinder
Guest
«Reply #2 on: June 09, 2010, 12:13:43 AM »
Reply with quote
shukriya,meharbani.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:10:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer