Wo dil hi kya jo mohobatt mein

by rajansarhadi on January 24, 2011, 04:32:56 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1243 times)
rajansarhadi
Guest
Reply with quote
Wo dil hi kya jo mohobatt mein shaayari na kare,
Wo Aftaab hi kaisa jo raushni na kare.

Ye pyar dard ki saugaat le ke aaya hai,
Zara hayaat se keh do khudkushi na kare.

Agar rahe na zamaane mein dosti ka bharam,
Toh fir zamaane mein koi bhi dosti naa kare.

Jo usse mil ke bichhudna bhi hai humein laazim,
Toh unse milne ko dil itani bhi khushi naa kare.

Jo dil lagaane ka anjaam dekh le Wo kahin,
To dil lagaane ka fir haunsla kabhi na kare.

Bhula na paaunga "rajan" main zindagi mein use,
Ye aur baat, Wafa meri zindagi na kare.
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: January 24, 2011, 04:39:47 PM »
Reply with quote
Wo dil hi kya jo mohobatt mein shaayari na kare,
Wo Aftaab hi kaisa jo raushni na kare.

Ye pyar dard ki saugaat le ke aaya hai,
Zara hayaat se keh do khudkushi na kare.

Agar rahe na zamaane mein dosti ka bharam,
Toh fir zamaane mein koi bhi dosti naa kare.

Jo usse mil ke bichhudna bhi hai humein laazim,
Toh unse milne ko dil itani bhi khushi naa kare.

Jo dil lagaane ka anjaam dekh le Wo kahin,
To dil lagaane ka fir haunsla kabhi na kare.

Bhula na paaunga "rajan" main zindagi mein use,
Ye aur baat, Wafa meri zindagi na kare.

Very Impressive ... Good Expression ... Rajan Ji !

bahut umdaa khayaal se labrez rahi aapki yeh peshkash ... !

tahe dil se daad hazir hai ... !

aise hi likhte rahen aage bhi ... khush rahen ... !

duaaon ke saath ... !
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #2 on: January 24, 2011, 04:44:46 PM »
Reply with quote
Bahut khoob rajan ji..
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: January 24, 2011, 07:28:14 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Rajan JI
Logged
Intezar
Guest
«Reply #4 on: January 24, 2011, 08:08:34 PM »
Reply with quote
bahut badhiya Rajan ji...

Intezar !
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: January 26, 2011, 02:26:27 AM »
Reply with quote
Wo dil hi kya jo mohobatt mein shaayari na kare,
Wo Aftaab hi kaisa jo raushni na kare.

Ye pyar dard ki saugaat le ke aaya hai,
Zara hayaat se keh do khudkushi na kare.

Agar rahe na zamaane mein dosti ka bharam,
Toh fir zamaane mein koi bhi dosti naa kare.

Jo usse mil ke bichhudna bhi hai humein laazim,
Toh unse milne ko dil itani bhi khushi naa kare.

Jo dil lagaane ka anjaam dekh le Wo kahin,
To dil lagaane ka fir haunsla kabhi na kare.

Bhula na paaunga "rajan" main zindagi mein use,
Ye aur baat, Wafa meri zindagi na kare.

Behad umdah khayaaloN kee adaayagee Rajan Saheb!

khas tour par.......
zaraa hayaat se kah do...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:40:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer