~~~ Wo Farishta ~~~ {{Angel}}

by angel4u on March 11, 2009, 05:44:18 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2980 times)
angel4u
Guest
«Reply #15 on: March 22, 2009, 12:57:39 PM »
Reply with quote
Thanks RH ji...
Logged
Roja
Guest
«Reply #16 on: March 22, 2009, 02:09:01 PM »
Reply with quote
Wah wah waaaaah... Angel dear.. bahut khoob likha hai aapne.....Mujhe pehlewala bahut accha laga padkar. Keep up dear Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #17 on: March 23, 2009, 01:56:08 PM »
Reply with quote
Thank you roja dear..

take care.. Usual Smile
Logged
aaina
Guest
«Reply #18 on: March 24, 2009, 08:41:32 AM »
Reply with quote
Kya Batayein Is Mohabbat Ki Intehaan Aapko,
Ankon Mein Aapki Tasveer Kaise Dikhayein Aapko,

Sajaye Hai Kuch Moti Jo Apni Palkon Pe Chahat Ke,
Aapki Palkon Pe Sajana Chahe Kaise Batayein Aapko,

Farishton Ki Baat Chali To Chalo Aaj Ye Bhi Bata Dein,
Shayad Khuda Ne Farishton Ki Mehfil Se Bheja Aapko...

Unki makhmali palkein jab uthi hamein dekhne ke liye,
saare sitaare jagmaga uthe hamein nihaarne ke liye,

Farishta hi hai koi wo hamein ab yaqeen aa gaya,
zindagi ke har gam sambhal gaye muskurane ke liye...


bhut khoob angel ji..............keep writing.........very nice work,
Logged
aaina
Guest
«Reply #19 on: March 24, 2009, 08:45:26 AM »
Reply with quote
zindagi jaisi tawaqqo thi nahi kuch kam hai
har ghadi hota hai ehsaas kahin kuch kam hai

ghar ki tameer to khaabon hi mai ho sakti hai
apne naqshay ke mutabiq ye zamee kuch kam hai

bhichday logon se mulaqaat kabhi phir hogi
dil mai umeed to kaafi hai yaqee kuch kam hai

ab jidhar daikhiye lagta hai ke is duniya mai
kahin kuch ziyada hai kahin kuch kam hai

aaj bhi hai teri doori hi udaasi ka sabab
ye alag baat ke pehli si nahi, kuch kam hai(shaharyaar)
Logged
angel4u
Guest
«Reply #20 on: March 25, 2009, 05:50:42 PM »
Reply with quote
Thanks a lot aaina..
nice sharing...

Clapping Smiley

Logged
angel4u
Guest
«Reply #21 on: March 25, 2009, 05:53:46 PM »
Reply with quote
chalo aaj apne ghar ke kisi kone mein band ho jaaye hum tum,
andheron ki lapeton mein apni mohabbat ko jagmagaye hum tum,
dhoond na sake puri qaayenaat mein koi zarra bhi humein sanam,
is chaand ki chaandni ke aagosh mein yun kho jaaye hum tum...
Logged
Roja
Guest
«Reply #22 on: March 26, 2009, 01:59:32 AM »
Reply with quote
zindagi jaisi tawaqqo thi nahi kuch kam hai
har ghadi hota hai ehsaas kahin kuch kam hai

ghar ki tameer to khaabon hi mai ho sakti hai
apne naqshay ke mutabiq ye zamee kuch kam hai

bhichday logon se mulaqaat kabhi phir hogi
dil mai umeed to kaafi hai yaqee kuch kam hai

ab jidhar daikhiye lagta hai ke is duniya mai
kahin kuch ziyada hai kahin kuch kam hai

aaj bhi hai teri doori hi udaasi ka sabab
ye alag baat ke pehli si nahi, kuch kam hai(shaharyaar)

Lovely sharing Aslam ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #23 on: March 28, 2009, 05:40:00 PM »
Reply with quote

Tere Intezaar Mein Hi Aaj Kaatenge tamaam raat,
in taaron se karte rahenge teri har ek baat,
tujhe samajh aaye ya na aaye meri ye chahat aye sanam,
tujhe hi chahte rahenge chahe jo bhi ho halaat...
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: March 28, 2009, 06:02:46 PM »
Reply with quote
Saugat ye tumhari mai kabhi bhula nahi paungi
Karz tumhare pyar ka kabhi chuka nahi paungi

Agar tukrakar chale bhi gaye tum mere pyar ko
Dil mein kisi aur ka pyar basa nahi paungi..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #25 on: March 28, 2009, 06:39:33 PM »
Reply with quote
Nice one roja...


Hamein Yaqeen Hai Tum Hamare Pyaar Ko Qayam Rakhoge,
Dhoop Ho Ya Chhanv Hamesha Apni Panahon Mein Rakhoge,

Girein jo Hum Kabhi Raahon Mein To Itna Bharosa Hai Hamein,
Tum Apne Khwabeeda Saharon ka Humpe Hamesha Aasra Rakhoge...
Logged
Roja
Guest
«Reply #26 on: March 29, 2009, 03:59:05 AM »
Reply with quote
Good 1 dear...

Mere saat mein tum hai toh jeevan mein bahar hai
Mujhe toh jahan mein sabse azeej tera pyar hai

Tab tak kuch bi na dikhaye de hame zamane mein
Jab tak ek bar bhi hota na tera dedaar hai..

 Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #27 on: March 29, 2009, 05:01:22 AM »
Reply with quote
Nice..

Tere deedaar ki khatir sanam saari saari raat jage hum,
Din ko bhi chain nahi, kya batayein kitne tadpe hum,

Jald wo manzar aaye jab in aakhon ke samne tera nazara ho,
inhi duwaon ke saath jaane kitne khwaab hai sanjote hum...
Logged
Roja
Guest
«Reply #28 on: March 29, 2009, 05:09:35 AM »
Reply with quote
Ek tum hi hai jis per hame sada aitbar rehta hai
Mere dil mein koyi rehta hai toh Woh tera pyar rehta hai

Kabhi toh aakar dikhaja apna haseen chehra dilruba
Subah se shaam tak bas issi ka intezar rehta hai..  tongue3
Logged
angel4u
Guest
«Reply #29 on: April 04, 2009, 02:29:05 PM »
Reply with quote
Bahut khoob roja...
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:00:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer